Paye Azar Hai Sara Zamana Rahmat-e Aalam Naat Lyrics.
Qawwal : Saeed Jaipuri
Paye Aazaar Hai Saara Zamaana Rahmat-e Aalam
Chhupana Apni Kamli Meiñ Chhupana Rahmat-e Aalam ..
Dhooñdha Hi Kareñ Daawar-e Mahshar Ke Sipaahi
Wo Kis Ko Mile Jo Teri Kamli Meiñ Chhupa Ho
Chhupana Apni Kamli Meiñ Chhupana Rahmat-e Aalam ..
Hai Din Roz-e Mahshar Nabeeyoñ Pe Bhaari
Kade Saf Ba-Saf Hoñge Noori Wa Naari
Yaka Yak Jo Aayegi Unki Sawaari
Kahegi Ye Chilla Ke Makhlook Saari.
Aaqa,
Chhupana Apni Kamli Me Chhupana Rahmat-e Aalam …
Zamaane Ko Sha’oor-e Haq Parasti Se Kiya Waaqif
Nawaase Rahbar-e Aalam, Haiñ Naana Rahmat-e Aalam !
Nawaase Rahbar-e Aalam ..
Nawaase Rahbar-e Aalam ..
(Ye Husain Tera Hi Kaam Tha…)
Baatil Ke Aage Sar Na Jhukaaya Husain Ne
Jo Kah Diya Wo Kar Ke Dikhaya Husain Ne
Jiyo To Haq Ke Liye Aur Maro To Haq Ke Liye
Husain Ye Bhi Hameñ Aap Ne Bataya Hai
Wo Sar Kata Ke Ye Taaleem De Gaye Haiñ
Ke Mere Gham Mein Na Masroof-e Dair Ho Jaana
Agar Kahiñ Haqq o Baatil Ki Jang Ho Jaaye
Tu Us Maqaam Pe Tum Bhi Husain Ho Jaana.
Dekho,
Zamaane Ko Shaoore Haq Parasti Se Kiya Waaqif
Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam.
Kaunain Ba Khabar Hai Rasool-e Anaam Se
Waakif Nahiñ Hai Kaun Muhammad ﷺ Ke Naam Se
Nisbat Hai Mujh Ko Shah-e A’ali Maqaam Se
Leta Hai Jinka Naam Khuda Ehteraam Se
Sharaf Ye Sirf Mahboob-e Khuda Hi Ko Mayassar Hai
Ke Is Ghar Ka Har Ek Chhota Bada Rahbar Hi Rahbar Hai.
Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam …
Nabi Kis Shaan Se Najraan* Meiñ Allahu Akbar Haiñ
(*Najran ek Shahar ka naam hai)
Ali Haiñ, Fatima Haiñ, Saath Meiñ Shabbir o Shabbar Haiñ
Nasaara Kah Rahe Haiñ Dekh Kar Ek-Ek Ko Aapas Meiñ
Ye Kaisa Kaarbañ Hai Jis Meiñ Sab Rahbar Hi Rahbar Haiñ?
Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam …
Chale Ungli Pakad Kar Jab Nabi Ki Karbala Waale
Nabuwwat Ke Khazaane Aa Gaye Dast-e Imamat Meiñ
Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam …
Ham Aise Nabi Ki Ummat Haiñ,
Hum Aise Imam Ke Pairu Haiñ.
Nawaase Rahbar-e Aalam Haiñ Naana Rahmat-e Aalam …
Zameen o Aasmañ Gardish Meiñ Apni Tham Bhi Sakte Haiñ
Shab-e Meraaj Duniyañ Ne Ye Jaana Rahmat-e Aalam.
Zamaana RoothTa Hai, Rooth Jaaye, Rooth Jaane Do
Magar Tum Bhi Na Hum Se Rooth Jaana Rahmat-e Aalam …
Magar Tum.. Ya Rahmat-e Aalam
Ya Muhammad ﷺ Rahmat-e Aalam
Aale Muhammad ﷺ Rahmat-e Aalam
Ya Shaah-e Muzammil.. Rahmat-e Aalam
Magar Tum Bhi Na Hum Se Rooth Jaana Rahmat-e Aalam ..
Suna Hai Noor Ki Baarish Hua Karti Hai Taiba Meiñ
Hameñ Bhi Aap Taiba Meiñ Bulaana Rahmat-e Aalam. ..
Mere Aaqa Masarrat Aap Hi Ka Naam Lewa Hai
Sar-e Mahshar Ise Bhi Bakhshwana Rahmat-e Aalam …
Ilaahi Dikha De Wo Madina Kaisi Basti Hai
Jahañ Din Raat Ai Maula Teri Rahmat Barasti Hai.
Suna Hai Noor Ki Baarish Hua Karti Hai Taiba Meiñ
Tadapte Haiñ Machalte Haiñ Mere Armaan Seene Meiñ
Rawaañ Jab Dekhta Huñ Kaafla Haj Ke Mahine Meiñ
Muhammad ﷺ Ki Judaayi Aag Bhadkaati Hai Seene Meiñ
Mazaa Kya Khaak Aaye Door Rah Kar Aise Jeene Meiñ
Ke Parwaana Yahañ Tadpe Jale Shamma Madine Meiñ
Hameñ Bhi Aap Taiba Meiñ Bulaana Rahmat-e Aalam ..
Paye Aazaar Hai Saara Zamaana Rahmat-e Aalam.
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan