Rukh Pe Rahmat Ka Jhoomar Sajaye Qawwali Lyrics in Hindi and English
Qawwal: Ustad Nusrat Fateh Ali Khan
रुख़ पे रहमत का झूमर हिंदी लिरिक्स
Ya Rab Ba Tufail e Rasool us Saqalain
Ya Rab Ba Tufail e Faatahe Badro Hunain
Isiyaañ Ne Mara Do Hissa Kun Dar Arafat
Neeme Ba Hasan Wa Bakhsh Neeme ba Husain
Jo Teri Rahmat Ka Munkar Ho Wo Mera Dil Nahiñ
Maañgna Jisko Na Aaye Wo Koi Saayil Nahiñ
Ai Karam-Parwar Karam, Mere Gunaahoñ Pe Na ja
Rahm Ke Qabil Huñ Maiñ Insaaf Ke Qaabil Nahiñ
Zubañ Par Jab Muhammad Mustafa ﷺ Ka Naam Aata Hai
Badi Taskeen Hoti Hai Bada Aaraam Aata Hai
Muhammad Mustafa ﷺ Ka Naam Bhi Kya Isme Aazam Hai
Jahañ Koi Na Kaam Aaye Wahañ Ye Kaam Aataa Hai
Allah Ki Hum Jalwagari Dekh Rahe Haiñ
Ya Husn o Jamaal e Madani Dekh Rahe Haiñ
Jis Waqt Padho Salle Ala Aale e Muhammad ﷺ
Samjho Ke Rasool e Arabi Dekh Rahe Haiñ
Hargiz Na Ghuroor Se, Ghazab Se Baitho
Darbaar e Muhammad ﷺ Meiñ Adab Se Baitho
Rukh Pe Rahmat Ka Jhoomar Sajaye
Rukh Pe Rahmat Ka Jhoomar Sajaye
Kamli Waale Ki Mahfil Saji Hai
Rukh Pe Rahmat Ka Jhoomar Sajaye
Rahmat Ka Jhoomar Sajaye
Rahmat Ka Jhoomar Sajaye
Ei Wo Aagye Muhammad ﷺ
Rahmat Ka Jhoomar Sajaye
Rahmat Ka Jhoomar Sajaye
Karam Bankar, Wafa Bankar,
Sakha Bankar, Ata Bankar
Khuda Ka Noor Aasman Se Utra
Mustafa Bankar
Rahmat Ka Jhoomar Sajaye
Rahmat Ka Jhoomar Sajaye
Rukh Pe Rehmat Ka Jhoomar Sajaye
Kamli Waale Ki Mehfil Saji Hai
Mujh Ko Mehsoos Ye Ho Raha Hai
Unki Mehfil Meiñ Jalwagari Hai …
Aashiqo Tum Agar Chahte
Ho Ziyarat Dar e Mustufa Ki..
Ho Ziyarat Dare, Dar e Mustufa Ki
Ho Ziyarat Dare, Dar e Mustufa Ki ..
Ho Ziyarat Mujhe, Dar e Mustufa Ki
Ho Ziyarat Mujhe, Dar e Mustufa Ki
Maza Tab Hai Ke Ab Yuñhi Basar Ho
Haram Meiñ Shaam, Taiba Meiñ Sahar Ho
Ibaadat Ho To Itni Mo’tabar Ho
Mera Sar Ho Nabi Ka Sang e Dar Ho
Dare Aaqa Pe Aise Jaan Nikle
Zubañ Par Naam Gumbad Par nazar Ho
Meri Aahoñ Meiñ Ya Rab Ye Asar Ho
Yahañ Tadpooñ Madine Meiñ Khabar Ho
Yuñ, Dar e Mustufa Ki
Ho Ziyarat Mujhe, Dar e Mustufa Ki..
Ilaahi Aarzu e Deeda e Purnam Nikal Jaaye
Nikal Jaaye Mañ Aale Koshishe Paiham Nikal Jaaye
Bharosa Kis Ko Hai Kya Jaane Kis Dum Dum Nikal Jaaye
Ilaahi Mere Dil Se Fikr e Peiñch o Kham Nikal Jaaye
Muhammad ﷺ Ya Muhammad ﷺ Kahte Kahte Dam Nikal Jaaye
Yuñ, Dar e Mustufa Ki
Ho Ziyarat Mujhe, Dar e Mustufa Ki..
Aashiqo Tum Agar Chahte
Ho Ziyarat Dar e Mustufa Ki
Dil ki Jaanib Nigaaheñ Jhuka Lo
Saamne Mustufa Ki Gali Hai
Waasta Sayyad e Karbala Ka
Waasta Sayyad e Karbala Ka
Wasta Sayyade, Sayyad e Karbala Ka…
Har Ik Ko Mil Raha Hai Tere Baitul Maal Ka Sadqa
Nabuwwat Ki Zaqa Se Sabro Istaqlaal Ka Sadqa
Tasadduq Murtaza Ka Murtaza Ki Aal Ka Sadqa
A’taa Ho Kuchh Mujhe Bhi Faatima Ke Laal Ka Sadqa
Sayyad e Karbala Ka
Wasta Sayyade, Sayyad e Karbala Ka…
Dar Par Bula Faqeer Ko Hasrat Ka Waasta
Tujh Ko Tere Karam Teri Rahmat Ka Waasta
Maula Ali Ke Sadqe Meiñ Mushkil Ho hal Meri
KhairunNisa Ki Izzat o Azmat Ka Waasta
Meri Bigdi Bhi Bana Sadqa Hasan Naam e Husain
Kar Karam Khaatoon e Jannat Fatima Ka Waasta
Kar Karam, Kar Karam
Kar Karam, Kar Karam…
Kar Karam Khaatoon e Jannat Fatima Ka Waasta
Shaamate Aamaal Se Go Ho Chuka Hoon Ru Sija
Dekh tū Apne karam Ko Mere Aiboñ Par Na Jaa
Zahidoñ Ko Naaz Hai Apne Mataa’e Zohd Par
Mujh Ko Kaafi Hai Faqat Tere Karam Ka Aasra
Ya Shafi ul Muznabi, Ai Chaara Saaz e Do Jahaañ
Maiñ Khata Ki Intaha Hooñ, Tu A’taa Ki Intaha
Achcha Nahiñ, Khota Huñ Maiñ Khote Ko Nibha Le
Gar Tum Na Sambhalo To Mujhe Kaun Sambhale
Sayyad e Karbala Ka
Wasta Sayyade, Sayyad e Karbala Ka…
Wasta Sayyad e Karbala Ka
Wasta Fatima Ki Rida Ka
Meri Jholi Bhi Sarkar Bhar do
Aapne Sab Ki Jholi Bhari Hai
Wo Sama Kaisa Zeeshan Hoga
Wo Sama Kaisa Zeeshan Hoga
Wo Sama, Wo Samaa, Wo Sama, Wo Sama Wo Sama, Wo Sama
Kaisa Zeeshan Hoga Wo Sama
Kaisa Zeeshan Hoga Wo Sama
Gaye To Aur Bhi Lekin Na taa Arsh e Bariñ Pahuñche
Hareeme Naaz Meiñ Bas Rahmatallil Aalamiñ Pahuñche
Shabe Me’raaj Jab Wo Khaas Parde Ke Kariñ Pahuñche
Sada Parde Se Aati Thi Ke Aao Tum Se Kya Parda
Kaisa Zeeshan Hoga Wo Sama
Kaisa Zeeshan Hoga Wo Sama …
Mahshar Meiñ Wohi Jins Khareedega Muhammad
Jis Jins Ka Koi Bhi Khareedar Na Hoga
Kaisa Zeeshan Hoga Wo Sama
Kaisa Zeeshan Hoga Wo Sama …
Wo Sama Kaisa Zeeshan Hoga
Jab Khuda Mustufa Se Kahega
Ab To Sajde Se Sar Ko Utha Lo
Aapki Saari Ummat Badi Hai
Mujh Ko Fikr e Shafa’at Ho Kyuñ Kar
Do Kareemoñ Ka Saaya Hai Sar Par
Ik Taraf Rahmat e Mustafa Hai
Ik Taraf Lutf e Maula Ali Hai
Rukh Pe Rahmat Ka Jhūmar Sajaye
Kamli Waale Ki Mahfil Saji Hai
- Comment
- Share
Urdu, Hindi And English lyrics
| Naat-E-Paak|
Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |