Mujhe Kya Khabar Thi Kahan Meri Manzil

Mujhe Kya Khabar Thi Kahan Meri Manzil Lyrics

Qawwal : Faryad Ali

Mujhe Kya Khabar Thi Kahañ Meri Manzil Lyrics
Mujhe Kya Khabar Thi Kahañ Meri Manzil

हिन्दी लिरिक्स

Duniya Ne Jab Bhi Ham Pe Koi ilzam Rakh Diya
Hamne Muqaabile Meiñ Tera Naam Rakh Diya

Ab Jis Ke Ji Mein Aaye Wohi Paaye Raushni
Hamne To Dil Jala Ke Sar-e Aam Rakh Diya

 

Kabhi Jeete Jeete Maiñ Mar Gaya
Kabhi Marte Marte Maiñ Jee Utha
Mere Jaan-e Jaañ Tera Shukriya
Mujhe Jeena Marna Sikha Diya

 

Ajab Tamaasha Hai Mitti Se Bane Logoñ Ka
Be Wafayi Karo To Rote Hain Wafa Karo To Rulaate Haiñ

 

Jis Waqt Hujoom-e Masti Ho
Insaañ Ka Sañbhalna Mushkil Hai
Uth Jaaye Jo Inki Ek Nazar
Phir Hosh Meiñ Rahna Mushkil Hai

 

Gumraah Hui Hai Aql Fana
Le Aaya Kahan Ye Zauq-e Talab
Kal Unka Samajhna Mushkil Tha
Aaj Apna Samajhna Mushkil Hai

Mujhe Kya Khabar Thi Kahan Meri Manzil

Mujhe Kya Khabar Thi Kahan Meri Manzil
Mujhe Ishq Tera Yahan Kheiñch Laaya …

 

Maine jaana kahañ tha kahan aa gaya
Dil ye lutna kahan tha kahan lut gaya

 

Mujhe Kya Khabar Thi Kahan Meri Manzil
Mujhe Ishq Tera Yahan Kheiñch Laaya …

 

Butkada nazdeek Kaaba Door tha
Main idhar hi rah gaya majboor tha

 

Mujhe Kya Khabar Thi Kahañ Meri Manzil
Mujhe Ishq Tera Yahañ Kheiñch Laaya

Tujhe Chhodkar Maiñ Kahiñ Ja Saka Na
Mujhe Tune Aisa Deewana Banaya …

 

Na Gharaz Haram Ke Waqar Se
Na To Butkade Ki Bahaar Se
Hame Kaam Hai Dar-e Yaar Se
Dar-e Yaar Phir Dar-e Yaar Hai

 

Tujhe Chhodkar Maiñ Kahiñ Ja Saka Na
Mujhe Tune Aisa Deewana Banaya …

 

Tujhe Maine Chaha Hai Dil Ki Nigah Se
Ke Mahsoos Tujhko Kiya Maine Khud Meiñ
Tassavur Judaai Ka Kaise Karuñ Maiñ
Jahañ Maine Chaha Wahiñ Tujhko Paya ..

 

Haram Meiñ Shaikh-e Haram BeQaraar Baithe Hain
Khuda Nibhaana Unhe Dil Wo Haar Baithe Haiñ

Nigaah Yaar Ne Bakhshi To Maine Ye Samjha
Libaas-e Yaar Mein Parwar Digaar Baithe Haiñ

 

Tassavur Judaai Ka Kaise Karuñ main
Jahañ Maine Chaha Wahiñ Tujhko Paya ..

 

Basi Meri Aañkhoñ Meiñ Hai Surat Tumhari Gunah Hoga Jo Maiñ Koi Aur Dekhooñ …

 

Ghair Dekha Hai Na Ghairon Ki Nazar Dekhi Hai
Meri Nazroñ Ne Faqat Teri Nazar Dekhi Hai

Maine Wo kufr Kiya kufr bhi kufr-e Azam
Teri Nazroñ Ke Siwa Aur Agar Dekhi Hai

 

Basi Meri Aañkhoñ Meiñ Surat Tumhari Gunah Hoga Jo Maiñ Koi Aur Dekhooñ
Tumhari Qasam Hai Nahiñ Hosh Mujhko Nigahoñ Se Tumne Ye Kya Hai Pilaya ….

 

Ham Hosh bhi apna bhool gaye
Imaan bhi apna bhul gaye
Ik Dil Hi Nahin Us Bazm Mein Ham
Naa Jaane Kya Kya Bhool Gaye

 

Tumhari Qasam Hai Nahiñ Hosh Mujhko Nigahoñ Se Tumne Ye Kya Hai Pilaya ….

 

Dhadakta Ye Dil Bhi Tumhare Liye Hai
Tera Pyar Isko Jila De Raha Hai
Wagarna Kahañ Maiñ Kahañ Shaan Teri
Karam Hai Ke Qadmoñ Se Mujhko Lagaya …

 

Karam Kiya Mujhe Apna Bana Liya

 

Wagarna Kahañ Maiñ Kahañ Shaan Teri
Karam Hai Ke Qadmoñ Se Mujhko Lagaya..

 

Mujhe Banda-Parwar Juda Ab Na Karna
Tere Paas Rahne Ki Aadat Padi Hai

Tumhari Wajah Se Hi Izzat Mili Hai
Maiñ Jee Na Sakooñga Jo Daman Chhudaya ….

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *