Mustafa Haq-Numa Lyrics| Muhammad Samie| Zehaal-e-Miskeen |
Mustafa Haq-Numa Lyrics
Mustafa Haq-Numa Sirr-e-Kaun-o-Makañ ×2
Rabb-e-Aalam Bhi Aashiq Tera Ho Gaya.
Khuli Wo Zulf To Pahli Haseen Raat Hui
Khule Wo Hoñt To Tafseer-e-Kayenat Hui
Mustafa Haq-Numa Sirr-e-Kaun-o-Makañ ×2
Khuda Jane Kahañ Se Jalwa-e-Janañ Kahañ Tak Hai
Wahiñ Tak dekh Sakta Hai, Nazar Jiski Jahañ Tak Hai.
Mustafa Haq-Numa Sirr-e-Kaun-o-Makañ ×2
Noore Ahad Hai Meem Ke Parde Meiñ Jalwagar
Rutba Mere Huzoor Ka Samjhe Ga Kya Bashar!
Wo khuda nahi bakhuda nahi
Wo magar khuda se juda nahi,
Wo haiñ kya magar wo haiñ kya nahi
Ye muhib habeeb ki baat hai.
Mustafa Haq-Numa Sirr-e-Kaun-o-Makañ ×2
Do aalam ba kaakul giraftar daari
Ba-har mu hazaarañ siyahkar daari,
Ze sar ta ba pa rahmati ya Muhammadﷺ
Nazar janib-e-har gunahgar daari.
Hameñ fikr-e-mehshar bhala kis liye ho
Hamara khuda hai Khuda-e-Muhammad ﷺ,
Khuda ki Raza chahte haiñ do aalam
Khuda chahta hai Raza-e-Muhammad ﷺ.
Ho..o..o.
Mustafa Haq-Numa Sirr-e-Kaun-o-Makañ ×2
Ilaaj ki nahi haajat dil-o-jigar ke liye
Bas is nazar Teri kaafi hai umr bhar ke liye
Ze Haal-e-Miakeeñ Makun Taghaful, Doraye Naina Banaye Batiyañ
Keh Taab e Hijrañ Na Daaram Ay Jaañ, Na Lehu Kaahe Lagaye Chhatiyañ.
Shabaane Hijrañ Daraaz Chuñ Zulf o
Roz-e-Waslat Cho Umre Kotah
Sakhi Piya Ko Jo Maiñ Na Dekhuñ, To Kaise Kaatuñ Añdheri Ratiyañ?
Ayi jaane man jaanaane man, bar man nigar sultan e man
Yak shab biya mehmane man, az mann chara ranjeegayi
Man aashiqe, diwana am, andar Jahan afsana am
Tou shamm e man, parwana am, az man chara ranjeegayi.
Cho maahe dar arz-o-sama taabañ tui taabañ tui
Rashke malak noore khuda insañ tui insañ tui
Ho..o..o.
Aashiq hue sab mahlaqa,
sab atqiya sab aafiya,
Sab auliya sab ambiya,
Aashiq hua khud hi Khuda !
Kya chehra e masroor hai !
Jo husn se maamoor hai !
Kya gardan e purnoor hai !
Qad rashk e qadde hoor hai!
Kya fahm kya idraak hai
Noori tera poshaak hai
Tan paak hai mann paak hai
Kaisa Shah e Laulaak hai.
Aafaak ha gardeeda am
Mehre butaañ warzeeda am
Bisyaar khoobaañ deeda am
Lekin tou cheeze deegari
Ho..o..o.
Mustafa Haq-Numa Sirr-e-Kaun-o-Makañ ×3
Rabb-e-Aalam Bhi Aashiq Tera Ho Gaya.
Tune Mahduh-e-Yazdañ Khuda Ki Qasam
Jis Pe Daali Nazar Wo Tera Ho Gaya.
Shab Hai Meraj Ki Daal Kar Noor Ka
Parda-e-Aqdas-e-Sidrat-ul-Muntaha,
Keh Diya Mustafa Se Khuda Ne Samie
Jo Tera Ho Gaya Wo Mera Ho Gaya.
Hai Taqaza Yahi Mere Iman Ka
Tazkara Ab Ho Aqa Teri Aal Ka
Ya Ali Ya Batool o Hussain o Hassan
Deen Tum Se Nabi Ka Baqa Ho Gaya.
Salle Ala Salle Ala Ya Nabi Ya Nabi
Syedna Syedna Ya Ali Ya Ali
Syedna Syedna Ya Hassan Ya Hussain
Haq Hussain … Ya Hussain
Haq Hussain … Ya Hussain
Kaise Bhali Lage Use Khushbu Gulab Ki
Sooñghe Jo Musk-e-Khaak-e-Dar-e Bu-Turab Ki
Maqrooz Hai Hussain Ki Ummat Rasool Ki
Jisne Lahu Se Ishq Ki Matti Serab Ki
Haq Hussain … Ya Hussain
Haq Hussain … Ya Hussain
Ya Hussain … Ya Hussain … Ya Hussain
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan: