Qasidah Yusuf A.S. Lyrics
Aao Bachcho Sunaun Safar Naama Aaj
Is Safar Naame Ki Aaj Hai Ahtiyaad
Kalm E Quraan Ki Sair Karte Huye
Surah Yusuf Pe Jo Pahucha Padhte Huye
12ve Paare Me Ek Qissa Padha
Uski Aayaat Me Ik Sabaq Tha Bada
Ek Yusuf The Allah Ke Pyare Nabi
Unko Ik Khwab Me Ye Basharat Mili
11 Tare Hain Aur Chand Suraj Wo Sab
Unke Aage Hain Sajde Me Kham-Lil-Ajab
Apne Baba Ko Batlaya Yusuf Ne Khwab
Sajda Karte Hain Tare Qamar Aaftaab
Unke Baba Bhi The Rab Ke Pyare Nabi
Yaani Yaqoob Allah Ke Kaamil Wali
Sun Ke Bête Se Unho Ne Ye Kaha
Bhaiyon Ko Na Hargiz Batana Zara
Apne Bête Se Yaqoob Karte The Pyaar
Baaqi Bhai Yun Rakhte The Yusuf Se Khaar
Ek Din Apne Abba Se Kahne Lage
Hamne Jana Hai Jangal Me Ab Khelne
Ap Yusuf Ko Bhi Saath Me Bhejiye
Ham Rakhenge Khyal Uska Sab Dekhiye
Mutmain Na The Fir Bhi Yaqoob Ne
Di Ijazat Unhen Aur Wo Le Gaye
Jaake Jangal Me Nadaan Bade Bhaai Sab
Ik Kuye Me Unhen Fenk Aaye The Sab
Aur Yusuf Ke Kurte Pe Dumbe Ka Khoon
Fir Lagaya Chale Hoke Pursukoon
Aaye Wo Ghar Jhoote Aansu Bahate Huye
Baap Ko Khooni Kurta Dikhtae Huye
Aur Kahne Lage Haif-E-Ham Lut Gaye
Bhediye Se Unhe Ham Bacha Na Sake
Bête Ki Yaad Me Khoob Rone Lage
Aur Yaqoob Naabina Hi Ho Gaye
Aur Udhar Rab Ne Yusuf Ko Zinda Rakha
Ek Kuye Me Unhen Doobne Na Diya
Kaafile Ka Guzar Jab Waha Se Hua
Aur Paani Kooye Se Unho Ne Bhara
Rab Qudrat Se Wo Dole Me Aa Gaye
Kaafile Wale Bhi Uspe Hairan Huye
Khoobsurat Koi Itna Dekha Na Tha
Poori Dunia Me Yusuf Ke Jaisa Na Tha
Kaafile Walon Ne Kar Ik Mashwara
Bechne Ka Unhen Faisla Kar Liya
Aur Yun Aapko Misr Laya Gaya
Aapke Husn Ka Khoob Charcha Hua
Sab Ameeron Ne Boli Lagayi Wahan
Par Nasibon Me Unke The Yusuf Kahan
Shahar Ke Shah Ne Unka Charcha Suna
Woh Bhi Fouran Hi Bazaar Me Aa Gaya
Husne Yusuf Ko Dekha Daaham Rah Gaya
Aur Muh Maangi Qeemat Pe Unko Liya
Yun Wo Yusuf Kooye Se Mahal Aa Gaye
Unke Jalwe Bhi Har Ik Taraf Chha Gaye
Aurten Unse Ab Tak Jo Anjaan Thi
Ab Jo Dekha To Sab Itni Hairan Thi
Fal Chhuri Se Jahan Kaatne The Wahi
Husn Ko Dekh Kar Ungliyan Kaat Li
Rab Ki Jaanib Se Fir Ek Mushkil Padi
Aajmaish Yahan Par Bhi Manzoor Thi
Ek Zulaikha Jo Sardar Ki Biwi Thi
Apni Kotaahi Yusuf Ke Sar Thop Di
Is Tarah Fir Unhen Jail Jana Pada
Khair Unho Ne Yaha Naam Rab Ka Liya
Sabko Neki Ki Dawat Wo Dete Rahe
Deen Kam Kaam Wo Khoob Karte Rahe
Ek Din Aaye Do Log Yusuf Ke Paas
Ho Gaya Masha’ala Hal Unhe Thi Ye Aas
Ek Kehne Laga Khwab Dekha Maine
Sar Pe Thi Rotiyan Janwar Khaate The
Aur Dooje Ne Sardar Ke Waste
Khwab Me Dekha Sharbat Banate Huye
Pahle Yusuf Ne Ki Inko Talqeen-E-Deen
Aur Batlaya Main Koi Kaahin Nahin
Rotiyon Wale Se Aap Ne Fir Kaha
Tujhko Faansi Ki Di Jaye Gi Ab Saja
Aur Fir Dooje Ko Uska Batla Diya
Jail Se Tu Reha Jald Ho Jayega
Aur Fir Dooje Se Aap Ne Ye Kaha
Jab Tu Aazad Hokar Mahal Jayega
Jaake Sardar Se Tu Ye Kahna Zaroor
Ek Yusuf Hain Zindaan Me Be-Qusoor
Ek Din Ye Hua Shah Ne Dekha Khwaab
Khwab Se Uspe Taari Hua Iztiraab
Dekha Hai Saat Moti Si Gaaein Jinhen
Saat Kamzor Si Gaayen Khaane Ko Hain
Usne Darbar Me Mas’ala Jab Rakha
Jail Ka Waada Saaqi Ko Yaad Aa Gaya
Shah Se Usne Fouran Kaha Ke Ae Shah
Jail Me Qaid Aalim Hai Ik Be-Gunaah
Khwab Ki Wo Hi Taabeer Batlaayega
Mas’ala Bas Wahi Sara Samjhayega
Shah Ne Usko Fouran Rawana Kiya
Usne Ja Kar Waha Mas’ala Rakh Diya
Aap Ne Usko Batlaayi Tabeer Fir
Saath Me Ek Samjhaayi Tadbeer Fir
Moti Gaayen Hain Khush-Haali Ke Saat Saal
Dubli Gaayen Hain Qahat Saali Ke Saat Saal
Galla Mahfooz Karne Ki Tadbeer Di
Waqt-E-Mushkil Se Bachne Ki Taqeed Ki
Aur Batlaya In Choudah Saalon Ke Baad
Khoob Meeh Barsega Honge Sab Log Shad
Shah Ko Jab Ye Tashreeh Saaqi Ne Di
Uspe Yusuf Ki Mar’ubiat Chha Gayi
Usne Fouran Rihaai Ka Ailan Kiya
Aur Takreem Se Unko Bulwa Liya
Par Rihaai Se Pahle Kaha Aap Ne
Saarey Lizaam Ab Mujhse Hat Waiye
Yun Wo Izzat Se Darbar Laaye Gaye
Aur Wizrat Ke Rutbe Pe Faa’iz Huye
Kuchh Dino Me Hua Shah Ka Inteqaal
Aur Yusuf Bane Shah Fir Ba-Kamaal
Kuchh Baras Baad Aaya Qahat Ka Zama
Aur Paresha Huye Bachhe, Boode, Jawan
Khair Yusuf Ki Tadbeer Kaam Aa Gayi
Galle Ki Khoob Unko Faraawaani Thi
Aaye Yusuf Ke Bhai Bhi Fir Misr Me
Ek Maqsad Liye Galla Haasil Karen
Aap Zeerak The So Inko Pahchaan Kar
De Diya Khoob Galla Unhen Jaan Kar
Ye Inayat Jo Dekhi To Kahne Lage
Chhoota Bhai Hai Uska Bhi De Dijiye
Aap Ne Unse Farmaya Pahle Usey
Laayiye Aur Fir Galla Le Jayiye
Bhai Lout Aaye Ghar Aur Manane Lage
Apne Walid Se Milkar Ye Kahne Lage
Bhejenge Saath Yaamin Ko Aap Jab
Shah Galla Izafi Hamen Denge Tab
Apne Walid Ko Raazi Kiya Bhaiyon Ne
Bandha Rakhte Safar Aur Fir Chal Diye
Apne Walid Ki Sharton Pe Le Kar Chale
Misr Ki Simt Wo Khoob Hi Dhyaan Se
Apne Bhaiyon Ko Yusuf Ne Galla Diya
Aur Khule Dil Se Rashan Bhi Poora Kiya
Chhote Bhai Ko Chhupke Se Batla Diya
Main Hun Zinda Abhi Bhai Yusuf Tera
Aur Fir Ik Bahane Se Roke Rakha
Baaqi Bhaiyon Ko Yusuf Ne Jaane Diya
Sab Pareshan The Ghar Kaise Jayenge Ab
Kaise Walid Ko Muh Ham Dikhayinge Ab
Chaar-O-Nachaar Wo Ghar Ki Janib Chale
Aur Yaqoob Ke Dil Pe Chehke Lage
Us Judaai Pe Gham Sarey Taza Huye
Haye Yusuf Tadap Kar Wo Kahne Lage
Apne Beton Se Fouran Unho Ne Kaha
Dhoondo Yusuf Ko Dowara Jaao Zara
Sar Nidamat Se Kham Leke Fir Aa Gaye
Aur Yusuf Ko Dukhda Suna Ne Lage
Sun Ke Sab Daastan Dil Pe Charka Laga
Bhaiyon Ki Maaf Kar Di Unhon Ne Khata
Apna Kurta Diya Aur Khane Lage
Isko Abba Ki Aankhon Se Mas Kijiye
Rabbe Rahman Ke Izn Se Laazmi
Is Ki Barkat Se Beenayi Lout Aayegi
Aur Kaha Mere Baba Ko Le Aayiye
Sham Se Misr Is Mahal Me Mere
Bhai Hairat Se Takte The Yusuf Ko Ab
Apna Hi Bhed Un Par Khula Sab Ka Sab
Sharm Se Sar Jhukane Lage Ab Sabhi
Kar Diya Uspe Yusuf Ne Sabko Bari
Aur Fir Ek Din Aaye Maa-Baap Bhi
Jam’at-E Mahal-E-Yusuf Me Ab Wo Sabhi
Sab Ne Yusuf Ko Tazeemi Sajda Kiya
Khwab Yusuf Ka Yun Jaa Ke Poora Hua
Ek Qisse Me Hain Kitne Sarey Sabaq
Kitne Sarey Sabaq Kitne Pyare Sabaq
Aao Shaheen In Par Amal Ham Karen
Aur Neki Se Naame Ko Apne Bharen
Written By: Musaab Shaheen
Vocalist: Hafiz Hammad Hameed
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|