Nabi Nabi Ya Nabi Nabi Lyrics

Nabi Nabi Ya Nabi Nabi Lyrics

Qawwal : Aziz Mian

 

Ya Nabi.. Ya Nabi ..

Aye Khatm-e-Rusul Kaaba o Maqsood Tui
Dar Soorat-e Har Che Hast Maujood Tui

Aayaat-e Kamaal-e Haq AyaañNast Ba Tou
Aañ Zaat Ke Dar Parda Nihañ Bood Tui

 

Ya Nabi .. Ya Nabi ..

 

Ze Rahmat Kun Nazar Bar Haal-e Zaaram Ya Rasool Allah
Gharaibam Be Nawayam Khak Saram Ya Rasool Allah

Dam-e Aakhir Numaayi Jalwa-e Deedar Jaami Ra
Ze Lutfe Tou Hami Ummeedwaram Ya Rasool Allah

 

Ya Nabi .. Ya Nabi ..

 

Gharaibam Ya Rasool Allah Gharibam
Na Daaram Dar Jahañ Juz Tou Habeebam

Koi Aisa Nahi Jo Kaam Aaye
Mareez-e Gham Ko Bistar Se Uthaye

Maraz Daaram Ze Isiyañ Laa Dawaaye
Magar Altafe To Baashad Tabeebam

 

Gunah Aise Kiye Karne Na The Jo
Bahut Badkaar Huñ Lekin Yeh Sun Lo
Waseela Aapka Kafi Hai Mujhko

Bari Naazam Ke Hastam Ummati Tou
Gunahgaram Ba Lekin Khushnasibam

 

Ya Nabi .. Ya Nabi .. Ya Nabi .. Ya Nabi ..

 

Betaab Umangoñ Se Hardam
Dhak Dhak Mera Seena Hota Hai

Ik Hook Si Hoti Hai Dil Mein
Jab Yaad Madina Hota Hai

 

Ya Nabi .. Ya Nabi .. Ya Nabi .. Ya Nabi ..

 

Nabi Nabi Ya Nabi Nabi..
Ya Nabi Nabi Ya Nabi Nabi..

 

Sub’he Azal Ye Mujhse Kaha Jibraeel Ne

 

Nabi Nabi_Ya_ Nabi Nabi..
Ya_ Nabi Nabi Ya_ Nabi Nabi..

 

Mere Kano Mein chupke Se Kaha Peer e tareeqat ne, kah de

 

Nabi Nabi- Ya Nabi Nabi..
Ya Nabi Nabi Ya Nabi Nabi..

 

Dar-e Nabi Par Pada Rahunga

Dar e nabi Hai Dar e Nabi ..
Dar e nabi Hai Dar e Nabi ..

 

Jibreel Jiske Dar Ka Adna Gulam Hai Wo

Dar e nabi Hai Dar e Nabi ..
Dar e nabi Hai Dar e Nabi Hai

 

Dar e Nabi Par Pada Rahunga
Pade hi Rahane Se Kaam Hoga

Kabhi To Qismat Khulegi Meri
Kabhi To Mera Salam Hoga

 

Nabi Nabi Ya Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Ya Nabi Nabi..

 

Nooh Ko Jab Mauj-e Tufan Mein Kinara Mil Gaya
Aur Kalimullah Ko Lutfe Nazara Mil Gaya

Husn-e Yusuf Ko Zulekha Ka Sahara Mil Gaya
Al Gharaz Har Ek Bechare Ko Chara Mil Gaya

Ham Ghariboñ Ko Mohammad ﷺ Ka Sahara Mil Gaya

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Munawwar Jis Tarah Se Chand Hai Taaroñ Ke Jhurmut Mein

Ke Shamma Jis Tarah Jalti Hai Pardaaroñ Ke Jhurmut Mein

Masiha Jis Tarah Baitha Ho Beemaroñ Ke Jhurmut Mein
Ba Roz-e Hashr Ay Eemaan Walo Bus Isi Surat

Mohammad Mustafa ﷺ Hoñge Gunahgaroñ Ke Jhurmut Mein

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Laqab Khuda Se Muhammad ﷺ Ko Laa Jawab Mila
Bane Habib To Mahboob Ka Khitab Mila

Sabab Yeh Parde Ka Meraj Mein Huzur Se Tha
Kahe Na Koi Ke Maashooq Behijaab Mila

Momin Kabhi GhamNaak Nahin Ho Sakta
Ba Rafta e Idraak Nahin Ho Sakta

Sarkar-e Do Aalam Ki Mohabbat Ke Baghair
Insan Ka Dil Paak Nahin Ho Sakta

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Yahi Hai Aarzoo Sad Ehtamaami
Madina Ki Jo Mil Jaaye Ghulami

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Hamari Aankh Ne Dekha Ik Alam
Bane Hain Lafz-e Kun Se Laakhoñ Alam

Kyuñ ke
Khuda Ki Zaat Rabbil Alamiñ Hai Hai
Mohammad ﷺ Rahmatal Lil Alamiñ Hai

Khuda Ki Khudayi Ki Wus’at Jahañ Tak
Mohammad ﷺ Ki Shaan e Rahmat Wahañ Tak

Jahan Tak Khudayi Wahañ Tak Mohammad ﷺ
Jahan Tak Mohammad ﷺ Wahañ Tak Khudayi

 

Nabi Nabi Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Bula Loge Madina Mein To Meri Zindagi Hogi
Main Jaali Choom Looñga To Mukammal Bandagi Hogi

 

Nabi Nabi Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Namaz-e Zaahidaañ Mehrab o Mimber
Namaz-e Aashiqaañ..

Nabi Nabi Ya Nabi Nabi..
Ya Nabi Nabi.. Ya Nabi Nabi..

 

Madina Kahañ Aur Kahañ Maiñ Kamina
Tasawwur Ko Bhi Aa Raha Hai Pasina

 

Nabi Nabi Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Arbaab-e Nazar Ko Koi Aisa Na Milega
Insan To Mil Jayeiñge Maula Na Milega

Tareekh Agar Dhundhegi Saani e Mohammad ﷺ
Sani To Badi Cheez Hai Saya Na Milega

 

Nabi Nabi Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Yuñ To Kya Kya Nazar Nahiñ Aata
Koi Tumsa Nazar Nahin Aata

Jholiyañ Sabki Bharti Jaati Hain
Dene Wala Nazar Nahin Aata

Zere Saya Usi Ke Hain Ham Sab
Jiska Saya Nazar Nahin Aata

 

Nabi Nabi Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Gardooñ Pe Ghata Jhoom Ke Dhaani Aayi
Kausar Ki Khabar Inki Zabani Aayi

Jab Zulf Ko Bikhra Ke Mohammad ﷺ Aaye
Dosheeza e Rahmat Pe Jawani Aayi

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Dar e Nabi Par Pada Rahunga
Pade hi Rahne Se Kaam Hoga

Kabhi To Qismat Khulegi Meri
Kabhi To Mera Salam Hoga

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Ya Nabi Nabi.. Ya Nabi Nabi..

 

Jab Qareeb-e Arsh Pahunche Shaafa-‘e Roz-e Jazaa
Tab Khayal Aaya, Kareñ Naa’lain Paaoñ Se Juda

Ghaib Se Aayi Nida, Ye Qasd Hai Kya Aapka!
Tum Paye Naa’lain Aao Mustufa

 

Kaañpta Hai Arsh, Ye To Taalib-e Naalain Hai
Choom Lene Do Ise Naalain Ye BeChain Hai

Arz Ki Phir Aapne Ay Khaaliq-e Jinn o Bashar
Kya Sabab Hai Toor Pe Jab Tu Hua Tha Jalwagar

Hukm Tha Moosa Ko, Kareñ Naalain Paaoñ Se Juda
Aur Maye Naalain Mujhko Arsh Pe Bulwaa Liya

Ghaib Se Aayi Nida, Is Baat Par Bhi Ghaur Ho
Tum Kahañ! Musa Kahañ! Wo Aur The, Tum Aur Ho!

 

Ya Muhammad ﷺ,
Wo Nabi Thei (Lekin) Tum Payambar Bhi Ho Aur Mahboob Bhi
Wo Faqat Taalib Thei, Tum Taalib Bhi Ho Matloob Bhi

 

Aur Ya Muhammad ﷺ,
Wo Nabi Thei Lekin Tum Hamaare Noor Ho
Baat Itni Hai, Ke Tum Khud Hi Charaagh-e Toor Ho

 

Arsh Ki Zeenat Tumhi Ho Ya Muhammad Mustufa ﷺ
Farishte To Farishte Khud Khudae Paak Kahta Hai –

“InnAllaha Wa Malaayekatahu Yu Saalloona AlanNabi”

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Duniya Mein Haseeñ To Laakhoñ Haiñ
Tanveer-e Mujassam Koi Nahiñ

Aye Khatm-e-Risalat Tere Siwa
Mahboob e Do Aalam Koi Nahiñ

Koi Nahiñ.. Koyi Nahiñ ..
Tere Siwa.. Koyi Nahiñ ..

 

Nabi Nabi Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

Salaateen-e Aalam Apni Jagah Haiñ
Do Aalam Ka Sultan Apni Jagah Hai

Badalti Rahiñ Aasmani Kitabeñ
Mohammad ﷺ Ka Qur’an Apni Jagah Hai!

 

Qur’aan Ki Aur Sahib Qur’aan Ki Baateñ
Haaroon Ka Qissa Na Suleman Ki Baateñ

Qur’aan Ki Aur Sahib Qur’aan Ki Baateñ
Matloob Sar-e Bazm Haiñ Eemaan Ki Baateñ

 

Qur’aan Ka Koyi Mutabaatil Na Badal Hai
Qur’aan Har Ik Mudda-e Dushwaar Ka Hal Hai

 

Qur’aan Risalat Ka Muhaafiz Bhi, Khabar Bhi
Qur’aan Baseerat Bhi, Basaarat Bhi, Basar Bhi

 

Qur’aan Nazaayar, Bhi Nazaarat Bhi, Nazar Bhi نظائر نظارت
Qur’aan Ta’assur Bhi, Mabassir Bhi, Asar Bhi

 

Qur’aan Mein Sahra Bhi, Samandar Bhi, Hajar Bhi
Mahshar Ki Misaaleñ Bhi Haiñ, Sidra Ke Samar Bhi
Qur’aañ Ke Daaman Mein Har Ik Khushk Bhi Tar Bhi

 

Qur’aan Musaddaq Bhi, Mazaahir Bhi, Mubeeñ Bhi
Qur’aan Ke Huffaaz Haiñ Jibreel e Ameeñ Bhi

 

Qur’aan Munawwar Bhi, Mutaahir Bhi, Sada Bhi
Qur’aan Mukarram Bhi, Moazzam Bhi, Zeya Bhi

 

Qur’aan Khazeena Bhi Hai, Makhzan Bhi A’taa Bhi
Qur’aan Nawazish Bhi, Inaayat Bhi, Sakha Bhi

 

Qur’aan Muayyan Bhi, Qawaneen-e Khuda Bhi
Qur’aan Tahavvur Bhi, Tafaqqur Bhi, Sila Bhi

 

Qur’aan Muallim Bhi, Mudarris Bhi, Jaza Bhi
Qur’aan Mufakkar Bhi, Hidayat Bhi, Huda Bhi

 

Kaunain Ka Maqsad Bhi Hai, Kaunain Ki Had Bhi
Qur’aan Ki Aayat Mein Azal Bhi Hai Abad Bhi

 

Qur’aan Mein Dahshat Bhi, Naseehat Bhi, Dua Bhi
Qur’aan Mein Afkaar Bhi, Jurrat Bhi, Righa Bhi

 

Qur’aan Mein Inkaar Bhi, Aadaab-e Wafa Bhi
Qur’aan Mein In’aam Bhi, Rahmat Bhi, Saza Bhi

 

Qur’aan Ajooba Bhi, Ajaayab Bhi, Ajab Bhi
Qur’aan Qareena Bhi, Saleeqa Bhi, Adab Bhi

 

Allah Ki Marzi Bhi, Payambar Ki Raza Bhi
Eesa Ka Nafas, Hazrat-e Musa Ka Asaa Bhi

 

Daaood Ki Lai, Yusuf e Kin’aañ Ki Qabaa Bhi
Betabi-e Yaaqoob Bhi, Aadam Ki Dua Bhi

 

Qur’aan Mein Insaañ Bhi, Shayateen Bhi, Jin Bhi
Qur’aan Ki Aayaat Mein Raateñ Bhi Hain, Din Bhi

 

Qur’aan Muaalim Bhi, Madaawa Bhi, Madad Bhi
Musnad Bhi Muhammad ﷺ Ki, Muhammad ﷺ Ki Sanad Bhi

 

Qur’aan Khud Ahkaam Bhi, Haakim Bhi, Hukam Bhi
Qur’aan Muhammad ﷺ Ki Sadaqat Ka Bharam Bhi

 

Nabi Nabi Yaa.. Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Duniya Mein Haseeñ To Laakhoñ Haiñ
Tanveer-e Mujassam Koi Nahiñ

Aye Khatm-e-Risalat Tere Siwa
Mahboob e Do Aalam Koi Nahiñ

 

Mehman Hue Allah Ke Tum
Mehman Hue Allah Ke Tum

 

Jibreel-e Ameen Mukh Palakon Se
Mal-mal Ke Nabi Ko Jagaate Hain

Jaldi Se Chalo Ya Sarwar-e Deeñ
Allah Tumheñ Bulwaate Hain

Firdos Ka Jaama Noorani
Us Maah Ko Jab Pahnate Hain

Andaaz Pe Mit Mit Jaate Hain
Aur Apni Zabaañ Per Laate Hain

 

Mehman Hue Allah Ke Tum
Ye Jin o Malak Sab Jaante Hain

Khilwat Mein Kya Kya baten Huyiñ
Is Raaz Ka Maharam Koi Nahin

 

Tere Siwa Ya Muhammad ﷺ …
Tere Siwa Ya Muhammad ﷺ …

 

Gunahgaroñ Ka Haami Ba Roz-e Mahshar

Tere Siwa Koi Nahi …
Tere Siwa Ya Muhammad ﷺ …

Koi Nahiñ.. Koyi Nahiñ ..
Tere Siwa.. Koyi Nahiñ ..

 

Nabi Nabi .. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Peish-e Rasool Ek Din Jibreel Thei Khade
Fakhr-e Daraaz-e Umr Ko Dil Mein Liye Hue

Hañskar Ye Jibraeel Se Kehne Lage Nabi
Kya Umr Hai Tumhari Yeh Batlaao To Sahi

Ki Arz Jibraeel Ne Ya Sayyad-ul-Bashar
Mujhko To Apne Baare Mein Bus Itni Hai Khabar

 

Ya Nabi..
Hota Hai Sar-e Arsh Tulu Ek Sitara
Sattar Hazar Sal Ke Baad Dobara

Andaza Meri Umr Ka Kije Shahe Bala
Maine 70,000 Martaba Dekha Hai Woh Tara

 

Ye Sunkar Mustufa Ne Kaha (ay Jibrail) Jaan Sakoge
Woh Tara Agar Dekha To Pahchan Sakoge?

Ye Kah Ke Sarkar Ne Sar Se Amama Jo Hataya
Peshani e Nabi Mein Woh Tara Nazar Aaya

 

Nabi Nabi Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Alif Adam Mein Hai Mamdood Aur Ahmad Mein Behad Ka
Sabab Ye Hai Vahañ Saaya Tha, Yaañ Saaya Na tha Qad Ka

Musawwir Kheeñchne Baitha Jo Naksha Us Sahi Qad Ka
Kamar Ka Ye Parda Rakha Ke Khat Kheencha Na Daawar Ka

 

Tareef Kya Karun Maiñ Mohammad ﷺ Ke MEEM ka
Is MEEM Se Hai Daftar ALIF LAAM MEEM Ka

Wahdaaniyat Ka Jisko Agar Zauq o Shauq Ho
Parda Utha Ke Dekh Le Ahmad Ke Meem

 

Nabi Nabi Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Pahuñche Wo Balandiyoñ Par Apne Kamaal Se
Balaghal Ula Be Kamalehi

Door Kiya Andhere Ko Apne Jamaal Se
Kashafad-duja Be Jamalehi

Sabse Behtar Hai Khaslat Unki
Hasonat Jamio Khisalehi

Durood Ho Unki Aal Par
Sallu Alaihe Wa Aalehi

 

Deerooz Bustaan e Sara
Hama Tootiyaan-e-Khush Nawa
Padhti Thi Naat-e-Mustafa
Balaghal Ula Be Kamalehi

Aur Bulbuleñ Bhi Chaar Su
Le Le Ke Har Ek Gul Ki Bu
Karti Theeñ Baat Chaar Su
Kashafat Dujabe Jamalehi

Aur Qumriaan Bhi Shauq Mein
Daale Huye Sar Tauq Mein
Kehti Theeñ Apne Zauq Mein
Hasunat Jamiyo Khisalehi

Chidiyon Ke Sun Ke Chehchahe
Insaa Bhala Kyun Chup Rahe
Laazim Hai Usko Yun Kahe
Sallu Alehe Wa Aalehi

 

Hazrat Chale Meraj Ko
Balaghal Ula Be Kamalehi

Maula Ali Mushkil Kusha
Kashafat Dujabe Jamalehi

Hasnain Jaan-e Fatima
Hasunat Jamiyo Khisalehi

Sarwar Muhammad Mustufa
Sallu Alehe Wa Aalehi

 

Nahi Maaloom Kya Laate Hain Kya Laaya Nahi Karte
Kabhi Khaali To Jibreel-e Ameeñ Aaya Nahi Karte

Muhammad ﷺ Arsh Pe chup hain
Khuda-e Paak Kahta Hai
Tumhara Ghar Hai Apne Ghar Meiñ Sharmaya Nahi Krte

Tumheñ Ummat Ka Gham Hai Bakhsh Deñge, Ahd Karte Hain
Mohammad ﷺ! Ham Kabhi Jhooti Qasam Khaaya Nahi Karte

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Lab-e jibreel se awaaz yeh pyari aayi

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Ya Nabi Nabi..

 

Farishtay Jigar thaam lete hain apna
zameen per Jo leta hai Naam e Muhammad ﷺ

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..

 

Ruke Jo parde ko dekh Hazrat
Sada ye deti thi Haq ki Rahmat
Ke aaja parde mein pyare Ahmad
Ye parda yuñhi pada hua hai

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Ya Nabi Nabi..

 

Aziz Meem ke parde ko jab utha dekha
Tanei Rasool mein Maula chhupa hua dekha

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Ya Nabi Nabi..

 

Dar e Nabi Par Pada Rahunga
Main, Dar e Nabi Par Pada Rahunga

Dar e Nabi Phir.. Dare Nabi hai

 

Dar e Nabi hai.. Dare Nabi hai
Wo, Dar e Nabi hai.. Dare Nabi hai

 

Khabardaar aye dil Maqaam e Adab hai

Kyuñ, Wo Dar e Nabi hai.. Dare Nabi hai
Dar e Nabi hai.. Dare Nabi hai

 

Talash-e naksh-e kaf-e paa-e Mustafa Ki qasam
chune Hain Aankhon se Zarrat-e khaak-e Koo-e Rasool

 

Wo, Dar e Nabi hai.. Dare Nabi hai
Dar e Nabi hai.. Dare Nabi hai

 

Gadaaoñ ne jahan se taaj paaye

Wo, Dar e Nabi hai.. Dare Nabi hai
Dar e Nabi hai.. Dare Nabi hai

 

Aaqa tere ghulamoñ ne murde jilaaye

Wo, Dar e Nabi hai.. Dare Nabi hai
Dar e Nabi hai.. Dare Nabi hai

 

Dar e Nabi Par Pada Rahunga
Pade hi Rahane Se Kaam Hoga
Kabhi To Qismat Khulegi Meri
Kabhi To Mera Salam Hoga

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Ya Nabi Nabi..

 

Toor par muskuraane se kya faayeda
Parde-parde mein aane se kya fayeda
Chhup ke jalwa dikhaane se kya fayeda
Ab nazar aazmaane se kya fayeda

Raah mein jisko Zaad-e safar mil gaya
Zarra-zarra jise Jalwagar mil gaya
Ay Munawwar jise Unka Dar mil gaya
Usko dar pe jaane se kya fayeda

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Ya Nabi Nabi..

 

Main yeh samjhunga Mujhe Daulat-e Kaun Hai Mili
Zindagi Gar Dar-e Ahmad Pe Basar ho jaaye
Meri fariyad mein itna to Asar Ho Jaaye
Dil jo tadpe to Mohammad ﷺ ko khabar ho jaaye

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Ya Nabi Nabi..

 

Yeh kaifiyat bhi Baarha mujh pe Gujar gai
Tha Jalwa-e Rasool jahan tak nazar gai
Aankhon Ne Meri Sara Madina samo liya
Chhoti Si cheez kitna bada kaam Kar gai

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Ya Nabi Nabi..

 

Rooh aankhoñ meiñ shab-e gham jo adi hoti hai
Paañw meiñ bedi Mohabbat ki padi hoti hai
Ek aisi bhi Tasawwur ki ghadi hoti hai
Aankh Tasveer e Muhammad ﷺ se ladi Hoti hai

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Ya Nabi Nabi..

 

Na hua Aap Sa paida Koi Mumtaz Nabi
Aap par khatm hui Izzat o A’ala Nasabi
Sohra-e khalq hui Aapki waala Hasabi
Marhaba Sayyadi Makki Madani ul Arabi
Dilo jaañ baad fidayat che ajab khush laqabi

 

Ay saba tera Madine ki taraf ho jo guzar
To meri simt se aadaab pe yuñ karke nazar
Balke, sar rakh ke dare paak pe ba deeda e tar
Arz karna ba Huzure Shah-e har jinn o bashar
Chashm-e rahmat ba kusha soo-e man andaaz nazar

Aye Quraishi Laqabi Hashmi o Muttalabi

 

Ye bhi kahna ke mere dil ko sataate hain alam
Ye bhi kahna ke na taaqat hai na uthte hain qadam
Ye bhi kahna ke ye jaari hai zabañ par har dam

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Ya Nabi Nabi..

 

Maiñ to dooñdhat dhooñdhat haar gayi
Mujhe Pi ke Nagar ka dagar na mila,

Tan toot gayo, mann chhoot gayo
Mujhe haaye! wo Shyam-Sundar na mila.

Maiñ to baithi thi mann mein ye aas dhare
Ke wo aaqa piya mujhe yaad kare,

Wa Ke Charnoñ me, jaake maiñ sheesh dharuñ
Koi meri khata ko wo maaf kare.

Na Bani meiñ, na baagh mein khaayo mujhe
Na pahaad pe naagin haaye daso,

More bhaag se taal bhi chhoot gayo
Kahin preetam pyre ka ghar na mila.

Aziz Meem ke parde ko jab utha dekha
Tan-e-Rasool mein Maula chhupa hua dekha

 

Nabi Nabi.. Yaa Nabi Nabi..
Yaa Nabi Nabi.. Ya Nabi Nabi..

 

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Our Pages

Shayar

Naat Khwan:

Qawwali         

 

2 thoughts on “Nabi Nabi Ya Nabi Nabi Lyrics”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *