Qatl Ghazi as Ka Baba Huwa Hai Noha Lyrics

Qatl Ghazi as Ka Baba Huwa Hai Noha Lyrics – Irfan Haider

 

Kis Ne Mara Ali Ko Har Soo Ye Udaasi Chhayi

Haye! Abbas Pe Ye Kaisi Qayamat Aayi

Kis Ne Mara …

 

Ali Ali Haye!

 

Khana E Haq Me Ye Ghazab Ho Gaya

Dete Hain Jibreel Ye Rokar Sada

Qatl Namazi Hua

 

Ghar Me Zahra Ke Maatam Bapa Hai

Qatl Ghazi Ka Baba Hua Hai

 

Aaj Koofe Me Mahshar Bapa Hai

Qatl Ghazi Ka Baba Hua Hai

 

Haye Talwar Chali Rab Ka Wali Zakhmi Hua

Haye Afsos!

Har Namazi Ke Labon Par Thi Yehi Ik Sada

Wa Hasrata Haye Ali Wa Ghurbata

Sar Shikasta Hua Haye Khoon Bahne Laga

Shor Masjid Se Ye Uth Raha Hai

Qatl Ghazi Ka Baba Hua Hai

 

Jab Bhi Baba Ke Amaame Pe Nazar Jaati Hai

Haye Afsos!

Bas Ye Shabbir Ke Hoton Pe Sada Aati Hai

Wa Hasrata Haye Ali Wa Ghurbata

Ye Yateemi Ka Gham Haye Sah Na Payenge Ham

Sun Ke Ye Baat Dil Fat Raha Hai

Qatl Ghazi Ka Baba Hua Hai

 

Apni Bahno Ko Jo Mayyat Se Churate Hain Hasan

Hay Afsos!

Ghar Se Ye Kah Ke Janaze Ko Uthate Hain Hasan

Wa Hasrata Haye Ali Wa Ghurbata

Meri Bahno Suno Alvida Bol Do

Janta Hun Ye Sadma Bada Hai

Qatl Ghazi Ka Baba Hua Hai

 

Baap Ke Qadmon Pe Sar Rakh Ke Ye Zainab Ne Kaha

Haye Afsos!

Haath Ab Sar Pe Mere Kon Rakhega Baba

Wa Hasrata Haye Ali Wa Ghurbata

Chhor Jaoge Tum Haye Yaad Aaoge Tum

Waqt Kaisa Ye Ham Par Pada Hai

Qatl Ghazi Ka Baba Hua Hai

 

qatl ghazi ka baba hua hai lyrics
Qatl Ghazi As Ka Baba Huwa Hai Lyrics

 

Jab Bhi Koofe Me Baqaiye Se Hawa Aati Hai

Haye Afsos!

Fatima Zahra Ke Rone Ki Sada Aati Hai

Wa Hasrata Haye Ali Wa Ghurbata

Hai Mera Dil Hazin Haye Chain Milta Nahin

Qabr Me Jab Se Maine Suna Hai

Qatl Ghazi Ka Baba Hua Hai

 

Haye! Zeeshan Se Kahta Hai Ye Irfan E Azaa

Haye Afsos!

Dil Se Aa Jaati Hai Khud Roz E Shahadat Ye Sada

Wa Hasrata Haye Ali Wa Ghurbata

Ham Na Bhoolen Kabhi Haye Zakhm E Nola Ali

Aaj Har Ghar Me Farshe Azaa Hai

Wa Hasrat Haye Ali Wa Ghurbata

 

Bar Dushman E Mola Ali Lanat Be-Shumar

Lanat Bar Dushman E Ali

Lanat Bar Dushman E Ali

 

Ae Qatil E Haider Tere Kirdar Pe Lanat

Lanat Be- Shumar

 

Makkaarpei Aiyaar Pe Gaddaar Pe Lanat

Lanat Be- Shumar

 

Jo Zarb Lagayi Hai Mere Mola Ko Tune

Us Waar Pe Lanat Teri Talwar Pe Lanat

Lanat Be- Shumar

 

Noha Khwan: Syed Irfan Haider

Poet: Zeeshan Abidi

 

मां भी ना हो दुनिया में और बाप भी मर जाए Noha Lyrics

Utho Baba Mein Zainab Hoon Lyrics(Hindi & English)

Mola Rotay Jatay Hain Lyrics (Hindi & English)

More Manqabat Mola Ali as (Hindi & English)


Our Pages


Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|

Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *