Mere Maula Mujhe Ajmer Jaane Ki Tamanna Hai ..
Qawwal: Ghulam Farid Sabri and Maqbool Ahmad Sabri
English | हिन्दी लिरिक्स
Tera dayar hai daar us Salaam Ya Khwaja
Tajalliyañ Haiñ nayi Sub’ho Shaam Ya Khwaja
Na fiqre mai na ghame jaam tere mastoñ ko
Teri Nigaah Se chalta hai kaam ya Khwaja.
Islam Ke naayab dafeene meiñ hai Ajmer
Jannat Ki safar uske qareene me hai Ajmer
Kaaba hai sare arsh to zeene meiñ hai Ajmer.
Nafrat ka zahar baatoñ meiñ Tum ghol ke dekho
Aa Jaayeñge Khwaja Mujhe kuchh bol ke dekho
Ye, Meezaan e Aqeedat to zara tol ke dekho
Lillah Farishto ye kafan khol ke dekho
Huñ Aashiq e Khwaja mere seene meiñ hai Ajmer.
Pakad kar jaaliyoñ ko jhoom jaane ki tamanna hai
Mere maula mujhe Ajmer jaane ki tamanna hai ..
Zamaane se nahi Khwaja se Nisbat chaahiye mujhko
Jo pahuñchade wahañ tak aisi wahshat chahiye mujhko
Na shohrat chaahiye mujhko na Daulat chaahiye mujhko
Faqat Khwaja ke Rauze ki ziyarat chaahiye mujhko
Mazaare paak pe chaadar chadhaane ki tamanna hai
Mere maula mujhe Ajmer jaane ki tamanna hai ..
Mere Khwaja janab e Mustafa ka waasta tumko
Umar, Siddiq o Usman o Ali ka waasta tumko
Hasan Shabbir, Bibi Fatima ka waasta tumko
Shaheedaan e Zameen e Karbala ka waasta tumko
Bula lo paas mujhko paas aane ki tamanna hai
Mere Maula mujhe Ajmer jaane ki tamanna hai..
Haqeeqat sab pe khul jaaye, fazeelat ho to aisi ho
Katore meiñ mile Saaghar, karaamat ho to aisi ho
Bhare har ek ki jholi, inaayat ho to aisi ho
Bina maañge mile sab kuch, sakhawat ho to aisi ho
Usi daata ko haal e dil sunane ki tamanna hai
Mere Maula mujhe Ajmer jaane ki tamanna hai..
Wo hain Hindal Wali kya Shaan hai unke Gharane ki
Karamaate haiñ aisi ke aql hairaañ hai zamaane ki
Karam unka mile to Zindagani ho thikane ki
Saba laa de uda kar khaak unke Aastane ki
Mujhe wo khaak Aañkhoñ se lagane ki tamanna hai
Mere Maula mujhe Ajmer jaane ki tamanna hai ..
Ye armañ Dil meiñ Lekar aaj tak Duniyañ meiñ Zinda hooñ
Ke, Kabhi Khwaja ka mela jaake apni Aañkhoñ se Dekhooñ
Ye Hasrat hai ke us darbaar meiñ maiñ sar ke bal pahuñchuñ
Pahuñch kar Rauza e Khwaja pe jhuk jhuk kar salami duñ
Usi Chaukhat Pe Qismat aazmaane ki tamanna hai
Mere Maula mujhe Ajmer jaane ki tamanna hai..
Ajmer jaane ki tamanna hai
Ajmer jaane ki tamanna hai
Ajmer jaane ki tamanna hai ..
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan