Ramzan Ki Azmat Lyrics,
Singer: Mohammad Rafi, Sonu Nigam
Maiñ Sunaata Hoon Tumheñ Sachchi Riwayat Mominoñ
Sun Lo Kya Ramzan Ki Hoti Hai Azmat Mominoñ
Ek Ladka Tha Kahin Thi Umr Jiski Saat Saal
Roza Rakhne Ke Liye Be Taab Tha Wo Nau-Nihal,
Chand Jab Ramzan Ka Dekha To Ye Maañ Se Kaha
Arzu Meri Bhi Hai Roza Rakhooñ Ramzan Ka,
Waqt Jab Sehri Ka Ho Jaye, Utha Dena Mujhe
Aaj Roza Maiñ Bhi Rakhuñ Ga, Jaga Dena Mujhe.
Maañ Ko Aaya Hi Nahi Bete Ki Baatoñ Ka Khayal
Sub’ha Jab Beta Utha To Aa Gaya Usko Malal,
Phool Jaisa Uska Chehra Ranj Se Murjha Gaya
Maañ Se Ye Ro Ro Ke Kahta Tha, Mera Roza Gaya.
Maañ Ne Jab Bete Ko Dekha To Kaha Dil Tham Kar
Ab Nahin Hai Farz Roza Tujh Pe Aye Noor-e-Nazar,
Bola Beta Sun Liya Hai Maine Ramzañ Ka Bayañ
Is Mahine Mein Hua Qur’aan Nazil Begumañ,
Yeh Suna Hai Jayega Jannat Mein Har Ik Rozadar
Hashr Ke Din Payega Wo Jalva-e-Parvardigaar.
Raat Bhar Roze Ki Hasrat Mein Na Woh Soya Zara
Waqt Sehri Ka Hua To Usne Roza Rakh Liya,
Khush Tha Ladka Aaj Poori Dil Ki Hasrat Ho Gai
Maine Roza Rakh Liya, Maula Ki Rahamat Ho Gai.
Din Nikal Aaya To Suraj Noor Phailaane Laga
Hoke Phir Bechain Maañ Ne Apne Bete Se Kaha,
Waqt Khane Ka Hai, Kuchh Kha Le Mere Noor-e-Nigah
Tab Kaha Ladke Ne Roza Todna Bhi Hai Gunah,
Maañ Ye Boli Har Gunah Tera Main Looñgi Apne Sar
Kuchh To Kha Le Mere Bete, Ho Gai Hai Dopahar.
Bola Beta, Kuchh Bhi Ho Roza Nahi Todooñga Maiñ
Jaan De Doonga Ibadat Se Na Munh Modooñga Maiñ,
Pyas Ki Shiddat Se Aisa Haal Bigada Asr Tak
Bhookh Ke Maare Hua Bechain Ladka Asr Tak.
Dil Ki Harkat Mein Kami Aane Lagi, Sookhi Zubañ
Aa Gayi Hichki, Utha Dam, Aur Nikli Uski Jaañ.
Ro Ke Maañ Kahne Lagi Noor-e-Nazar Jaata Raha
Chhod Kar Mujhko Mera Lakht-e Jigar Jata Raha.
Itne Mein Har Simt Maghrib Ki Azañ Ka Shor Utha
Rote Rote Maañ Ne Phir Iftar Roza Kar Liya,
Phir Ba-Haal-e-Zaar Padh Li Usne Maghrib Ki Namaz
Hath Utha Kar Ye Kaha Fariyad Hai Banda Nawaz,
De Gaya Beta Mujhe Daagh-e-Judaai Kya Karuñ !
Lut Gai Hai Zindagi Bhar Ki Kamayi Kya Karuñ !
Itne Mein Aayi Sada Saail Ki Main Nadaar Huñ
Kuchh Khuda Ke Naam Per De Do Main Rozadar Huñ,
Gham Zada Aurat Ne Jis Dam Sun Li Saail Ki Sada
Ghar Mein Jo Khana Paka Tha Usko Sab Kuchh De Diya.
Poochha Sahil Ne Hai Kyon Ghamgeeñ Tujhe Kya Hai Malal?
Yeh Kaha Aurat Ne Roze Mein Mara Hai Mera Lal.
Laash Ke Pass Aake Bola Phir Wo Mard-e Ba-Waqar
Uth Khuda Ka Naam Lekar, Tu Aye Nanhe Roza-Dar,
Fazle Rab Se Pal Mein Wo Masoom Zinda Ho Gaya
Mudda’a Ramzan Ki Barkat Se Pura Ho Gaya.
Mudda’a Ramzan Ki Barkat Se Pura Ho Gaya.
Mudda’a Ramzan Ki Barkat Se Pura Ho Gaya.
Ramzan Ki Azmat Lyrics, Sonu Nigam
https://youtu.be/oco-5-FkmFw