Man Bole Man Shah-E-Zaman Lyrics | SABRI BROTHERS

Man Bole Man Shah-E-Zaman Qawwali By Sabri Brothers Lyrics

Qawwal: Sabri Brothers (Ghulam Fareed Sabri and Maqbool Ahmad Sabri)

Written by: Maqbool Sabri (main lines)
Also included – lines by Hazrat Ambar Shah Warsi, Hazrat Bedam Shah Warsi, Jami (R.A), Amir Khusrau (R.A.), et al.


हिन्दी में लिरिक्स के लिए यहां टच कीजिए


Mere Khuda mujhe wo Taab-e-na.tawaayi de
Maiñ chup rahuñ to bhi Naghma mera sunaayi de

Mujhe Kamaal-e-Sukhan se nawaaz de wale
Samaa’atoñ pe bhi ab, Zauqe Aashnaayi de

 

Udaas ho maahoul, har Nafas ho Ghutan
To Boo-e Jism-e Habeeb-e Khuda ﷺ ki Baat karo

Nakeero Baad mein ye Doosra Sawaal rahe
Khudaa-ra pehle mere Mustafaﷺ ki baat karo

 

Man Bole Man Shah-E-Zaman

Man Bole Man Shah E Zaman
Kaali Kaali Kamli hai, Noor ka Badan

Bole man,
Man Bole Man Shah-E-Zaman
Man Bole Man Shah-E-Zaman
Kaali Kaali Kamli hai, Noor ka Badan

 

Kaunain ke Badshah haiñ, yani Shafi-e-Umam
Woh hain Habib-e-Khuda, sab pe hai unka karam

Pyare nabi ka mere naam kitna pyara hai
Qur’añ Khuda ne mere aaqa pe utara hai

Makka aur Madina mere Aaqa ka watan
Kaali Kaali Kamli hai, Noor ka badan

 

Bole man
Man Bole Man Shah-E-Zaman

Ye mera man bole, ye mera man bole ..

 

Zabañ par jab bhi Naam-e-Ahmed-e-Mukhtar aata hai
Zameeñ ka zarra zarra wajd mein har baar aata hai

Khuda rakhe Madine ko, Madina aisi Basti hai
Mujhe Saqi to Saqi, Maikade pe pyar aata hai

Ye mera man bole, Ye mera man bole …

 

Kiya hai Hijr ke ehsaas ne udaas mujhe
Bula hi lijiye Sarkar apne paas mujhe

Ye mera mann bole, Ye mera mann bole …

 

(Samaat Farmaayiye, ye mera man bole)

Maiñ jaauñ Madine meri auqat nahi hai
Sarkar bulaleñ to badi baat nahi hai

Ye mera mann bole, ye mera man bole …

 

Kya bole?
Isne bhi Madina dekh liya, isne bhi Madina dekh liya
Sarkar, kabhi to maiñ bhi kahooñ, maine bhi Madina dekh liya

Ye mera mann bole, ye mera mann bole …

 

Nazar mein jalwa ho aathoñ pahar Madine ka
Tawaaf karta rahooñ umr bhar Madine ka

Ye mera mun bole, ye mera man bole …

 

Quran ki har Aayat-o-Soorat dekhi
Islam ki Tafseer-o-Haqeeqat dekhi
Imaan pe jab Ghaur kiya Ambar ne
Sarkar-e-Do-alam ki mohabbat dekhi

Ye mera mun bole, ye mera mun bole …

 

Ai Manmohan, Taiba-dhani, Qausain ke Rajishbaree

Chandar-mukhat, sooraj baran, nirkar jyoti, man hari

Mukhde ko tere dekhkar, prabhu ne ye asha kari

Aye chehra-e-zeba-e-tou, rashk-e-butaan-e-Azari

Har chand wasfat meekunam, dar husn az aañ balaa-tari

 

Rooh-ul-Amiñ se ek din kehne lage Shah-e-Umam

Tumne to dekha hai jahañ
Batlaao to kaise hain hum

Khush ho ke yuñ kehne lage
Ae Shah, Tere Rukh ki Qasam

Aafaq-ha gardeeda-am, mehr-e-butaañ warzeeda-am
Bis-yaar khoobaañ deeda-am, lekin tou cheez-e-deegari

Ye mera man bole, ye mera man bole …

 

Haamid hai tera wasf, Mohammad ﷺ hai tera Naam
Rutba Tera Baland hai, Aala Tera Maqam

Farman-e-Rab hai Rahmat-e-Kamil kahooñ tujhe
Yani ke kaaenat ka Hasil kahuñ tujhe

Kat jaaye saari umr Tere Zikr-e-Paak meiñ
Mil jaaye meri khaak madine ki khaak meiñ

Ye mera mann bole, ye mera man bole …

 

(Samaat Farmaayiye: mera man bole. Lekin ek jagah kehta hai ke mera man na bole.
Kahañ par man haañ bol raha hai aur kahañ par na bol raha hai samaat Farmaayiye )

Ye mera mun bole, Kya mera mun bole?
ye mera mun bole

Mera man na bole, Mera man na bole…

 

Kyuñ
Kaha ye Heer ne Ranjhe ke jaisa ho nahi sakta

Mera man na bole, Mera man na bole

Kaha Waamiq ne ke Azra ke jaisa ho nahi sakta

Mera man na bole, Mera man na bole

Kaha Majnu ne koyi misl-e-Laila ho nahi sakta

Mera man na bole, Mera man na bole

Kaha Farhad ne Shireen ke jaisa ho nahi sakta

Mera man na bole, Mera man na bole

Zulaikha ne kaha Yousuf se achha ho nahi sakta

Mera man na bole, Mera man na bole

(To) kaha un sab se maine jhoot hai, kya ho nahi sakta
Mohammad ﷺ doosra paida jahan mein ho nahi sakta

Ye mera man bole, ye mera man bole …

 

Kya,
Tu Fakhr-e-Kaayenat hai, Rahmat tera Wujood
Arsh-e-bariñ se tujhpe malaayak padheñ Durood

Azmat ka ho bayan to Sadr-il-Ula kahooñ
Badr-ud-Duja kahuñ tujhe, Shams-ud-Duha kahuñ

Kat jaaye saari umr tere zikr-e-paak meiñ
Mil jaaye meri khaak Madine ki Khaak meiñ

Ye mera man bole, ye mera man bole …

 

Gham ke maaroñ ka sahara ye tera lutf-o-karam
Rah gaya hashr Meiñ iman-o-aqeeqat ka bharam
Daulat-e-kaun-o-makanñhai tere deewane ka gham

Teri Tauqeer se kaunain ki Taqdeer bani
Tu nahi hai to do alam mein koyi cheez nahi

Lazzat-e-yaad-e-nabi, zikr-e-nabi, hubb-e-nabi

Ye mera man bole, Ye mera man bole …

 

Insaañ haiñ magar, azmat-e-insaañ bhi wohi haiñ
Bande haiñ magar, Mazhar-e-yazdañ bhi wohi haiñ

Tauqeer-e-haram, kaaba-e-imaañ bhi wohi haiñ
Qur’añ bhi wohi, hamil-e-Qur’aañ bhi wohi haiñ

Un jaisa yahan baad-e-khuda koyi nahi hai
Sab kuch haiñ wohi, unke siwa koyi nahi hai

Yeh mera man bole, Yeh mera man bole …

 

Kisi dar par na mujhko sar jhukane ki tamanna hai

Ye mera man bole ..

 

Kahin mujhko na qismat aazmane ki tamanna hai

Yeh mera man bole ..

 

Na mujhko daulat-o-duniya hi paane ki tamanna hai

Yeh mera man bole ..

 

Mohammed ﷺ Mustafa ke dar pe jaane ki tamanna hai
Madine se palat kar phir na aane ki tamanna hai

Ye mera man bole, Ye mera man bole …

 

Ajab tamasha ho maidan-e-hashr meiñ Bedam
Ke sab hoñ pesh-e-Khuda aur maiñ roo-ba-roo-e-rasool

Ye mera man bole, Ye mera man bole …

 

Maiñ saayil hooñ, meri auqaat kya hai
Tum Aaqa ho, Tumhari Baat kya hai!

Ye mera man bole, Ye mera man bole…

 

Jo jaane wale Madine ke haiñ suneñ woh zara
Shah-e-Madina se itna zuroor kah dena

Ke eik zakhmi-e-teer-e-nigah nazar, jo pada
Tadap tadap ke woh kahta tha ya Rasoolallah

 

Ho ke rooposh na dil tod tamannayi ka
Hausla past na kar, apne tu shaidayi ka

Tadap tadap ke woh kehta tha ya Rasoolallah

 

Banda-parwar nigaah-e-karam kijiye
Ab na kuch intehan-e-wafa lijiye

Mujhko iqraar hai main gunahgaar hoon
Mujhko kamli mein apni chupa lijiye

Ye mera man bole, Ye mera man bole …

 

Woh khatm-e-Rusul, Mohsin-e-kul, aali nasab haiñ
Woh shaan-e-karam, jaan-e-haram, fakhr-e-arab haiñ

Woh lagzish-e-Adam ki talaafi ka sabab haiñ
Aur azmateiñ unki abhi daryaft talab haiñ

Ye ramz-e-khuda hai, ise rahne do yahin tak
Is raaz se waqif nahi, Jibreel-e-Ameen tak

Ye mera man bole, Ye mera man bole …

 

Ik haath se duniya ko andhere se nikala
Ik haath se girte hue logoñ ko sambhala

Ik Aan me, Bu-Jahl ki duniya ka ho waala
Ik zaat ke jis zaat ka aijaz nirala

Ik mojizaa-e-sang-e-kalaami hi bahut hai
Azmat ke liye ism-e-girami hi bahut hai

Ye mera man bole, Ye mera man bole …

 

Jo baais-e-takhleeq-e-do-alam tha wohi noor
Jo zeenat-e-peshani-e-Adam tha wohi noor

Asrar-o-hijaabat ka mahram tha wohi noor
Jo roz-e-azal hi se mo’azzam tha wohi noor

Faila to huiñ wus’ateiñ kaunain ki mahdood
Aur,
simta to zamane meiñ Mohammad ﷺ hue maujood

Ye mera man bole, Ye mera man bole …

 

Jis naam ko Allah ne tahreer kiya hai
Jis naam ko aafaaq ki taqdeer kiya hai

Jis naam ko Quran se taabeer kiya hai
Jis naam pe kaunain ko tameer kiya hai

Wo naam-e-Mohammad ﷺ hai, magar kaise likha jaaye
Kis tarah samandar kisi kooze mein samaa jaaye

Ye mera man bole, Ye mera man bole ..

 

Ummi haiñ magar ilm ki tafseer wohi haiñ
Mukhtar-e-jahañ, makhzan-e-tauqeer wohi haiñ

Zulmat ke liye azdah-e-tanveer wohi hai
Quran ke auraq pe tahreer wohi hai

Naam Unka pukara gaya jis waqt Azaañ meiñ
Tauheed ki Rau daud gayi jism-o-jahañ meiñ

Ye mera man bole, Ye mera man bole …

 

Dil shefta-e-Sayyad-e-Makki-Madani hai
Kya husn-e-muqaddar mera Allah-o-Ghani hai

Naqqaash-e-azal ne kaha tasveer bana kar
Aisi koyi tasveer banegi, na bani hai

Ye mera man bole, Ye mera man bole …

 

Husn ki jaan hogaya hoga
Balke eemaan hogaya hoga

Jab bana hoga woh qad-e-mauzoo..

Qayamat-e-to qayamat azf
Har nigaah-e-to mehshare,

mahshar-e-taa za-kun-faqa
Chashm-e-siyah-e-mast ra

Ba-gham za-sehre, nigaah jadu
Ba turra afsuñ, ba-qad qayamat

Ba-khat, ba-nafsha, ba-zulf sumbul
Ba chashm nargis, ba-rukh gulistañ

Pari paikar nigaar-e-sarwa-qadd-e-laala rukhsare
Saraapa aafat-e-dil bood, shab jaaye ke man boodam

 

Jab bana hoga woh qad-e-mauzooñ
Saaya qurbaan hogaya hoga

 

Khuda khud mir-e-majlis bood andar la-makan Khusro

Mohammad ﷺ shamm-e-mahfil bood shab jaaye ke man boodam

Ye mera man bole, Ye mera man bole …

 

Kya bole?

Tishna-e-deed lahoo dil ka piya karta hooñ
Tees hoti hai, jigar thaam liya karta hooñ

Zakhm-e-Dil baith ke, har roz siya karta hooñ
Naam le le ke Mohammad ﷺ ka, jiya karta hooñ

Ye mera man bole, Ye mera man bole …

 

Man bole man Shah-e-Zaman
Man bole man Shah-e-Zaman
Aaa..
Mann bole mann Shah-e-Zaman
Aaa…
Mann bole mann Shah-e-Zaman
Aaa…
Mun bole mun Shah-e-Zaman
Aaa…
Mun bole mun Shah-e-Zaman
A…

Click here for More from Sabri Brothers …


For translation in English click here


  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *