Mere Ghar Mola Aye Hain Lyrics | Farhan Ali Waris

Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain

 

Aza Ka Chand Jab Dekha
Gali Gali Me Kale Parcham Aate Hain Nazar
Hussain Hussain Hussain
Log Azadari Ko Nikle Hain Shah Raahoñ par

Hussain Hussain Hussain

 

Gali Gali Me Kale Parcham Aate Hain Nazar
Log Azadari Ko Nikle Hain Shah Raahoñ par
Falak Se Kiski Sawari Aayi
Alam Saje Ghar Ghar

Hussain…
Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Maula Aaye Hain

 

Banayi Shahnashi Ghar Me,
Nishane Gham Sajaya Hai
Siyah Parde Lagaye Hain,
Zamane Ko Bataya Hai.

Samajh Le Taa Ke Ye Duniya
Mere Ghar Maula Aaye Hain..

Mere Ghar Aaj Majlis Hai,
Zamin Walo Falak Walo
Agar Shauq e Ziyarat Hai,
Shahe Deeñ Ke Azadaro.

 

Ziyarat Ko Chale Aana
Mere Ghar Maula Aaye Hain..
Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Maula Aaye Hain
Hussain-Hussain,
Hussain-Hussain,
Hussain-Hussain

 

Mah e Aza Hai Kaale Parcham Lao
Ghar Me Jari Ka Alam Lehrao
Guzre Jahan Se Juloos Aza Ka
Rahon Me Uske Sabeelen Lagao
Baato Tabarruk Nazar Dilao
Bachchon ko Apne Saqqa Banao
Ghar Ghar Me Farsh Aza Ka Bichhao
Karo Ailan Majlis Ka
Mere Ghar Maula Aaye Hain

Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Maula Aaye Hain.

 

Moharram Jab Nahi Hota
To Ye Manzar Nahi Hota
Wafa Majlis Jo Hoti Hai
Ye Ghar Wo Ghar Nahi Rahta
Bana Hai Ghar Aza Khana
Mere Ghar Maula Aaye Hain

Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Maula Aaye Hain

 

Meriel Dahleej Par Dekho,
Qatareñ Ambiya Ki Hain
Atayen Kis Qadar Mujh Par,
Sakina Ke Chacha Ki Hain
Alam Dekha To Dil Bola,
Mere Ghar Maula Aaye Hain.

Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Maula Aaye Hain.

Bahot Tha Shauq Is Dil Me,
Main Dekhun Rouza Mola Ka
Khabar Thi Mere Mola Ko,
Karam Mujh Par Hua Aisa
Ke Ik Din Khwab Me Dekha,
Mere Ghar Maula Aaye Hain.

Bichha Hai Farsh Majlis Ka
Mere Ghar Maula Aaye Hain.

 

Haaye..
Dar o Diwaar Mahke Hain,
Aqidat Ye Batati Hai
Kisi Hasti Ki Aamad Hai,
Khabar Khushboo Sunati Hai

 

Jise Tu Ghar Bulata Tha,
Sawaari Uski Aati Thi
Ujala Ho gaya Har Su
Gire Phir Aankh Se Aansu

 

Raha Na Qalb Pe Qaabu
Hussain…
Lage Ik Khwaab Ke Jaisa,
Mere Ghar Maula Aaye Hain

Bichha Hai Farsh Majlis ka
Mere Ghar Maula Aaye Hain.

 

Bulaya Maine Maula Ko,
To Wo Tanha Nahi Aaye
Kisi Ko Laaye Maqtal Se,
kisi Ko Shaam Se Laaye
Khud Unke Saath Hain Zehra
Mere Ghar Maula Aaye Hain

Bichha Hai Farsh Majlis ka
Mere Ghar Maula Aaye Hain.

 

Ajab Hai Kaifiyat Dil Ki
Khushi Hai Aur Hai Gham Bhi
Karun Main Shukr Ke Sajde
Musalle Par Hai Matam Bhi
Bhala Hai Shukr Me Nauha
Mere Ghar Maula Aaye Hain

Bichha Hai Farsh Majlis ka
Mere Ghar Maula Aaye Hain.

 

Kaha Farhan Ne Ro Kar
Likhi Kya Baat Mazhar Ne
Azal Ka Jab Payam Aaya
To Main Bola Farishte Se
Abhi Main Aa Nahi Sakta
Mere Ghar Maula Aaye Hain

Bichha Hai Farsh Majlis ka
Mere Ghar Maula Aaye Hain.

 

Haaye…
Ya Seyd e Mazloom, Lute Ghar Ka Lo Pursa
Naizoñ Pe Shaidoñ Ke Har Ik Sar Ks Lo Pursa

 

Ali Akbar Ka Lo Pursa
Ghazi Ka Lo Pursa
Ali Ashghar Ka Lo Pursa

 

(Han) Aun o Muhammad Ka Lo,
Qasim Ka Lo Pursa
Kulsoom Ka, Zainab Ka, Sakina Ka Lo Pursa.

 

Khaimo Ka Lo Pursa, Luti Chadar Ka Lo Pursa
Bimar Kar Pursa, Jale Bistar Ka Lo Pursa.

 

Haye Mere Maula
Ye Bhare Ghar Ka Lun Pursa.

 

Ya Mazloom Hussaina
Hussain Hussain Hussaina

Pyase Hussaina
Hussain Hussain Hussaina

Ghar Tera Loota Gaya
Hussain Hussain Hussaina

Kunba Bhi Pyasa Raha
Hussain Hussain Hussaina

Har ik Khaima Jal Gaya
Hussain Hussain Hussaina

Chhin Gayi Sab Ki Rida
Hussain Hussain Hussaina

Rote Hain Ahl e Aza
Hussain Hussain Hussaina

Matmi Ghooje Sada
Hussain Hussain Hussaina.

Ghar-Ghar Hai Farsh e Aza
Hussain Hussain Hussaina.

 

Ghar-Ghar Hai Farsh e Aza
Hussain Hussain Hussaina
Matmi Ghooje Sada
Hussain Hussain Hussaina
Hussain Hussain Hussaina
Hussain Hussain Hussaina.


Our Pages


Manqabat Shahidan e Karbala Nohey Lyrics 

Manqabat Imam Hussain As Lyrics

Manqabat Bibi Sakina Sa Lyrics 

Manqabat Bibi Fatima Sa Lyrics 

Manqabat Mola Abbas As Lyrics 

 

Noha Khwan

Farhan Ali Waris

Mesum Abbas

Mir Hasan Mir 

Nadeem Sarwar