Mujhko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin Lyrics

Mujhko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin Lyrics in Urdu, Hindi and English

Qawwal: Nusrat Fateh Ali Khan


اردو میں پڑھیے


हिंदी में पढ़िए


tumhara saani risalat ma’aab ho na saka
tumhara koi kahin bhi jawaab ho na saka,

rasool aur bhi aaye jahaan mein lekin
koi bhi sahib-e-umm-ul-kitaab ho na saka.

 

Ya Rasool e Khuda Sayyad e Do Sara
Aye Shah-e-Ambiya Aye Mere Mustafa

Mujhko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin

 

rasool aur bhi aaye jahaan meiñ lekin

Mujhko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin

 

Eesa ko bhi dekha
Musa ko bhi dekha
Yusuf ko bhi dekha, par

Mujh Ko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin

 

phire zamaane meiñ chaar jaanib
nigaar e yakta tumhiñ ko dekha,
haseen dekhe, jameel dekhe
par ek tumsa tumhiñ ko dekha.

Mujh Ko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin

 

shah-e-yasrabi tere husn ki
kise taab jo kare hamsari

na guloñ mein aisi shaguftagi
na ye rung-o-boo na ye taazgi

ye ankhokhi chhab, ye nai phaban
ye adayeiñ pyari, ye saadgi

teri misl koi hua na ho
tere sadqe jaauñ maiñ ya Nabi

Mujh Ko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin

 

Ya Rasool e Khuda Sayyed e Do Sara
Aye Shah e Ambiya Aye Mere Mustafa
Mujh Ko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin

 

Tera Dar Hai Zamaane Meiñ Sabse Bada
Tere Dar Se Nahin Koi Khaali Gaya
Shahinshah-e-Karam, Shahinshah-e-A’taa
Aye Shah e Ambiya Aye Mere Mustafa
Mujh Ko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin

 

Jo Bhikaari Gaye Taajwar Ho Gaye
Din Ghareeboñ Ke Achchhe Basar Ho Gaye
Tere Dar Se Mila, Jisko Jo Kuch Mila
Aye Shah-e-Ambiya Aye Mere Mustafa
Mujh Ko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin.

 

meraaj mein jibreel se kehne lage shah-e-umam
tune toh dekhe hain haseeñ batlao toh kaise hain ham
rooh-ul-ameeñ kehne laga aye nazneeñ haq ki qasam
afaak ha gar deeda um mehr-e-butañ warzeeda um
bis yaar khoobañ deeda um lekin tou cheez-e-deegari

Mujh Ko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin

 

Jisko Tujhse Shaha Koi Nisbat Hui
Usko Duniya Ke Gham Se Rihayi Mili
Tu Hai Har Dard Ki Har Alam Ki Dawa
Aye Shah-e-Ambiya Aye Mere Mustafa
Mujhko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin

 

Ya Nabi Iltijaoñ Ka Rakhna Bharam
Soo-e-Naadir Bhi Ho Ek Nazr-e-Karam
Kaun Duniya Meiñ Hai Tujhsa Haajat Rawa
Aye Shah-e-Ambiya Aye Mere Mustafa
Mujhko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin

 

teri deed karne ko khud khuda
tujhe paas apne bula liya
toh bitha ke saamne ye kaha,

Mujhko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin

 

soorat ko teri dekh ke kuch muh se na nikla,
nikla toh ye nikla, bas

Mujhko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin

 

har har kundal kundal utte
aashiq da dil dole
husn tere di sift ki aakhañ
kaafir kalma bole

Mujhko Teri Qasam Tujhsa Koi Nahin

Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali