Nabi Be-Misal Lyrics – jug jug jiyo Mere Laal, 12 Rabi Ul Awwal Qawwali Lyrics 2022
Lub per Hamare Naat Ke Ash’aar aa gaye
Aisa Laga Ke Samne Sarkar aa gaye.
Paida Huye Rasool To gooñji thi ye Sada
Donoñ Jahañ Ke Malik o Mukhtar aa gaye.
Mubarak Tujhe Amna Ho Mubarak
Tere Ghar Shahanshah e Abrar Aaye,
Mubarak Halima Tujhe Bhi Mubarak
Tere Ghar Me Nabiyoñ Ke Sardar Aaye.
Hooreñ boliñ..
Hooreñ boliñ Nabi bemisal
Kaheñ Amna..
Kaheñ Amna jug jug jiyo Mere Laal.
jug jug jiyo Mere Laal
jug jug jiyo Mere Laal
Ae Mere Laal…
jug jug jiyo Mere Laal
jug jug jiyo Mere Laal
Ae Laal Mere Tu Sada Dil Ke qareen hai
Ye naam Mohammad Tera sabse hasin Hai.
jug jug jiyo Mere Laal
jug jug jiyo Mere Laal
Kitna Baland Aaj ye Mera Naseeb Hai
Aagosh Hi Me Mere Khuda Ka Habib Hai.
jug jug jiyo Mere Laal
jug jug jiyo Mere Laal
Khaliq Ne De Diya Hai Tujhe Barkatoñ Ka Chand
Tu Bhi Janab e Amna Hai Rahmatoñ Ka Chand.
jug jug jiyo Mere Laal
jug jug jiyo Mere Laal
Duniya me Koi Aisa Bashar Aaya Nahiñ Hai
Saani Nahiñ Hai jiska Koi Saya Nahiñ Hai.
jug jug jiyo Mere Laal
jug jug jiyo Mere Laal
Nabiyoñ Se Bhi Ala Hai Mere Lal Teri Zaat
Sadqe Me Tere Hai Bani Ye Saari Qaynat
jug jug jiyo Mere Laal
jug jug jiyo Mere Laal
Donoñ Jahañ Ka Badshah Tu Mursaleen hai
Tu To Sarapa Rahmatullil Aalamin Hai.
jug jug jiyo Mere Laal
jug jug jiyo Mere Laal
Haq Ne Bana Diya Tujhe Nabiyoñ Ka Taajdar
Mahshar Me Banega Tu Hi Ummat Ka Madadgar.
jug jug jiyo Mere Laal
jug jug jiyo Mere Laal
Koun-o-Makañ Ka Waqif-e-Ahwaal Tu Hi Hai
Meraj Ka Dulha To Mere Lal Tu Hi Hai
jug jug jiyo Mere Laal
jug jug jiyo Mere Laal
jab Sarkar e Muhammad s.a.w ki paidaish e mubarak hui, aapki maa Hazrat e Bibi Amna ko tamaam ambiya ikram mubarak baad de rahe haiñ
Kis Tarah…
Maa Hawwa Aur Hazrat-e-Aadam Ne Ye Kaha
Ae Amna Badhai Ho Ghar Tere Mustafa
Paida Huye Yehi To Haiñ Sardar-e-Ambiya
Salle Ala Alaihi Wasallam Hai Martaba
Eesa-o-Musa Yunus-o-Idris-o-Zakariya
Kahne Lage ae Amna Kar Rab Ka shukriya
Tohfa Mila Hai Rahmatullil Aalmin Ka
Aagosh me Hai Teri ye Sultan Deen Ka
Dete Haiñ Tujhko Ham bhi badhai Ae Amna
Sidra se Aage Jiski Rasayi Hai Amna
Sidra se Aage Jiski Rasayi Hai Amna
Shukr e Khuda Kiya wahiñ Khush Hoke Jhoom Kar
Boliñ Janab e Amna Peshani Choom Kar
jug jug jiyo Mere Laal
jug jug jiyo Mere Laal
Hooreñ boliñ
Hooreñ boliñ Nabi bemisal
Kaheñ Amna
Kaheñ Amna jug jug jiyo Mere Laal
jug jug jiyo Mere Laal
jug jug jiyo Mere Laal
Ae Mere Laal…
jug jug jiyo Mere Laal
jug jug jiyo Mere Laal
Qawwal: Tahir Chishti
Our Pages
Naat-E-Paak
More Rabiul Awwal Se Mutalliq Kalam
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar