Muzda Baad Ae Aasiyon  Shaafe’aa Shahe Abraar Hai

Muzda Baad Ae Aasiyon  Shaafe’aa Shahe Abraar Hai
Muzda Baad Ae Aasiyon  Shaafe’aa Shahe Abraar Hai

Muzda Baad Ae Aasiyon  Shaafe’aa Shahe Abraar Hai Naat Lyrics

मुज़्दाबाद ऐ आ़सियो ! शाफ़ेअ़ शहे अबरार है

Shayar:  Ala Hazrat  | Naat e Paak

Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Tayyab Attari, Sayyad Abdul Wasi, Afsar Ahmad,

Hadaaiqe Bakhshish Part 1

Hindi And English Naat lyrics

 

मुज़्दाबाद ऐ आ़सियो ! शाफ़ेअ़ शहे अबरार है

तहनियत ऐ मुजरिमों ! ज़ाते खुदा ग़फ़्फ़ार है

Muzda Baad Ey Aasiyon  Shaafe’aa Shahe Abraar Hai

Tahniyat Ey Mujrimo ! Zaate Khuda Ghaffaar Hai

 

अ़र्श सा फ़र्शे ज़मीं है फ़र्शे पा अ़र्शे बरीं

क्या निराली तर्ज़ की नामे खुदा रफ़्तार है

Arsh Saa Farsh-E-Zami Hai Farsh-E-Paa Arsh-E-Barin

Kya Niraali Tarz-E-Ki Name Khuda Raftaar Hai

 

चांद शक़ हो पेड़ बोलें जानवर सज्दे करें

बारा कल्लाह  मरज-ए़ आ़लम यही सरकार है

Chand Shaq Ho Ped Bolein Janwar Sajde Kare(N)

Baara Kallah Maraj-E-Aalam Yahi Sarkar Hai

 

जिन को सूए आसमां फैला के जल थल भर दिया

सदक़ा उन हाथों का प्यारे हमको भी दरकार है

Jin Ko Sooye Aasma(N) Faila Ke Jal Thal Bhara Diya

Sadqa Un Haath(N) Ka Pyaare Hamko Bhi Darkar Hai

 

लब जुलाले चश्मए कुन में गुन्धे वक़्ते ख़मीर

मुर्दे जिन्दा करना ऐ जां तुम को क्या दुशवार है

Lab Julaale Chashm-E-Kun Me Gundhe Waqt-E-Khameer

Murde Jinda Karna Ey Jaa(N) Tum Ko Kya Dushwaar Hai

 

गोरे गोरे पाउं चमका दो खुदा के वासित़े

नूर का तड़का हो प्यारे गोर की शब तार है

Gore Gore Paau(N) Chamka Do Khuda Ke Wasite

Noor Ka Tadka Ho Pyaare Gor Ki Shub Taar Hai

 

तेरे ही दामन पे हर आ़सी की पड़ती है नज़र

एक जाने बे ख़ता पर दो जहां का बार है

Tere He Daman Pe Har Aasi Ki Padti Hai Nazar

Ek Jaane Be Khata Par Do Jahan Ka Baar Hai

 

जोशे त़ूफ़ां बह़रे बे पायां हवा नासाज़गार

नूह़ के मौला करम कर ले तो बेड़ा पार है

Joshe Toofa Bahre Be Paaya Hawa Nasaazgaar

Nooh Ke Moula Karam Kar Le To Beda Paar Hai

 

रह़मतुल्लिल आ़लमीं तेरी दुहाई दब गया

अब तो मौला बे त़रह़ सर पर गुनह का बार है

Rahamtullil Aalmin Teri Duhaai Daba Gaya

Ab To Moula Be Tarah Sar Par Gunah Ka Baar Hai

 

ह़ैरतें हैं आईना दारे वुफूरे वस्फ़े गुल

उनके बुलबुल की ख़मोशी भी लबे इज़्हार है

Hairat-E-Hein Aaina Dare Wufoore Wasf-E-Gul

Unke Bulbul Ki Khamoshi Bhi Labe Izhaar Hai

 

गूंज गूंज उठ्ठे हैं नग़माते रज़ा से बोस्तां

क्यूं न हो किस फूल की मिदह़त में वा इनकार है

Goonj Goonj Uththe Hein Naghmate RAZA Se Bosta(N)

Kyon Na Ho Kis Phool Ki Midhat Me Wa Inkaar Hai

 

Hindi And English Naat Lyrics

Hindi And English Naat Lyrics


| Naat-E-Paak |  Ajmal Sultanpuri |  | Ala Hazrat NaatAkhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan | Khalid Mahmud Khalid |

| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan | 

| Sufi Song  | Khailash Kher |     

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *