Maiñ Kuchh Na Sahi Mera Muqaddar To Bada Hai

Maiñ Kuchh Na Sahi Mera Muqaddar To Bada Hai Naat e Paak Lyrics in Hindi and English

Shayar: Khalid Mahmud ‘Khalid’

اردو لرکس 

Qatah | क़ता

Dil Ko Kaif o Suroor Milta Hai
Qurb e Rabb e Ghafoor Milta Hai

Tajurba Hai Nabi Ki Chaukhat Se
Jo Bhi Maañgo Zarur Milta Hai

दिल को कैफ़ ओ सुरूर मिलता है
क़ुर्ब ए रब्ब ए ग़फूर मिलता है

तजुर्बा है नबी की चौखट से
जो भी मांगो ज़रूर मिलता है।

 

Naat e Paak | नात ए पाक

Maiñ Kuchh Na Sahi Mera Muqaddar To Bada Hai Sang e Dar e Mahboob Pe Sar Mera Jhuka Hai

मैं कुछ न सही मेरा मुक़द्दर तो बड़ा है
संग ए दर ए महबूब पे सर मेरा झुका है।

 

Kya Khoob Sila Naat e Muhammad ﷺ Ka Mila Hai
Meezaan e Mohabbat Pe Har Ik Sher Tula Hai

क्या ख़ूब सिला नात ए मुहम्मद ﷺ का मिला है
मीज़ान ए मोहब्बत पे हर इक शेअ़्र तुला है।

 

Sarkar Ke Qadmoñ Ke Nishaañ Dhoondh Raha Hai
Jo Ashk e Mohabbat Meri Aañkhoñ Se Gira Hai

सरकार के कदमों के निशां ढूंढ रहा है
जो अश्क ए मोहब्बत मेरी आंखों से धुला है।

 

Saaya Jise Daamaan e Muhammad ﷺ Ka Mila Hai
Qaid e Gham e Kaunain Se Aazad Hua Hai

साया जिसे दामान ए मुहम्मद ﷺ का मिला है
क़ैद ए गम ए कौनैन से आज़ाद हुआ है।

 

Ye Zarra Jise Aaj Sabhi Kahte Haiñ Khursheed
Khaak-e Qadam e Sarwar e Aalam Se Uda Hai

ये ज़र्रा जिसे आज सभी कहते हैं ख़ुर्शीद
ख़ाक ए क़दम ए सरवर ए आलम से उड़ा है।

 

Ab Heiñch Nazar Aati Hai Sab Daulat e Kaunain
Daaman e Talab Yuñ Teri Rahmat Ne Bhara Hai

अब हेंच नजर नज़र आती है सब दौलत ए कौनैन
दा मान ए तलब यूं तेरी रहमत ने भरा है।

 

Kyuñ Meri Khataaoñ Ki Taraf Dekh Rahe Ho
Jisko Hai Meri Laaj, Woh Lajpaal Bada Hai

क्यूं मेरी ख़ताओं की तरफ़ देख रहे हो
जिसको है मेरी लाज वोह लजपाल बड़ा है।

 

Aasoodah Nazar Aata Hai, Har Ek Karam Se
Jo Sarware Kaunain Ke Kooche Ka Gada Hai

आसूदह नज़र आता है हर एक करम से
जो सरवर ए कौनैन के कूचे का गदा है।

 

Jeene Ka Mila Hai Teri Seerat Se Qareena
Qur’aan e Mujassim Teri Har Ek Ada Hai

जीने का मिला है तेरी सीरत से क़रीना
क़ुरआन ए मुजस्सिम तेरी हर एक अदा है।

 

Ye Shafqat o Rahmat Hai, Ke Har Ik Dil e Maayūs
Bakhshish Ka Yaqeeñ Leke Tere Dar Se Utha Hai

ये शफ़क़त ओ रहमत है के हर इक दिल ए मायूस
बख़्शिश का यकीं लेके तेरे दर से उठा है।

 

HatTi Nahiñ Sarkar Ki Seerat Se Nigaaheñ
Har Waqt Mere Saamne Qur’aan Khula Hai

हटती नहीं सरकार की सीरत से निगाहें
हर वक़्त मेरे सामने क़ुरआन खुला है।

 

Karte Haiñ Nakeerain Adab Mera Lahad Meñ
MitKar Teri Ulfat Meiñ Ye Eàjaaz Mila Hai

करते हैं नकीरैन अदब मेरा लहद में
मिटकर तेरी उल्फत में ये एजाज़ मिला है।

 

Daaman Meiñ Chhupa Lo, Ke Pashemaan Hai Khalid
Aakhir Ye Tumhaara Hai, Bura Hai Ke Bhala Hai

दामन में छुपा लो के पशेमान है ख़ालिद
आख़िर ये तुम्हारा है, बुरा है के भला है।

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

 

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *