Qissa Hai Ye Rahmat Ka Lyrics – Muhammad Aziz
Kya Azmat-E-Ramza.n Hai Batata Hun Main Tumko
Kya Shan Hai Roze Ki Sunata Hun Main Tumko
Qissa Hai Ye Rahmat Ka Ramzan Ki Barkat Ka 2
Ae Momino Sun Lo Ye Hai Mashhoor Riwayat
Ramza.n Ke Mahine Ki Ye Purnoor Hikayat
Ik Shahar Me Tha Saat Baras Ka Koi Bachcha
Iman Ka Pakka Tha Wo Tha Qaul Ka Sachcha
Al-Qissa Nazar Chand Jo Ramzan Ka Aaya
Ye Kahne Laga Maa Se Wahi Maa Ka Wo Jaaya
Ae Maa Tum Uthana Mujhe Roza Main Rakhunga
Shahri Ko Jagana Mujhe Roza Main Rakhunga
Bête Ko Jagaya Nahin Jab Shahri Ko Maa Ne
Wo Subho Ko Rote Huye Subho Ko Kahne Laga Maa Se
Sahri Ko Jagaya Nahin Tora Ye Sitam Kya
Sahri Ke Bina Aaj Ka Rakhkhunga Main Roza
Qissa Hai Ye Rahmat Ka Ramzan Ki Barkat Ka 2
Maa Kahne Lagi Tujhpe Main Kurba Mere Bête
Rakh Legi Teri Maa Tera Roza Tere Badle
Kamsin Hai Tu Ab Farz Nahin Tujh Pe To Roza
Qaayam Raha Rozae Pe Magar Phir Bhi Wo Bachcha
Kahti Rahi Maa Paani To Peele Mere Pyare
Kis Tarha Se Sookhi Hai Zuban Pyaas Ke Maare
Din Chadne Laga Badhne Lagi Dhoop Ki Shiddat
Roze Me Bigadne Lagi Masoom Ki Haalat
Phir zuhar Ka Bhi Waqt Dhala Asr Bhi Guzri
Jab Pyaas Badhi Soorat-E-Masoom Bhi Utri
Qissa Hai Ye Rahmat Ka Ramzan Ki Barkat Ka 2
Phir Haal Bigadta Hi Gaya Lamha Wa Lamha
Masoom Ki Haalat Pe Tadapne Lagi Mamta
Israar Pe Bhi Kuchh Na Piya Kuchh Nahin Khaya
Haal Aisa Bigadta Gaya Dam Hoton Pe Aaya
Gardan Jo Dhalakne Lagi To Maa Tadap Uthi
Dam Toot Gaya Bachche Ne Li Aakhiri Hichki
Bachche Pe Kafan Daal Ke Tab Roti Rahi Maa
Tha Samne Bikhra Hua Aftaar Ka Saman
Is Haal Me Hi Ho Gayi Maghrib Ki Azan Bhi
Maghrib Ki Namaz Aise Me Aurat Ne Ada Ki
Qissa Hai Ye Rahmat Ka Ramzan Ki Barkat Ka 2
Itne Pe Ye Darwaze Pe Saa’il Ne Sada Di
Roze Se Hun Khulwa De Koi Roza Mera Bhi
Aurat Ne Wo Saa’il Ko Diya Ghar Me Jo Khuchh Tha
Saa,il Ne Udaasi Ka Sabab Us Se Jo Poochha
Wo Boli Ke Roze Me Mera Mar Gaya Jaaya
Jab Bachche Ke Bare Me Suna Ghar Me Wo Aaya
Maiyat Ko Hila Ke Kaha Uth Naam-E-Khuda Se
Bachcha Wahi Zinda Hua Mola Ki Ata Se
Saa’il Wahi Ghayab Hua Dekho Ye Karisma
Tha Bhes Me Saa’il Ke Wo Rahmat Ka Farishta
Qissa Hai Ye Rahmat Ka Ramzan Ki Barkat Ka 2
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|