Nabi Ke Naam Ka Jalsa Sajana Kya Kehna Naat Lyrics Hindi
नबी के नाम का जलसा सजाना क्या कहना
इश्क़ ए सरकार में दौलत लुटाना क्या कहना
तेरे क़दमों के बराबर हमारा सर भी नहीं
मेरे शब्बीर तेरा सर कटाना क्या कहना
चांद सूरज ये सितारे नबी नबी बोले
दोनों आलम के नज़ारे नबी नबी बोले
मेरे सरकार का चर्चा कहां-कहां पे नहीं
सारे क़ुरआन के पारे नबी नबी बोले
सबकी बिगड़ी हुई तक़दीर बनाने वाला
हम ग़रीबों को कलेजे से लगाने वाला
वो कोई और नहीं आमना का बेटा है
हम गुनहगार को दोज़ख़ से बचाने वाला
दुआ ए मां के लिए घर से जो भी चलता है
हो चाहे जितनी भी मुश्किल वो बच निकलता है
करे जो मां का अदब और मां को खुश रक्खे
ज़मीं पे रह के भी जन्नत में वो टहलता है
Nabi Ke Naam Ka Jalsa Sajana Kya Kehna
Ishq e Sarkar Me Daulat Lutana Kya Kahna
Tere Qadmon Ke Barabar Hamara Sar Bhi Nahin
Mere Shabbir Tera Sar Katana Kya Kahna
Chand Suraj Ye Sitare Nabi Nabi Bole
Dono Aalam Ke Nazare Nabi Nabi Bole
Mere Sarkar Ka Charcha Kaha Kaha Pe Nahi
Sare Quran Ke Paare Nabi Nabi Bole
Sabki Bigdi Hui Taqdeer Banane Wala
Ham Gharibon Ko Kaleje Se Lagane Wala
Wo Koi Aur Nahi Aamna Ka Beta Hai
Ham Gunahgaron Ko Dozakh Se Bachane Wala
Dua e Maa Ke Liye Ghar Se Jo Bhi Chalta hai
Ho Chahen Jitni Bhi Mushkil Wo Bach Nikalta hai
Kare Jo Maa Ka Adab Aur Maa Ko Khush Rakkhe
Zamin Pe Rah Ke Bhi Jannat Me Wo Tahalta Hai
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam