Qaseeda Umar Farooq RA Lyrics

Qaseeda Umar Farooq RA Lyrics Hindi and english

Scroll Down For English Lyrics

 

मुह़र्रम की यकुम तारीख़ सन् हिजरी का 23 था
उदासी से निढाल उस दिन रसूलुल्लाह का तैबा था

 

फ़लक भी अपनी बीनाई पे शर्मिंदा हुआ होगा
यक़ीनन सोचता होगा कि उसने आज क्या देखा

 

ज़रा अब दिल को थामों और सुनो इस क़िस्सा ए ग़म को
ना हरगिज़ रोक पाओगे यक़ीनन आंख के नम को

 

अदी के खान-वादे के जरी बेटे का क़िस्सा है
वो जिससे दीन महका है ये उस गुन्चे का क़िस्सा है

 

वो जिसको देखकर शैतान भी रस्ता बदलता था
वो जिसकी इक नज़र से कुफ्र का ईंवां दहलता था

 

अरब के मोअ़तबर थे मोअत्तरिफ़ इसकी ज़िहानत के
सहाबा वारी जाते उसके मैय्यार ए अदालत के

 

वो 41 वें नंबर पे मर्दों में हुआ मुस्लिम
उसी से रौब सब कुफ़्फ़ार पर दीं का हुआ क़ायम

 

कई फ़रमान उनके बन गए क़ुरआन का हिस्सा
नबी के घर भी आई उसकी बेटी मेरी मां हफ़्सा

 

वोही लाखों मुरब्बा मील का हाकिम बना लोगों
खलीफ़ा ए दोउम हर मोमिन ने है दिल से कहा उसको

 

रसूलुल्लाह ने फ़रमाया नहीं है ! हां अगर होता
जो मेरे बाद कोई भी नबी तो वो उमर होता

 

शहादत की भी दी पेशीनगोई प्यारे आक़ा ने
ओहद पर जब वहां बू-बक्र और फारूक़ उस्मां थे

 

खिलाफ़त आपकी क़ायम रही 10 साल तक ऐसी
अदालत खुद निज़ाम ए अदल पर भी रश्क करती थी

 

मगर इब्लीस की औलाद अपना वार कर बैठी
के जैसे सांप की वो काटने की ज़िद नहीं जाती

 

नमाज़ ए फज़र पढ़ने जब गए फ़ारूक़ मस्जिद में
अबू लो-लो वहां बैठा था छुपकर जाने किस ज़िद में

 

वो घटिया ज़ात इक महराब के पीछे से आ निकला
निकलकर ऐन दौरान ए नमाज़ उसने किया हमला

 

किये खंजर से वार उसने उमर फ़ारूक़ पर उस दम
तो बह निकला वहां से खून ए उमर कसरत फिर पैहम

 

मदीने के दरो दीवार से वहशत टपकती थी
वो दिन 26 जिल हज था हर इक जानिब उदासी थी

 

था घाओ इतना गहरा आंतें उनकी कट गई थी सब
दवाई का असर भी कुछ ना होता था उमर को अब

 

तसव्वुर तो करो कितना कठिन लम्हा था मुस्लिम पर
के आफ़त उनपे मंडलाने लगी फैलाए अपने पर

 

किया पर्दा गिरा कर चल दिए फ़ारुक़ फिर चिलमन
इधर रो-रो भीगोए चश्म ए मुस्लिम ने सभी दामन

 

उमर के जाने से ऐसा ख़ला पैदा हुआ मुस्अ़त
यक़ीं जानो क़यामत तक ना हरगिज़ भर सकेगा अब


Qaseeda Umar Farooq (RA) Lyrics english


Muharram ki yaqum tarikh sun hijri ka 23 tha
Udaasi se nidhaal us din rasoolallah ka taiba tha

 

Falak bhi apni beenayi pe sharminda hua hoga
Yaqinan sochta hoga ki usne aaj kya dekha

 

Zara ab dil ko thaamon aur suno is qissa e gham ko
Na har giz rok paoge yaqinan aankh ke nam ko

 

Adi ke khan wade ke jari bete ka qissa hai
Wo jis se deen mahka hai ye us gunche ka qissa hai

 

Wo jis ko dekh kar shaitan bhi rasta badalta tha
Wo jiski ik nazar se kufr ka ivan dahalta tha

 

Arab ke mot’tabar the mottarif iski ziha’nat ke
Sahaba waari jaate uske mai’yar e adalat ke

 

Wo 41 we number pe mardon me hua muslim
Usi se roub sab kuffar pe dee.n ka hua qaaim

 

Kayi farman uske ban gaye qur’aan ka hissa
Nabi ke ghar bhi aayi uski beti meri maa hafsa

 

Wohi lakhon murawwa meel ka haqim bana logo
Khalifah e doum har momin ne hai dil se kaha usko

 

Rasoolallah ne farmaya nahin hai ! han agar hota
Jo mere baad koi bhi nabi toh wo umar hota

 

Shahadat ki bhi di pesheen goyi pyare aaqa ne
Ohod par jab wahan bu-bakar aur farooq usma the

 

Khilafat aapki qaaim rahi das saal tak aisi
Adalat khud nizaam e adl par bhi rashk karti thi

 

Magar iblees ki aulaad apna vaar kar baithi
Ke jaise saanp ki wo kaatne ki zid nahin jaati

 

Namaz e fazr padhne jab gaye farooq masjid me
Abu lo lo wahan baitha tha chhupkar jane kis zid me

 

Wo ghatiya zaat ik mahraab ke peechhe se aa nikla
Nikal kar ain douraan e namaz usne kiya hamla

 

Kiye khanjar se vaar usne umar farooq par us dam
To bah nikla wahan se khoon e umar kasrat fir peham

 

Madine ke dar o deewar se wahshat tapakti thi
Wo din 26 jil hajj tha har ik jaanib udaasi thi

 

Tha ghao itna gahra aantein unki kat gayin thi sab
Dawaai ka asar bhi kuch na hota tha umar ko ab

 

Tasavvur to karo kitna kathin lamha tha muslim par
Ke aafat un pe mandlane lagi failaye apne par

 

Kiya parda gira kar chal diye farooq fir chilman
Idhar ro ro bhigoye chashm e muslim ne sabhi daman

 

Umar ke jaane se aisa khala paida hua mus’at
Yaqi.n jano qayamat tak na har giz bhar sakega ab

Voice: Hafiz Hammad Hameed
Written: Musab Shaheen

qaseeda umar farooq ra lyrics in hindi

qasida umar farooq e azam lyrics


Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *