Mujhko Sarakar Ki Khidmat Me Bulaya Jata
Samne Unke Mohabbat Me Baithaya Jata
Dekhta Rahta Maiñ Sarkar Ke Jalwe Har-dam
Mujhko Aaqa Ki Sakhawat Ki Me Lutaya Jata
Mujhko Sarakar Ki Khidmat Me Bulaya Jata
Samne Unke Mohabbat Me Baithaya Jata
Aankh Ko Jab Rukh-e-Pur Noor Ka Jalwa milta
Zindagi Ko Isi Sohbat Me Sajaya Jata
Mujhko Sarakar Ki Khidmat Me Bulaya Jata
Samne Unke Mohabbat Me Baithaya Jata
Karta Deedar Maiñ Rouze Ka Nazar Bhar-Bhar Ke
Bagh-e-Jannat Me Kahiñ Mujhko Bithaya Jata
Dil Me Ik Aas Liye Baitha Hun Is Rouze Pe
Kash Aaqa Ke Ghulamoñ Me Uthaya Jata
Mujhko Sarakar Ki Khidmat Me Bulaya Jata
Samne Unke Mohabbat Me Baithaya Jata
Kash Ye Jaan Nikal Jaati Madine Me Kahiñ
Phir Mujhe Koocha-e-Aaqa Me Sulaya Jaata
Mujhko Sarakar Ki Khidmat Me Bulaya Jata
Samne Unke Mohabbat Me Baithaya Jata
Hoti Mahsoos Jo Khushboo-e-Mohammad Saqi
Qalb Ko Iski Halwat Me Chhupaya Jata
Mujhko Sarakar Ki Khidmat Me Bulaya Jata
Samne Unke Mohabbat Me Baithaya Jata
Naat Khwan: Hafiz Ahmed Mujtaba
Lyrics: Samiullah Saqi
New Naat Sharif Lyrics In Hindi And English 2023
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar