Mustafa Ki Taraf Dekhiye Naat Lyrics | Ghulam Noore Mujassam

Mustafa Ki Taraf Dekhiye Naat Lyrics 

Balaghal Ula be-Kamaalehi
Kashafaddujabe-Jamaalehi
Hasonat Jameeo KHisaalehi
Sallu Alihe Wa Aalehi
Sallu Alihe Wa Aalehi.

 

Sarta-Ba-Qadam Hai Tan-e-Sultan-e-Zaman Phool !
Lab Phool, Dahan Phool, Zaqan Phool, Badan Phool !!

Tinka Bhi Hamare To Hilaye Nahin Hilta !
Tum Chaho To Ho Jaye Abhi Koh-e-Mihan Phool !!

 

Kya Baat Raza Us Chamanistaan-e-Karam Ki !
Zehra Hai Kali Jisme, Hussain Aus Hassan Phool !!

Sallu Alai Hi Wa Aale Hi
Sallu Alai Hi Wa Aale Hi

 

Jab Na Koi Sahara Mile
Mustafa Ki Taraf Dekhiye,
Kaam Jab Na Dawa Se Chale
Mustafa Ki Taraf Dekhiye.

 

Chand Din Ka Thikana Hai Ye
Aur Ik Qaid Khana Hai Ye,
Saari Duniya Se Muh Mod Ke
Mustafa Ki Taraf Dekhiye.

Nafsi Nafsi Ka Hoga Samaañ
Jab Na Hoga Koi Mehrbañ,

 

(Kaheñ ge aur Nabi izhabu ilaa ghairi)

 

Nafsi Nafsi Ka Hoga Samaañ
Jab Na Hoga Koi Mehrbañ,
Ambiya Bhi Ye Farmayenge
Mustafa Ki Taraf Dekhiye.

 

(Aziz Bachhe Ko Maa Jis Tarah Talash Kare
Khuda Gawah Yehi Haal Aapka Hoga!)

 

Nafsi Nafsi Ka Hoga Samaañ
Jab Na Hoga Koi Mehrbañ,
Ambiya Bhi Ye Farmayenge
Mustafa Ki Taraf Dekhiye.

 

Rab Ke Mahboob-e-Yakta Haiñ Wo
Aur Jaan-e-Masiha Hain Wo,
Dard-o-Gham Ki Dawa Ke Liye
Mustafa Ki Taraf Dekhiye.

 

Ye Sahaba Ka Ailaan Hai
Sunnat-e-Mustafa Jaan Hai
Jung Jeetein Ye Miswak Se
Mustafa Ki Taraf Dekhiye

 

(Ae Gumbad-e-Khazra Ke Makiñ Meri Madad Kar
Ya Phir Ye Bata Kon Mera Tere Siwa Hai)

 

Ye Sahaba Ka Ailaan Hai
Sunnat-e-Mustafa Jaan Hai,

 

(Husn-e-Yusuf pe katiñ Misr me angusht-e-zanaa
Sar kataate haiñ tere naam pe mardaan-e-arab)

 

Ye Sahaba Ka Ailaan Hai
Sunnat-e-Mustafa Jaan Hai,
Jung Jeeteiñ ge Miswak Se
Mustafa Ki Taraf Dekhiye.

 

(Ay Gumbad-e-KHazra ke makeeñ meri madad kar,
Ya phir ye bata, kaun mera tere siwa hai.)

 

Ye Sahaba Ka Ailaan Hai
Sunnat-e-Mustafa Jaan Hai,
Jung Jeeteiñ ge Miswak Se
Mustafa Ki Taraf Dekhiye.

 

Mushkiloñ Me Ye Kaam Aayega
Kaam Bigda Hai Ban Jayega,
Main Batata Hooñ Kya Kijiye
Mustafa Ki Taraf Dekhiye.

 

Hai Wasila Bada Motabar
Jald Pahunchege Taiba Nagar,
Apne Khwaja Ke Ajmer Se
Mustafa Ki Taraf Dekhiye.

 

Rasta Hai Ye Sachhayi Ka
Aur Pata Hai Ye Danayi Ka,
Aala Hazrat Yehi Kah Gaye
Mustafa Ki Taraf Dekhiye.

 

Sochte The Yazidi Sabhi
Bazu Abbas Ke Kat Gaye,
Keh Rahe The Ye Bazu Kate
Mustafa Ki Taraf Dekhiye.

 

Naat Khwan: Ghulam Noore Mujassam

Our Pages

Hamd-E-Baari-T’aala 

Naat-E-Paak         

Rabiul Awwal Mutalliq Kalam

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Shayar

Naat Khwan:

         Qawwali