Ramzan Aa Gaya Lyrics – Harmaan Nazim
Ghar Ghar Ke Aangano Me
Khushiyon Ka Ek Hujoom Hai
Masjid Gali Mohalle Me
Ramzan Ki Dhoom Hai
Ramzan Ki Dhoom Hai…
Roze Me Khushk Hoton Pe Kaante Hain Pyas Ke
Uthte Hain Dil Me BalBale Jannat Ki Aas Ke
Aa …….
Roze Me Khushko Hoton Pe Kaante Hain Pyas Ke
Uthte Hain Dil Walwale Jannat Ki Aas Ke
Ek Faans Bhi Gunah Ki Rah Jaye Na Tan Me
Yani Hasad, Bughz Ki Ek Boond Na Man Me
Kirdar Kar Ke Aaina Roza Rakhenge Ham
Apne Har Ik Gunah Se Tauba Karenge Ham
Tha Jiska Intizar Wo Mehman Aa Gaya
Bakhshish Ka Sabki Dosto Saman Aa Gaya
Ramzan Aa Gaya Hai Ke Ramzan Aa Gaya
Ramzan Aa Gaya Hai Ke Ramzan Aa Gaya
More Ramzan Related Kalam
Jis Me Hai Ek Neki Ka Sattar Guna Sabaab
Hoti Hain Jisme Rahmaten Nazil Ke Behisaab
Murdon Pe Is Mahine Me Hota Nahin Ajaab
Ramzan Ka Mahina Hai Ye Kitna Lajawab
Lo Pahle Aasman Pe Rahman Aa Gaya
Bakhshish Ka Sabki Dosto Saman Aa Gaya
Ramzan Aa Gaya Hai, Ke Ramzan Aa Gaya
Ramzan Aa Gaya Hai, Ke Ramzan Aa Gaya
Roohon Se Ab Guanh Ki Niklengi Silbatein
Jhoomen Gi Aitqaab Se Masjid Me Rahmatein
Leke Zami Ki Tah Se Ke Arshe Barin Talak
Ban Jaye Gi Noor Se Jannat Talak Sadak
Purkaif Har Taraf Nazara Hai Zeeshan Aa Gaya
Bakhshish Ka Sabki Dosto Saman Aa Gaya
Ramzan Aa Gaya Ha,I Ke Ramzan Aa Gaya
Ramzan Aa Gaya Hai, Ke Ramzan Aa Gaya
Sahri Ke Waqt Hoga Farishton Ka Jab Nujool
Hogi Har Ek Shakhs Ki Sagar Dua Qubool
Barish Falak Se Noor Ki Barsegi Toot Kar
Shaitan Cheekh Maar Ke Royega Phootkar
Sab Momino Ke Dil Ka, Lo Arman Aa Gaya
Bakhshish Ka Sabki Dosto Saman Aa Gaya
Ramzan Aa Gaya Hai Ke Ramzan Aa Gaya
Ramzan Aa Gaya Hai Ke Ramzan Aa Gaya
Allah Hu, Allah Hu, Allah Hu, Allah
Allah Hu, Allah Hu, Allah Hu, Allah
Sadqa Zakaat Naam Par Uske Lutaoge
Mahshar Me Khud Ko Arsh Ke Saaye Me Paoge
Allah Hu, Allah Hu, Allah Hu, Allah
Allah Hu, Allah Hu, Allah Hu, Allah
Sadqa Zakaat Naam Par Uske Lutaoge
Mahshar Me Khud Ko Arsh Ke Saaye Me Paoge
Jitni Karoge Shauk Se Quran Ki Tilawat
Bakhshish Ka Zariya Hoga Ye Phir Roza E Qayamat
Karne Ko Sabki Rahwari Quraan Aa Gaya
Bakhshish Ka Sabki Dosto Saman Aa Gaya
Ramzan Aa Gaya Hai Ke Ramzan Aa Gaya
Ramzan Aa Gaya Hai Ke Ramzan Aa Gaya
Song- Ramzan Aa Gaya
Singer-Harmaan Nazim
Composer/Music-Gurmeet Singh
Lyrics- Dr Iftikhar Sagar Purkazvi
Ramzan Aa Gaya Lyrics
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|