Main Jaun To Pe Wari Ho Madine Ke Raja in Hindi and English, मैं जाऊं तो पे वारी हो मदीने के राजा नात | Naatiya Qawwali Lyrics | Amad Kalam lyrics
Qawwali of Master Ayaz Ali and Ali Muhammad Taji
हिंदी में पढ़िए
Jab hue paida Mohammad Mustafa ﷺ
Goud me lekar Halima ne kaha
Main Jaun To Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Main Jaun To Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Momino baith jaao adab se zara
Ye nabi ki wiladat ka hai maajra
Peer ki sub’ha ka tha suhana sama
Jab ke paida hue sarware do jahañ
Maañ ki aaghosh me muskurate hue
Rahmatoñ ka khazana lutate hue.
Ye ada, woh ada thi jise dekh kar
Mutmayin ho gayi aashiqon ki nazar.
Koi zulfon ki tarif karne laga
Koi aankhoñ ki tarif karne laga.
Koi bola ke khairul wara hain yahi
Koi bola ke mushkil kusha haiñ yehi.
Koi bola yahi to hain Shaah e Arab
Koi bola inhi par to marte hain sab.
Sun ke ye guftgu Hañs padeeñ Aamina
Aur Muhammad ﷺ ka muñh choom kar ye kaha
Main Jaauñ To Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Main Jaauñ To Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Tore roop anoop ne salle ala
Sab chheen liyo sudh budh hamri
Dil mohe gayi man har lini
Tori nain bhari kajri kajri
Main Jaoñ To Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Main Jaoñ To Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Ay manmohan, taiba dhani
Kausan ke rajishbari,
Chandar mukat Suraj baran
Nirkar Jyoti man hari,
Mukhde ko tere dekh kar
Maalik ne yuñ aasha Kari.
Ai chehra e zaiba e to
Rashq e butaan e Aazari.
Jibril se farmate the
ik roz yuñ shahe umam,
Tumne to dekha hai jahañ
batlao to kaise haiñ hum,
Jibreel ne yun arz ki
ay shah tere rukh ki qasam.
Aafaaq ha gardeedaam
Mehr-e butaañ warzeeda am
Bis yaar khoobañ deeda am
lekin tou cheeze deegari
Main Jaoñ To Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Main Jaoñ To Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Zamana muntazir tha jiska ab woh Noor aaya hai
Khuda ka dost khatmul mursaleeñ tashrif Laya hai.
Main Jaoñ To Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Main Jaoñ To Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Dil ne, Aañkhoñ ne, nigahoñ ne, nazaroñ ne kaha
Gul ke zaaroñ ne kaha, Mast baharoñ ne kaha
Bait Tanzeel mein, taurait ke paaroñ ne kaha
Gham naseeboñ ne kaha, Dard ke maaroñ ne kaha
Yak jagah hoke ye Wallah! hazaroñ ne kaha.
Main Jaoñ To Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Main Jaoñ To Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Zameeñ boli Muhammad ﷺ rahmatullil alami honge
Falak bola Rasool e Paak khatmul mursaleeñ honge
Malayik ne kaha Ahmad shafiul muznabi honge
Kaha hooron ne inke baad paighambar nahi honge.
Main Jaoñ Tu Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Main Jaoñ Tu Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Har zarra chamak uttha jidhar aaye Muhammad ﷺ
Mushkil ki meri sun ke khabar aaye Muhammad ﷺ
Har aankh ki putli me utar aaye Muhammad ﷺ
Kal shab ko tasawwur me utar aaye Muhammad ﷺ
Qismat ko jagane mere ghar aaye Muhammad ﷺ.
Sarkar e madina pe luta bitha hooñ tan man
Jachta nahi hai aankhon mein duniya ka ye gulshan
Aañkheñ bhi meri, dil bhi mera ho gaya raushan
Aañkhoñ se mere dil me utar aaye Muhammad ﷺ
Daaman nahin chhodunga agar aaye Muhammad ﷺ.
Main Jaoñ Tu Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Main Jaoñ Tu Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Yaad tehaari pal pal aaye
Bekal manva chain na aaye
Yasrab ko chhaila saañwro
mainu pyaro laage ji
Tero Naam Muhammad Mustafa
manu pyaro laage ji.
Main Jaoñ Tu Pe Wari Ho, Ho Madine Raja
Main Jaoñ Tu Pe Wari Ho, Ho Madine Raja