Main Nazar Se Pee Raha Hooñ Ghazal Qawwali Lyrics
Qawwal: Ustad Rahat Fateh Ali Khan
Nazar Se Nazar ab milayi gayi hai ×2
Maiñ Peeta nahin tha Pilaayi gayi hai
Main Nazar Se Pee Raha Hooñ
Main Nazar Se Pee Raha Hooñ, Ye sama badal na jaaye × 3
Main Nazar Se Pee Raha Hooñ
Main Nazar Se Pee Raha Hooñ ,Pee raha hooñ. ×3
Main Nazar Se
Teri Nazron Se Pee Hai Khuda Ki Qasam
Umar Saari Nashe Mein Guzar Jaayegi
Pee Raha Hooñ
Main Nazar Se Pee Raha Hooñ
Pee Raha Hooñ.
Peene Ki Aarzoo Hai..
Peene Ki Aarzoo Na Pilaane Ki Aarzoo Hai
Tumse Faqat Nigah Milaane Ki Aarzoo Hai
Pee Raha Hooñ
Main Nazar Se Pee Raha Hooñ
Pee Raha Hooñ.
Meri Bada-Noshi Ke Waaste Koi Qaid E Jaam o Subu Nahi
Mujhe Kaif Rehta Hai Har Ghadi Yeh Teri Nigah Ki Baat Hai
Pee Raha Hooñ
Main Nazar Se Pee Raha Hooñ
Wo Nazar Uthi Toh Maikhaane Bane
Mera Dil Toota Toh Paimaane Bane
Mudaaton Se Aarzoo Thi Hosh Ki
Hosh Aaya To Deewane Bane
Pee Raha Hooñ
Main Nazar Se Pee Raha Hooñ
Tere Karam Ka Bhala Kya Shumaar Hai Saaki
Jise Bhi Dekha Wohi Mehve Khumaar Hai Saaki
Wo Badanosh Hoon Mauka Hayat Kya Jiski
Teri Nazar pe hi Daaro Madar Hai Saaki
Pee raha hooñ
Main Nazar Se Pee Raha Hooñ
Wo Kaun Hai Jo Tere Maikade Se Bach Nikla
Teri Nazar Ka To Aalam Shikar Hai Saaki
Pee Raha Hooñ
Main Nazar Se Pee Raha Hooñ
Main Nazar Se Pee Raha Hooñ
Maiñ Nazar Se Pee Raha Hooñ
Ye Sama Badal Na Jaaye
Na Jhukaao Tum Nigaheiñ
Kahiñ Raat Dhal Na Jaaye
(Sargam)
Na Jhukaao Tum Nigahein
Kahin Raat Dhal Na Jaaye
Jhuki Jhuki Si Nigahon Ne, Zulf E Barham Ne
Wo Baat Khol Ki Rakh Di Jo Thi Chhupaane Ki
Na Jhukaao Tum Nigahein
Kahin Raat Dhal Na Jaaye
Yeh Udi Udi Si Rangat
yeh Khule Khule Se Gesu
teri Subah Keh Rahi Hai
Teri Raat Ka Fasaana
Na Jhukaao Tum Nigahein
Kahin Raat Dhal Na Jaaye
Mere Ashq Bhi Hain Is Mein
yeh Sharaab Ubal Na Jaaye
Mera Jaam Chhune Waale
Tera Haath Jal Na Jaaye
(Sargam)
Mera Jaam Chhune Waale
Tera Haath Jal Na Jaaye
Mera Jaam Chhune Waale
Tera Haath Jal Na Jaae
Mera Jaam Chhune Waale
Jal Na Jaaye, Jal Na Jaaye
Abhi Raat Kuch Hai Baaki
Na Utha Nakaab Saaki
Tera Rind Girte Girte
Kahin Phir Sambhal Na Jaaye
Meri Zindagi Ke Maalik
Mere Dil Pe Haath Rakh De
Tere Aane Ki Khushi Mein
Mera Dam Nikal Na Jaaye
tere Aane Ki Khushi Mein
Mera Dam…. Dam Nikal Na Jaaye
Mera Dam…. Dam Nikal Na Jaaye
Tere Aane Ki Khushi Mein
Mera Dam Nikal Na Jaaye
Mujhe Phooñkne Se pehle
Mera Dil Nikal Lena
Yeh Kisi Ki Hai Amaanat
Mere Saath Jal Na Jaaye
Main Nazar Se Pee Raha Hooñ
Ye Sama Badal Na Jaaye
Na Jhukaao Tum Nigaheiñ
Kahin Raat Dhal Na Jaaye
Main Nazar Se Pee Raha Hooñ
Ye Sama Badal Na Jaaye
Naat-E-Paak | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat |
| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan |
| Sufi Song | Khailash Kher |