Main Qismat Se Suye Haram Aa Gaya Hun Lyrics

Main Qismat Se Suye Haram Aa Gaya Hun Lyrics

 

Main qismat se suye haram aa gaya hun
Ajab lutf is raah mein paa gaya hun

 

Haram ki muqaddas fiza pa gaya hun
Main jannat Ki thandi hawa paa gaya hun

Nazar meri kabe pe jaise Padi to
Duaon me apni asar pa gaya hun

 

Main qismat se suye haram aa gaya hun
Ajab lutf is raah mein paa gaya hun

 

Haram me qadam jab se mere pade Hein
Ibadat me tab se maza paa gaya hun

Siyahi mere dil ki sab dhal gayi hai
Main Zamzam se aisi Shifa paa gaya hun

 

Main qismat se suye haram aa gaya hun
Ajab lutf is raah mein paa gaya hun

 

Namaz e hateem aur jannat ka patthar
Wo Purkaif sa ik sama paa gaya hun

Wo Aswad ki kirno se rahmat ka milna
Main to muntzim ki dua paa gaya hun

 

Main qismat se suye haram aa gaya hun
Ajab lutf is raah mein paa gaya hun

 

Khade hain bhikari sabhi dar Ko thame
Nadamat ke aansu bhi mein paa gaya

Jo mangi duaein wo maqbool hongi
Wo meezab e rahmat bhi mein paa gaya hun

 

Main qismat se suye haram aa gaya hun
Ajab lutf is raah mein paa gaya hun

 

Wo lakhon ke jam-ghat ka purnoor Manzar
Tawaf e haram ki ada paa gaya hun

Har ik dil nadamat se ye kah raha hai
Khudaya mein ab to tujhe paa gaya hun

 

Main qismat se suye haram aa gaya hun
Ajab lutf is raah mein paa gaya hun

 

Bazaron ka manzar minaron ka manzar
Mein labbaik ki wo sada paa gaya hun

Haleema ka ghar aur taa’if ki waadi
Pahadon ke andar nisha.n paa gaya hun

 

Main qismat se suye haram aa gaya hun
Ajab lutf is raah mein paa gaya hun

 

Muafi tu de-de gunahon ki ya rab
Mein ab teri rahmat ka dar paa gaya hun

Bahot thak gaya tha main duniya se maula
Tere ghar pe aakar sukoon pa gaya hun

 

Main qismat se suye haram aa gaya hun
Ajab lutf is raah mein paa gaya hun

 

Ke Rahman ne mehma bana kar bulaya
Raza e ilahi mein ab paa gaya hun

Wo muzdalifa, arfaat, mina ke maidan
Tasawwur me ashaab ko paa gaya hun

 

Main qismat se suye haram aa gaya hun
Ajab lutf is raah mein paa gaya hun

 

Wo Tariq ke andaz me hamd teri
Mohabbat se afroz maza paa gaya hun

Fizaein, sadaein, ataein, wafaein
Khilaf e siyah ki ziya paa gaya hun

 

Main qismat se suye haram aa gaya hun
Ajab lutf is raah mein paa gaya hun

 

Recited by: Qari Muhammad Shoeb Hussaini


Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali