Milad Raza Qadri Tera Naam Wird e Zuba lyrics
Naat Khwan: Milad Raza Qadri
Lyrics: Abdul Sattar Niyazi
Tera Naam Wird e Zuban Rahe
Meri Aur Koi Dua Nahin,
Mujhe Apne Dard Ki Bheek De
Ke Tere Khazane Me Kya Nahin.
Tera Naam Wird e Zuban Rahe
तेरा नाम विर्द-ए-ज़ुबाँ रहे
मेरी और कोई दुआ नहीं,
मुझे अपने दर्द की भीक दे
के तेरे ख़ज़ाने में क्या नहीं।
तेरा नाम विर्द-ए-ज़ुबाँ रहे
Ho Karam Nawazi Huzoor Ki
Mere Gham Qade Me Bhi Aa Kabhi,
Mere Charagar Ae Mere Nabi
Mera Koi Tere Siwa Nahin.
Tera Naam Wird e Zuban Rahe
हो करम नवाज़ी हुज़ूर की
मेरे ग़म क़दे में भी आ कभी,
मेरे चारा गर ऐ मेरे नबी
मेरा कोई तेरे सिवा नहीं।
तेरा नाम विर्द-ए-ज़ुबाँ रहे
Wo Ghadi Bhi Aaye Ghadi-Ghadi
Tere Dar Pe Ho Meri Hazri,
Tere Dar Se Door Rahun Agar
Koi Zindagi Ka Maza Nahin.
Tera Naam Wird e Zuban Rahe
वो घड़ी भी आये घड़ी-घड़ी
तेरे दर पे हो मेरी हाज़िरी,
तेरे दर से दूर रहूँ अगर
कोई ज़िन्दगी का मज़ा नहीं।
तेरा नाम विर्द-ए-ज़ुबाँ रहे
Ye Karam Hein Mere Huzoor Ke
Sada Mere Kaanse Bharey Rahe,
Jo Mere Nabi Ke Gada Huye
Wo To Badshah Hein Gada Nahin.
Tera Naam Wird e Zuban Rahe
ये करम हैं मेरे हुज़ूर के
के सदा मेरे कांसे भरे रहे,
जो मेरे नबी के गदा हुए
वो तो बादशाह हैं गदा नहीं।
तेरा नाम विर्द-ए-ज़ुबाँ रहे
Ye Tere Niyazi Ki Eid Hai
Abhi Aur Hasrat-e-Deed Hai,
Ise Choom Lene Do Jaaliyan
Abhi Dil To Iska Bhara Nahin.
Tera Naam Wird e Zuban Rahe
ये तेरे नियाज़ी की ईद है
अभी और हसरत-ए-दीद है,
इसे चूम लेने दो जालियां
अभी दिल तो इसका भरा नहीं।
तेरा नाम विर्द-ए-ज़ुबाँ रहे
Tera Naam Wird e Zuban Rahe
Meri Aur Koi Dua Nahin
Mujhe Apne Dar Ki Bheek De
Ke Tere Khazane Me Kya Nahin
तेरा नाम विर्द-ए-ज़ुबाँ रहे
मेरी और कोई दुआ नहीं
मुझे अपने दर्द की भीक दे
के तेरे ख़ज़ाने में क्या नहीं
Milad raza qadri tera naam lyrics in hindi,naat lyrics,naat in hindi,tera naat wird e zuban hai lyrics,naat e mustafa,naat e nabi hindi me
Hindi and English Lyrics
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan
| QAWWALI |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hassan Akhtar