Nisbat-e Chishtiya Meri Pahchan Hai

Nisbat-e Chishtiya Meri Pahchan Hai Lyrics

Qawwal : Nazir Ejaz Faridi

 

Ai A’taa-e Rasool Tum Pe Laakhon Salaam
Ai Qaraar-e Butool Tum Pe Laakhon Salaam
Khwaja-e Khwajgañ Muinuddin
Baagh-e Haidar Ke Phool Tum Pe Laakhoñ Salaam.

 

Us De Husn Jamaal Da Duniya Vich Mahboob Hazaarañ
Us De Husn Jamaal Da Charcha Asaañ Suneya Door Draaz Ei

Te Waliyan Da Maharaaj Kahaawe
Te Nabi Paak Da Mahram Raaz ei

Aadam Oh Lajpaal ei Sadda
Ho, Jee Da Naam Ghareeb Nawaz ei.

 

Kya Poochhte Ho Pata Miskeen Ka
Maiñ Huñ Sag Khwaja Muinuddin Ka.

 

Nisbat-e Chishtiya Meri Pahchan Hai
Mera Khwaja Piya Mera Bhagwan Hai

 

Maiñ Jhoot Bolañ Te Kyuñ Bolañ
Mera Kamm Kade Ni Hadeya
Maiñ Vich Jahaan Kari Kath De
Sayyiyo Murshad Chun Ke Bhadeya.

 

Nisbat-e Chishtiya Meri Pahchan Hai
Mera Khwaja Piya Mera Bhagwan Hai

 

Laaj Rakhli Har Jagah Tere Karam Ne Ya Mueen
Hum Jahañ Pahuñche Teri Nisbat Se pahchaane Gaye

 

Nisbat-e Chishtiya Meri Pahchan Hai
Mera Khwaja Piya Mera Bhagwan Hai

 

Aisi Bhali Meri Qismat Hai
Mainu Khwaja Mueen Se Nisbat Hai.

 

Nisbat-e Chishtiya Meri Pahchan Hai
Mera Khwaja Piya Mera Bhagwan Hai

 

Azal Se Tore Sang Khwaja Bandhan Hua Hai
Main Daasi Hun Tori Tu Mora Piya Hai
Tumheñ Kyuñ Na Poojuñ Khwaja Tumheñ Kyuñ Na chaahuñ
Mere Man Ke Mandar Ka Tu Devta Hai.

 

Nisbat-e Chishtiya Meri Pahchan Hai
Mera Khwaja Piya Mera Bhagwan Hai

 

Dono Jahañ Meiñ Ye Pahchaan Kaafi Hai
Khwaja Moinuddin Ke Dar Ki Ghulami Kaafi Hai.

 

Nisbat-e Chishtiya Meri Pahchan Hai
Mera Khwaja Piya Mera Bhagwan Hai

 

Jo Koi Dekhta Hai Naam Tera Leta Hai
Maiñ To Khaamosh Huñ Nisbat Meri Khaamosh Nahiñ.

 

Nisbat-e Chishtiya Meri Pahchan Hai
Mera Khwaja Piya Mera Bhagwan Hai

 

Duniya Salaam Karti Hai Hairat Ki Baat Hai
Maiñ Kuchh Nahi Hun Sab Teri Nisbat Ki Baat Hai.

 

Nisbat-e Chishtiya Meri Pahchan Hai
Mera Khwaja Piya Mera Bhagwan Hai

 

Meri Khush-Waqtiyoñ Ka Ye Hi Raaz Hai
Hun Ghulam Aap Ka Bas Yahi Naaz Hai
Mukh Ko Jo Kuchh Mila Sab Tera Daan Hai
Mera Khwaja Piya Mera Bhagwan Hai

 

Tu Salaamat Rahe Hai Mujhe Kya Kami ..
Tu Salaamat Rahe Hai Mujhe Kya Kami ..

 

Na Fikr-e Alam Hai Na Ehsaas e Gham Hai
Raho Tum Salaamat Karam Hi Karam Hai

 

Tu Salaamat Rahe Hai Mujhe Kya Kami ..

 

Tera Ajmer Khwaja Salamat Rahe
Hai Yahi Aarzu Taa Qayamat Rahe

 

Tu Salaamat Rahe Hai Mujhe Kya Kami ..

 

Aap Dete Hain To Kaam Chalta Hai
Tere Tukdoñ Pe Mera Khandan Palta Hai

 

Tu Salaamat Rahe Hai Mujhe Kya Kami ..

 

Tu Salaamat Rahe Hai Mujhe Kya Kami
Be Talab Tu Ne Mañgte Ki Jholi Bhari
Aap Jo Kuch Huñ Maiñ Tera Ahsaan Hai
Mera Khwaja Piya Mera Bhagwan Hai

 

Jab Maiñ Ghabraata Gardish-e Andher Se
Mujh Ko Aawaz Aati Hai Ajmer Se
Maiñ Tere Saath Huñ Kyuñ Pareshaan Hai
Mera Khwaja Piya Mera Bhagwan Hai

 

Karam Ke BaadShaah Hai Teri Baat Kya !
Tu Karam Hi Karam Maiñ Khata Hi Khata

 

Ya Mueen More Khwaja
Ya Mueen Ya More Khwaja

 

Ya Mueen Ya Mueen.. Ya Mueen Ya Mueen
Ya Mueen More Khwaja
Ya Mueen More Khwaja..

More Manqabat Ghareeb Nawaz

More from Nazir Ejaz Faridi

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *