Qarib Se Jo Bhi Unke Guzra Naat Lyrics – Ahmadul Fattah
क़रीब से जो भी उनके गुज़रा
Qarib Se Jo Bhi Unke Guzra
Huzoor Ne Muskura Ke Dekha !!
Wo Dekho Dekho Sunhari Jaali
Idhar Sawaali Udhar Sawaali !!
Qarib Se Jo Bhi Unke Guzra
Huzoor Ne Muskura Ke Dekha !!
Tajalliyon Ka Laga Hai Mela
Jidhar Nigahein Utha Ke Dekha !!
Jahan Gaye Unka Zikr Chhera
Jahan Rahe Unki Yaad Aayi !!
Na Gham Zamane Ke Paas Aaye
Nabi Ki Naatein Suna Ke Dekha !!
Tawaaf Rouze Ka Kar Rahi Hain
Yahan Wahan Ashk-Baar Aankhein !!
Hai Goonj Salle Ala Ki Har Su
Jahan Jahan Pe Bhi Jake Dekha !!
Tajalliyon Ka Laga Hai Mela
Jidhar Nigahein Utha Ke Dekha !!
Zahoori Jaage Naseeb Tere
Bas Ik Nigahe Karam Ke Sadqe !!
Ke Bar-Bar Apne Dar Pe Tujhko
Tere Nabi Ne Bula Ke Dekha !!
Tajalliyon Ka Laga Hai Mela
Jidhar Nigahein Utha Ke Dekha !!
क़रीब से जो भी उनके गुज़रा
हुज़ूर ने मुस्कुरा के देखा !!
वो देखो देखो सुनहरी जाली
इधर सवाली उधर सवाली !!
क़रीब से जो भी उनके गुज़रा
हुज़ूर ने मुस्कुरा के देखा !!
तजल्लियों का लगा है मेला
जिधर निगाहें उठा के देखा !!
जहां गए उनका ज़िक्र छेड़ा
जहां रहे उनकी याद आई !!
ना ग़म ज़माने के पास आए
नबी की नातें सुना के देखा !!
तवाफ़ रौज़े का कर रहीं हैं
यहां वहां अश्कबार आंखें !!
है गूंज सल्ले अला की हर-सू
जहां जहां पे भी जाके देखा !!
तजल्लियों का लगा है मेला
जिधर निगाहें उठा के देखा !!
ज़हूरी जागे नसीब तेरे
बस इक निगाहे करम के सदक़े !!
के बार-बार अपने दर पे तुझको
तेरे नबी ने बुला के देखा !!
तजल्लियों का लगा है मेला
जिधर निगाहें उठा के देखा !!
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|