Ramzan Ka Mahina Bada Barkatoñ Ka Hai Lyrics
Singer: Shamshad Begum
Paigham Momino Ke Liye Rahmatoñ Ka Hai
Ramzan Ka Mahina Bada Barkatoñ Ka Hai.
Jinko Namaz Roze Ka Arman Ho Gaya
Un Par Khudaye Paak Meherban Ho Gaya.
Ramzan Aaya Qaid Mein Shaitan Ho Gaya
Nazil Isi Mahine Meiñ Qur’aan Ho Gaya.
Zyada Aziz Rakhte The Ramzan Ko Rasool
Hoti Hai Is Mahine Mein Har Ik Dua Qubool.
Ramzan Ka Mahina Bada Barkatoñ Ka Hai
Paigham Momino Ke Liye Rahmatoñ Ka Hai.
Utre Haiñ Is Mahine Meiñ Taurait Aur Zaboor
Naazil Hui Hai Isa Pe Inzeel Bhi Zuroor
Haañ, Begumañ Hai Isme Shab-e-Qadr Ka Zahoor
Momin Ne Is Mahine Meiñ Paya Khuda Ka Noor
Waajib Hai Har Ameer Pe Sadqa Ada Kare
Daaman Gul e Umeed Se Mohtaj Ka Bhare
Ramzan Ka Mahina Bada Barkatoñ Ka Hai
Paigham Momino Ke Liye Rahmatoñ Ka Hai.
Is Maah Mein Hi Paida Hue Ghaus e Nek Naam
Ramzan Ka Kiya Hai Unhoñ Ne Ye Ehtraam
Harghiz Piya Na Doodh Kabhi Din Mein Laa-Kalaam
Bachpan Meiñ Hi Huzoor Ne Roze Rakhe Tamam
Roza Nazar Ka Noor Hai, Dil Ki Ummeed Hai
Ramzan Mominoñ Ke Liye Goya Eid Hai.
Ramzan Ka Mahina Bada Barkatoñ Ka Hai
Paigham Momino Ke Liye Rahmatoñ Ka Hai.
Har Roza Daar Hashr Ke Din Muskuraye Ga
Deedar e Haq, Jamaal Nabi Ka Wo Paaye Ga
Dozakh Ki Aag Se Use Roza Bachaaye Ga
Rahmat Use NawazeGi, Jannat Me Jayega
Jo RozaDaar Hai Yahañ Woh Kamyab Hai
Iftar Bhi Karaane Ka Behad Sawab Hai
Ramzan Ka Mahina Bara Barkato Ka Hai
Paigham Momino Ke Liye Rahmato Ka Hai.
Karta Hai Roza Deen Me Duniya Me Sarfaraz
Hai Hum Pe Farz Roza Rakheñ Aur Padheñ Namaz
Har Waqt Nek Kaam Kareñ Banke Paakwaz
Har Ghamzada Ko Kardeñ Museebat Se Be Niyaz
Majboor Aur Ghareeboñ Ki Khidmat Kiya Kareñ
Jitni Bhi Ho Khuda Ki Ibadat Kiya Kareñ.
Ramzan Ka Mahina Bara Barkato Ka Hai
Paigham Momino Ke Liye Rahmato Ka Hai.
Insan Nekiyoñ Meiñ Hamesha Laga Rahe
Daaman gunaho zulm se har dam bacha rahe
Jaari Diloñ Meiñ Har Ghadi Hamd o Sana Rahe
Har Waqt Lab Pe Zikr-e-Habeeb-e-Khuda Rahe
Ramzan Rahmatoñ Ka Mahina Hai Momino
Allah Tak Pahochne Ka Zeena Hai Momino
Ramzan Ka Mahina Bara Barkato Ka Hai
Paigham Momino Ke Liye Rahmato Ka Hai.