Mujhe Aazmane Wale Mujhe Aazma Ke Roye Lyrics

Mujhe Aazmane wale Mujhe aazma ke roye lyrics

Qawwal : Aziz Mian

 

Aqal ke sog maar dete hain
Ishq ke rog maar dete hain
Aap khud to koi nhi marta
Aji, dusre log maar dete hain

 

Are, yeh log kehte hain..
Ke parbat se nikal kar chasme,
kisi khoyi hui manzil ka pata dete hain

Aur sar-e-shaam hawa unke liye chalti hai
Jinke mehboob bahot door kahi rehte hain

 

Are, baal bikhraye tooti qabroñ par
Jab koyi mehjabeen roti hai

Mujhko aksar khayaal aata hai.
Mian, maut kitni haseen hoti hai

 

Lipat kar meri qabr se, phool barsaane ke baad.
Ro pada woh bewafa bhi mujh ko dafnane ke baad

 

Mujhe aazmane wale mujhe aazma ke roye…

 

Mujhe aazmane wale… mujhe aazma ke roye
Meri dastaan-e-hasrat woh suna suna ke roye ..

Meri daastane-daastane ..
Meri daastane-daastane ..

 

Unko pahonchi Khabar jab meri maut ki…
Aankh unki bhi ashko se bhar jayegi…

Unke kaandho pe hoga janaza mera…
Baad marne ke qismat sawar jayegi

 

Meri dastaan-e-hasrat woh suna suna ke roye ..

Meri daastane-daastane ..
Meri daastane-daastane ..

 

Lasha sadiq Wafa ka uthaye hue
Unki nazuk kalayiyañ to thak jayengi
Hoke behaal aakhir girenge wo jab
Meri mayyat lahed mein utar jayegi

Meri daastane-daastane ..
Meri daastane-daastane ..

Aaye upar chhod kar gesu jo bal khaye hue
Maine dekha chaand pe wo saañp lahraye hue

Baagh-e Gul tanveer ha bargashta wo sanam
Fatha ko phool bhi laya to murjhaye hue

Meri daastane-daastane ..
Meri daastane-daastane ..

 

Na kisi ki raat ka phool hoon
Na kisi ke dil ka qarar hooñ
Jo kisi ke kaam na aa sake
Maiñ wo ek musht-e ghubar hoon

 

Mera bakht mujhse bichhad gaya
Mera rang-roop bigad gaya
Jo chaman khizañ se ujad gaya
Main usi ki fasle bahaar hoon

Meri daastane-daastane ..
Meri daastane-daastane ..

 

Meri dastaan-e-hasrat woh suna suna ke roye ..

 

Koi aisa ahl-e-dil ho jo fasane-e-mohabbat
Jise me suna ke rouñ, mujhe woh suna ke roye

 

Meri be wafayiyoñ par, meri kaj adayiyoñ par
Kabhi sar jhuka ke roye, kabhi muñh chhupa ke roye

 

Jo sunayiñ anjuman me shab-e-gham ki aap beeti
Kahin ro ke muskuraye kahin muskura ke roye

 

Main hoon bewatan musafir, mera naam bekasi hai
Mera koi bhi nahi hai jo gale laga ke roye

 

Mere paas se guzar kar meri baat tak naa poochhi
Main yeh kaise maan jaauñ ke woh door jaake roye

 

Kabhi mujhse rooth kar woh, jo mile the raaste mein
Main Unheñ mana ke roya, woh mujhe manaa ke roye

mujhe azmane wale lyrics, mujhe azmane wale lyrics,  mujhe azmane wale lyrics,

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

 

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *