Na aasman ko yun sar kashida hona tha lyrics
न आस्मान को यूं सर कशीद होना था
Shayar: Ala Hazrat | Naat e Paak
Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Adnan Attari, Abdul Habib Attari,
Hadaaiqe Bakhshish Part 1
Hindi and english lyrics
न आस्मान को यूं सर कशीद होना था
हुज़ूरे ख़ाके मदीना ख़मीदा होना था
Na aasman ko yun sar kashida hona tha
Huzoore khake madina khamida hona tha
अगर गुलों को ख़ज़ां ना रसीदा होना था
कनारे ख़ारे मदीना दमीदा होना था
Agar gulon ko khazan na rashida hona tha
Kanarey khare madina damida hona tha
हुज़ूर उन के ख़िलाफ़े अदब थी बेताबी
मेरी उम्मीद! तुझे आरमीदा होना था
Huzoor un ke khilaafe adab thi betaabi
Meri ummid! Tujhe Aarmida hona tha
नज़ारा ख़ाके मदीना का और तेरी आँख
न इस क़दर भी क़मर शोख़ दीदा होना था
Nazara khake madina ka aur teri aankh
Na is qadar bhi shokh deeda hona tha
कनारे ख़ाके मदीना में राहतें मिलतीं
दिले ह़ज़ीं ! तुझे अश्के चकीदा होना था
Kanarey khake madina me raahatein milti(n)
Dile hazin ! Tujhe ashke chakidaa hona tha
पनाहे दामने दश्ते ह़रम में चैन आता
न सब्रे दिल को ग़ज़ाले रमीदा होना था
Panaahey daamne dasht e haram me chain ata
Na sabre dil ko ghazaal e rameeda hona tha
यह कैसे खुलता कि उन के सिवा शफ़ीअ़ नहीं
अ़बस न औरों के आगे तपीदा होना था
Yeh kaise khulta ki unke siwa shafi’aa nahi
Abas na auro(n) ke aage tapida hona tha
हिलाल कैसे न बनता कि माहे कामिल को
सलामे अब्रूए शह में ख़मीदा होना था
Hilaal kaise na banta ki maahe kaamil ko
Salam e abroo e shah me khamida hona tha
ला अम ला अन्ना जहन्नम था वा’दए अज़ली
न मुन्किरों का अ़बस बद अ़क़ीदा होना था
Laa-am laa-anna jahannam tha wa’da e azli
Na munkiro ka abas bud aqeeda hona tha
नसीम क्यूं न शमीम उन की त़यबा से लाती
कि सुब्हे गुल को गिरीबां दरीदा होना था
Nasim kyon na shamim unki taiba se laati
Ki subh e gul ko giriba(n) darida hona tha
टपकता रंगे जुनूं इश्के़ शह में हर गुल से
रगे बहार को निश्तर रसीदा होना था
Tapakta rung e junu ishq e shah me her gul se
Rug-e-bahar ko nishtar rasida hona tha
बजा था अ़र्श पे ख़ाके मज़ारे पाक को नाज़
कि तुझसा अ़र्श नशीं आफ़रीदा होना था
Baja tha arsh pe khak e mazar e paak ko naaz
Ki tujhsa arsh nashi(n) Aafrida hona tha
गुज़रते जान से शोरे या ह़बीब के साथ
फुग़ां को नालए ह़ल्के़ बुरीदा होना था
Guzartey jaan se shore ya habeeb ke sath
Fugha(n) ko naalae halke burida hona tha
मेरे करीम गुनाह़ ज़ह़र है मगर आख़िर
कोई तो शहदे शफ़ाअ़त चशीदा होना था
Mere karim gunaah zahar hai magar aakhir
Koi to shahad e shafa’at chashida hona tha
जो संगे दर पे जबीं साइयों में था मिटना
तो मेरी जान शरारे जहीदा होना था
Jo sung e dar pe jabi(n) saayion me tha mitna
To meri jaan sharare jahida hona tha
तेरी क़बा के न क्यूं नीचे नीचे दामन हों
कि ख़ाकसारों से यां कब कसीदा होना था
Teri qba ke na kyo(n) neechey neechey daman ho(n)
Ki khaksaro(n) se ya(n) kab kasida hona tha
रज़ा जो दिलं को बनाना था जल्वा गाहे ह़बींब
तो प्यारे क़ैदे खुदी से रहीदा होना था
Raza jo dil ko banana tha jalwa gahe habeeb
To pyare qaide khudi se raheeda hona tha
Hindi and english naat lyrics
Our Pages
Naat-E-Paak
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar