Muhammad Sa Koi Nahin Lyrics – Tasneem Arif
Koi Nabi Nahin Mere Sarkar Ki Tarha
Yani Janab E Ahmad E Mukhtar Ki Tarha
Shakkul Qamar Ka Mojza Qurbarn Jayiye
Ungli Bhi Kaam Kar Gayi Talwar Ki Tarha
Zamane Me Aaye Payamber Hazar
Muhmmad Sa Koi Nahin
Ye Kahta Hai Qur’aa.N Me Parwardigar
Muhammad (saw) Sa Koi Nahin
Wo Kar Den Sooye Aasma.N Gar Ishara
To Suraj Palat Aaye Pal Me Duwara
Shajar Aayen Unke Isharon Pe Chal Kar
Wo Chahen To Bol Uththen Be-Jaan Patthar
Khuda Ne Diya Unko Kull Ikhtiyar
Muhammad Sa (saw) Koi Nahin
Umar Ghar Se Nikle The Talwar Le Kar
Ke Aaj Ham Utarenge Sar Unka Jakar
Jo Akhlaq Dekha Mere Mustafa
To Qadmon Pe Gir Ke Padha Haq Ka Kalma
Ye Kahte The Hazrat Umar Baar-Baar
Muhammad (saw) Sa Koi Nahin
Jo Karta Hai Sarkar Tum Se Mohabbat
Bila-Shaq Wo Banda Hai Haqdar E Jannat
Usi Ko Zamane Me Sab Kuchh Mila Hai
Jo Dil Se Fida Aap Par Ho Gaya Hai
Usi Ke Liye Khuld Ki .. Bahaar
Muhammad (saw) Sa Koi Nahin
Na Kyun Unke Choome Qadam Arsh E Azam
Na Kyun Har Bulandi Rahe Aap Se Kham
Na Kyun Dekh Kar Unko Jhuk Jaye Qaaba
Mila Kon Mola Se Unke Alawa
Lo Karta Hai Maabood Bhi Unse Pyar
Muhammad (saw) Sa Koi Nahin
Jo Chahta Hai Tu Dono Aalam Me Izzat
Rahe Har Ghadi Tujh Pe Mola Ki Rahmat
Kahe Saari Dunia Nabi Ka Deewana
Jo Ho Taaj Tujhko Madine Me Jana
Tu Kar De Dilo Jaan Un Pe Nisar
Muhammad (saw) Sa Koi Nahin
Singer: Tasneem Arif
Lyrics: Taj Barlvi
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi