Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Haiñ Lyrics
Qawwal: Ustad Rahat Fateh Ali Khan
Poet: Hazrat Allama Iqbal r.a.
Aaa…
Fareb-e-Nazar Hai, Sukoon-o-Sabaat
Tadapta Hai Har Zarra-e-Kaayenat
Thaherta Nahiñ Karvaan-e-Wujood
Ke Har Lahza Hai Taaza Shaan-e-Wujood
Samajhta Hai Tu Raaz Hai Zindagi
Faqt Zauq-e-Parwaaz Hai Zindagi
Jawano Ko, Meri Aah-e-Seher De
Phir in Shaaheeñ Bachhoñ ko Baal-o-Par de
Khudaya Aarzoo Meri Yahi Hai
Mera Noor-e-Baseerat Aam Kar De
Sitaron Se Aage Jahan Aur Bhi Haiñ…..
Abhi Ishq Ke
Abhi Ishq Ke Imtihan Aur Bhi Haiñ
Sitaron Se Aage Jahañ Aur Bhi Hain..
Har Ek Maqaam Se Aage
Har Ek Maqaam Se Aage, Maqaam Hai Tera
Hayaat-e-Zaat-e-Safar Ke Siwa Kuch Aur Nahiñ
Sitaroñ Se Aage Jahañ Aur Bhi Hain..
Tahee Zindagi Se Nahiñ Ye Fizaayeiñ..
(Sargam)
Tahee Zindagi Se Nahiñ Ye Fizaayeiñ..
Yahañ Saikdoñ Carvaañ Aur Bhi Hain..
Qanaa’at Na Kar Aalam-e-Rang-o-Boo Par ….
Tu Hi Nadaan Chand Kaliyon Par Qanaat Kar Gaya
Warna Gulshan Mein ilaaj-e-Tangi-e-Damaañ Bhi Hai
Qanaa’at Na Kar Aalam-e-Rang-o-Boo par…
Chaman Aur Bhi, Aashiyaan Aur Bhi Haiñ..
Agar Kho-Gaya Ik Nasheman To Kya Gham
Maqaamaat-e-Aah-o-Fughaañ Aur Bhi Haiñ…..
Agar Kho-Gaya Ik Nasheman To Kya Gham
Muqaamaat-e-Aah-o-Fughaañ Aur Bhi Haiñ..
Nishaañ Yahi hai Zamaane Meiñ Zinda Qaumoñ ka
Ke Subh-o-Shaam Badalti Haiñ Unki Taqdeereiñ
Maqaamaat-e-Aah-o-Fughaañ Aur Bhi Haiñ ….
Na Poocho Mujhse Lazzat Khanma Barbaad rehne ki
Nasheman Sainkdoñ Maiñe Banaakar Phooñk Daale Haiñ
Maqaamaat-e-Aah-o-Fughaañ aur bhi haiñ ….
(Sargam)
Maqaamaat-e-Aah-o-Fughaañ aur bhi haiñ…..
Tu Shaaheeñ Hai, Parvaaz Hai Kaam Tera…
Nahiñ Tera Nasheman, Qasr-e-Sultani ke Gumbad Par
Tu Shaaheeñ Hai Basera Kar Pahaadoñ ki Chataanoñ Par
Tu Shaaheeñ Hai, Parvaaz Hai Kaam Tera..
Guzar-Auqat Kar Leta Hai Ye Koh-o-Bayabañ Meiñ
Ke Shaaheen Ke Liye Zillat Hai Kaar-e-Aashiyañ-Kaari
Tu Shaaheeñ Hai, Parvaaz Hai Kaam Tera..
Garche Hai Dil-kushañ Bahot, Husn-e-Farang ki Bahar
Taairek-e-Buland-o-Baal Daana-o-Daam Se Guzar
Tu Shaaheeñ Hai, Parvaaz Hai Kaam Tera ….
Ae Taair-e-Laahooti Us Rizq Se Maut Achchhi
Jis Rizq Se Aati Ho Parwaaz Meiñ Kotaahi
Tu Shaaheeñ Hai, Parvaaz Hai Kaam Tera ….
Tere Saamne Aasmaañ Aur Bhi Haiñ…
Jhapatna, Palatna, Palatkar Jhapatna
Lahu Garm Rakhne ka Hai ik Bahaana
Parindo Ki Duniya Ka Darweish Hooñ Maiñ
Ke Shaaheeñ Banata Nahi Aashiyaana
Tere Saamne Aasmaañ Aur Bhi Haiñ..
Gaye Din Ke Tanhaa Thaa Maiñ Anjuman Meiñ ..
Yahañ ab Mere Raaz-Daañ Aur Bhi Haiñ ..
Sitaroñ se Aage Jahañ Aur Bhi Haiñ
Abhi Ishq Ke
Abhi Ishq Ke Imtahaañ Aur Bhi Haiñ
Sitaroñ se Aage Jahañ Aur Bhi Haiñ
Sitaron se Aage Jahaañ Aur Bhi Hai
More Qawwalis From:
|Sabri Brothers | | Rahat Fateh Ali Khan | | Nusrat Fateh Ali Khan | | Aziz Miyan | |Naat-e-Paak | |