Nabi Syed ul Anbiya Ke Barabar Lyrics | Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga Lyrics
Nusrat Fateh Ali Khan Qawwali Lyrics
ना पहले था कोई ना अब है ना होगा हिंदी लिरिक्स
kul ambiya se afzal aali maqaam hain woh
allah bhejta hai jispar salaam hain woh
aqsa meiñ ki imaamat saare payambaroñ ki
saare payambaron ke beshak imaam hain woh
Nabi Syed ul Anbiya Ke Barabar
Nabi Syed ul Ambiya Ke Barabar
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Nabi Sayyed ul Ambiya Ke Barabar
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Muhammad Ka Saani Muhammad Ka Hamsar
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Unsa Na Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Unsa Na Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
rasool aur bhi aaye jahaan par lekin,
Unsa Na Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
taaha o yaseen muzammil
markaz e kul aur husn e mukammil
Na Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
noor e mubeeñ hain
haq ke qareeñ hain
farsh makeeñ haiñ
arsh nasheeñ hain
Unsa, Na Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
noor e munawwar awwal o aakhir
roshan roshan baatin zaahir
Unsa Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
rasool e mujtaba kahiye
muhammad mustafa kahiye
khuda ke baad bas woh hain
phir iske baad kya kahiye
Na Unsa Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Muhammad Ka Saani Muhammad Ka Hamsar
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Agar Hai Toh Ik Zaat Allah Ki Hai
Jo Zaat e Muhammad Se A’ala Hai Warna
Muhammad Se Aala Muhammad Se Badh Kar
Na Pehlay Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Jise Haq Ne Bulwaaya Arsh e Ula Par
Hua Fazl e Haq Se Jo Mehmaan e Daawar
Khuda Ki Khudaayi Mein Aisa Payambar
Na Pehle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Zulaikha Theeñ Jis Pe Fida Jaan o Dil Se
Wo Yusuf Bahut Khoobsurat the, Lekin
Rukhe Mustafa Se Haseeñ Roo e Anwar
Na Pehlay Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Nabi Sare Mahboob Hain Kibriya Ke
Magar Ye Bhi Sach Hai Bajuz Mustafa Ke
Habib e Khuda Dono Aalam Ka Dilbar
Na Pahlay Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Badaayi Me Purnam Wo Baad Az Khuda Hain
Shahe Ambiya Hain Shahe Dosara Hain
Bashar Unke Rutbe Ka, Allah Ho Akbar !
Na Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Unsa, Na Pahle Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
———–
The Rutbe Me Pahle Par Aakhir Me Aaye
Bashar Unke Rutbe Pe Qurban Jaye
Muhammad Sa Afzal Muhammad Sa Aakhir
Na Pahlay Tha Koi Na Ab Hai Na Hoga
Urdu, Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
nabi syed ul anbiya ke barabar lyrics,
na pehle tha koi na ab hai na hoga lyrics