Main Dar e Mustafa Ka Mangta Hoon Lyrics
Qawwal: Faiz Ahmad Faiz
Ya Rab ba faiz-e fazl-e payamber sawal hai
Mera waseela Tere Mohammad ﷺ Ki Aal hai
Kar de karam Karim ke Tu bemisal hai
Sadqa de mujhe uska jo Zehra ka Laal hai
Har shakhs hai bechain rasayi ke liye
Qatre Mein samander ki samayi ke liye
Waah kya Shaan hai nabiyon mein Shaan-e Rasool
Ke, Sultañ bhi taraste hain gadayi ke liye
Phooloñ ki nazaq tere paseene ki taraf hai
Qur’aan ka zeena tere seene ki taraf hai
Kaabe mein gaya main to khula Raaz ye Nasir
Kaabe ka ishaara bhi Madine ki taraf hai
Main Dar e Mustafa Ka Mangta Hoon
Main Dar-e Mustafa Ka Mangta Hoon
Bheek Milti Hai Aastane Se …
Us gali ka mangta hun main
Us gali ka gada hun main
Jis mein maangte taajdar hain
Maiñ Mangta Hoon ..
Main Dar-e Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Hasan Husain ka sadqa karam ki ek nazar
Gunahgar tere dar pe aaye baithe
Maiñ mangta hoon ..
Main Dar-e Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Main to kuchh bhi nahi tu meri taraf na dekh
Main jinka Sadqa maangta hoon zara unki taraf dekh
Maiñ mangta hoon ..
Main Dar-e Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Mañgte hain karam unka sada maang rahe hai
Din raat Madine ki dua maang rahe hain
Maiñ mangta hoon ..
Main Dar-e Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Kam maang rahe hain
na sawa maang rahe hain
Jaisa hai ghani waisi ata maang rahe hain
Maiñ mangta hoon ..
Main Dar-e Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Jidhar jidhar bhi gaye wo karam hi karte gaye
Kisi ne maanga na maanga wo jholi bharte gaye
Maiñ mangta hoon ..
Main Dar-e Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Jidhar jidhar bhi gaye wo karam hi karte gaye
Jidhar jidhar bhi gaye wo karam hi karte gaye
Mere kareem se qatra kisi ne maanga
Dariya baha diye, durbe baha diye hain
Jidhar jidhar bhi gaye wo karam hi karte gaye
Jidhar jidhar bhi gaye wo karam hi karte gaye
Patthar ko chhoo liya to use Dur bana diya
Kaafir jo dar pe aaya use Hur bana diya
Jidhar jidhar bhi gaye wo karam hi karte gaye
Jidhar jidhar bhi gaye wo karam hi karte gaye
Jidhar jidhar bhi gaye wo karam hi karte gaye
Kisi ne maañga na maanga wo jholi bharte gaye
Maiñ mangta hoon ..
Main Dar-e Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Gada-e Shaah-e Arab hoon faqeer-e raah nahi
Faqeer wo hoon ke nazron me baadshahi nahi
Maiñ mangta hoon ..
Main Dar-e Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Sukoon e qalb mila lazzate hayat mili
Ghulami unki mili saari kaayenat mili
Maiñ mangta hoon ..
Main Dar-e Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Sukoon e qalb mila lazzate hayat mili ..
Sukoon e qalb mila lazzate hayat mili ..
Ye Bazm-e saqi-e Kausar mein Paayi jaati hai
Sharab-e Ishq-e Muhammad ﷺ Pilayi jaati hai
Wo khud pilate hain Mangtoñ Ko Apne haatho se
Madine is liye saari Khudayi jaati hai
Sukoon e qalb mila lazzate hayat mili
Sukoon e qalb mila lazzate hayat mili
Ghulami unki mili saari kaayenat mili
Maiñ mangta hoon ..
Main Dare Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Gadayi ki tere kooche ki, baadshahi ki
Bana diya hai faqeeri ne taajdar mujhe
Maiñ mangta hoon ..
Main Dare Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Hameñ Ghulam unhe apna shahreyaar kiya
Karam khuda ne ye hum pe beshumar kiya
Maiñ mangta hoon ..
Main Dare Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Na to mera koi Kamaal hai
na dakhal hai isme sha’oor ka
Mujhe rakhte hai wo nigah me
ye karam hai mere huzur ka
Maiñ mangta hoon ..
Main Dare Mustafa Ka Mangta Hoon
Amal ke mere isaas kya hain
Bajuz nidaamat ke paas kya hai
Main is karam ke kahan tha qabil
Huzur ki Banda parwari hai
Maiñ mangta hoon ..
Main Dare Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Mujhe Salaam kiya jhuk jhuk ke baadsahoñ ne
Maiñ mangta hoon ..
Main Dare Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Mañgte khaali haath na laute
Kitni mili khairat na poochho
Unka karam hai unka karam hai
Unke karam ki baat na poochho
Maiñ mangta hoon ..
Main Dare Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Ay aashiqaan-e Muhammad ﷺ chalo Madine chalo
Wahan zamane ki bigdi banayi jaati hai
Maiñ mangta hoon ..
Main Dare Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Dukh dard o alam sab kat’te hain
Hasnain ke Sadqe bat’te hain
Maiñ mangta hoon ..
Main Dare Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Dukh dard o alam sab kat’te hain
Dukh dard o alam sab kat’te hain
Jholiyañ bhar lo faqeero gauhar-e maqsood se
Dukh dard o alam sab kat’te hain
Hasnain ke Sadqe bat’te hain
Maiñ mangta hoon ..
Main Dar e Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Waah! kya jood o karam hai shahe Bat’ha tera
Nahi sunta hi nahin maangne wala tera
Maiñ mangta hoon ..
Main Dar e Mustafa Ka Mangta Hoon
Maiñ mangta hoon …
Main Dar e Mustafa Ka Mangta Hoon
Bheek Milti Hai Aastane Se
Jo Bhi Sag Hain Mere Muhammad ﷺ Ke
Kuchh Nahi Mangte Zamane Se
Jo Bhi Sag Hain Mere Muhammad ﷺ Ke
Kuchh Nahi Mangte Zamane Se..
Jo Bhi Sag Hain Mere kaali Kamli Wale ke
Jo Bhi Sag Hain Mere kaali Kamli Wale ke
Nabi ke ishq ne jinko haseeñ banaya hai
Wohi Mueen wohi Khwaja Peer Makhdoom Shah banke aaya hai
Jo Bhi Sag Hain.. Mere kaali Kamli Wale ke
Jo Bhi Sag Hain.. Mere kaali Kamli Wale ke
Main Dar e Mustafa Ka Mangta Hoon
Bheek Milti Hai Aastane Se
Jo Bhi Sag Hain Mere Muhammad ﷺ Ke
Kuchh Nahi Maangte Zamane Se
Jab Kabhi Baat Na Bane Teri
Ya Nabi Ya Nabi Pukara Kar..
Jahañ koi na kaam aaye
Wahañ ye kaam aata hai
Ya Nabi Ya Nabi Pukara Kar ..
Ye naam koi kaam bigadne nahin deta
Ya Nabi Ya Nabi Pukara Kar ..
Bheed jab koi bane to ye wazifa karke dekh
Ya Nabi Ya Nabi Pukara Kar ..
Muhammad Mustafa ﷺ Ka jab Zabaañ Per naam aata hai
Badi taskeen milti hai bada aaraam aata hai
Muhammad Mustafa ﷺ naam bhi kya isme aazam hai
Jahañ koi na kaam aaye wahañ ye kaam aata hai
Ya Nabi Ya Nabi Pukara Kar ..
Nazar se bughz ki ainak zara utaar ke dekh
Nabi ki aal mein ausaaf Kirdigar ke dekh
Ali to apne paraye ke kaam aate hain
Nabi ka wasta dekar kabhi pukar ke dekh
Ya Nabi Ya Nabi Pukara Kar ..
Ya Nabi Ya Nabi Pukara Kar ..
Jab Kabhi Baat Na Bane Teri
Ya Nabi Ya Nabi Pukara Kar
Wo Nawazeñ To Baat Banti Hai
Aise Banti Nahin Banane Se
Jiski janib wo nazar apni utha dete hain
Uski soyi hui taqdeer jaga dete hain
Wo Nawazeñ To Baat Banti Hai
Aise Banti Nahin Banane Se ..
Wo jise apna samajhte hain mita dete hain
Wo Nawazeñ to baat banti hai
Aise banti nahin banane se ..
Main Dar-e Mustafa Ka Mangta Hoon
Bheek Milti Hai Aastane Se
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan