Pur Fitan Daur Hay Lyrics | Asad Hayat
Pur Fitan Ye Daur Hai Har Fikr-e-Nau-Ilhaad Hai
Seekh Uswa Mustafa Ka Ye Meri Fariyad Hai
Halat-e-Imañ Hai Nazuk Qaum Misl-e-Aad Hai
Seekh Uswa Mustafa Ka Ye Meri Fariyad Hai
Wo Ameeñ The Kafiroñ Ko Yak Zubañ Tasleem Tha
Unpe Tohmat Ka Guman Bhi Aql Se Ta’deem Tha
Jab Kiya Sachhe Ne Sachhi Baat Ko Zahir Wahañ
Jo Muhafiz The Kabhi Aane Lage Lene Ko Jaañ
She’ab e Bu Talib Qafas Tha Aur Wo Mahsoor The
Ghaas Aur Patte Talak Khane Ko Wo Mazboor The
Unki Qurbani Mere Islam Ki Buniyad Hai
Mera Marna Deen Par, Jeena Mera Jeehaad Hai
Pur Fitan Ye Daur Hai Har Fikr-e-Nau Ilhaad Hai
Seekh Uswa Mustafa Ka Ye Meri Fariyad Hai
Halat-e-Imañ Hai Nazuk Qaum Misl-e-Aad Hai
Seekh Uswa Mustafa Ka Ye Meri Fariyad Hai
Gar Mohabbat Ka Hai Dawa To Ita’at Shart Hai
Qaul-e-Nabwi Ke Samajhne Ko Riyazat Shart Hai
Raham Ka Rishta Hai Jo choro Nahi Toro Nahi
Farq-e-Rang-o-Nasl Par Itra Ke Muh Modo Nahi
Aurton Ko Dhaanp Rakh Aur Izzatein Mahfooz Kar
Apni Chashme Aas Ko Lazzat Se Na Mahzooz Kar
Hai Rafeeq-e-Bu Bakar Farooq Ka Damad Hai
Aaqa-e-Qamil Hai Jo Aur Hasart-e-Ubbad Hai
Pur Fitan Ye Daur Hai Har Fikr-e-Nau Ilhaad Hai
Seekh Uswa Mustafa Ka Ye Meri Fariyad Hai
Halat-e-Imañ Hai Nazuk Qaum Misl-e-Aad Hai
Seekh Uswa Mustafa Ka Ye Meri Fariyad Hai
Haq Bataya Tha Nabi Ne Wahi o ilhaam Se
Ho Gayi Ummat Ye Paspa Apne Istaqdaam Se
Haq Bayani Jurm Hai, Imañ Hai Ya Shola Koi
Eesa-o-Mehdi He De De Ya Mere Mola Koi
Wahan Hai, Uryaan Hai Aur Tang Ab Guzraan Hai
MaiKade Aabad Hain Aur Masjideiñ Veeran Hain
Hai Ye Ummat Na Tawañ Aur Halat-e-Barbaad Hai
Kya Zama Aakhir Ko Hai? Dajjal Kya Aazad Hai?
Pur Fitan Ye Daur Hai Har Fikr-e-Nau Ilhaad Hai
Seekh Uswa Mustafa Ka Ye Meri Fariyad Hai
Halat-e-Imañ Hai Nazuk Qaum Misl-e-Aad Hai
Seekh Uswa Mustafa Ka Ye Meri Fariyad Hai
Gar Tera Luqma Halali To Ghuma Achha He Rakh
Farz Gar Tere Kamaali To Ghumañ Aazad Rakh
Ya Ilahi Tera Farmana Hai Ye, Sachha Hai Tu
Banda-e-Momin Kare Jaisa Ghumañ Waisa Hai Tu
Tu Kare Jaa Apni Koshish Chal Tu Rab Ki Maan Ke
Bas Kabira Se Bacha Rah Ism Na Kar Jaan Ke
Kya Duroodon Ki Koi Had, Kya Koi Tadaad Hai
Khamr Tera Hai Ghulami Fikr To Aazad Hai
Pur Fitan Ye Daur Hai Har Fikr-e-Nau Ilhaad Hai
Seekh Uswa Mustafa Ka Ye Meri Fariyad Hai
Halat-e-Imañ Hai Nazuk Qaum Misl-e-Aad Hai
Seekh Uswa Mustafa Ka Ye Meri Fariyad Hai
Recited by: Asad Hayat
Poet: Asad Hayat
Our Pages
- Hamd-E-Baari-T’aala
- Naat-E-Paak
- Rabiul Awwal Mutalliq Kalam
- Manqabat Ghaus e Azam
- Manqabat Ghareeb Nawaaz
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan: