Mahe Ramzañ Badi Shaan Wala Lyrics By Tasleem Arif
Farmaye Quraan Muqaddas Me Ye Allah Tala
Mahe Ramzañ Badi Shaan Wala
Pyare Nabi Ne Jiski Badhayi Kuchh Aise Farmayi
Ye Maah-e-Purnoor Hai Uska Jiski Chale Khudayi
Iske Aage He Khul Jaye Jannat Ka Bhi Tala
Mahe Ramzañ Badi Shaan Wala
Rozadaroñ Ko Deta Hai Sabr-o-Qana’at Ramzañ
Bhar De Khali Me Dariain Ki Daulat Ramzañ
Allah Allah Iske Dene Ka Andaaz Nirala
Mahe Ramzañ Badi Shaan Wala
Iske Qadmoñ Ki Barkat Se Faiz-o-Karam Ho Jaari
Mausam Ho Jaye Quraani Rut Ho Pyari Pyari
Iske Aane Se Ho Jaye Shaitañ Ka Muh Kala
Mahe Ramzañ Badi Shaan Wala
Pyare Nabi Ke Pyar Ka Markaz Hai Ye Pak Mahina
Kaise Na Ho Iska Aashiq Makka Aur Madina
Iska Shaidayi Hai Karbal Ka Har Ek Jiyala
Mahe Ramzañ Badi Shaan Wala
Roze Aur Namazoñ Ka Jo Hai Pawand Muslamañ
Us Momin Ko Allah Tala Kaise Rakhe Pareshañ
Har Har Qadam Pe Us Bande Ko Rahmat Ne Hai Sambhala
Mahe Ramzañ Badi Shaan Wala
Jo Bhi Rozadaroñ Ko Saifi Aftaar Karaye
Maahe Ramzañ Uski Khatir Khoob Dua Farmaye
Uska Bhi Imaan Ho Roushan Jo Hai Dil Ka Kala
Mahe Ramzañ Badi Shaan Wala
Recited by: Haji Tasleem Arif
Lyrics: Aslam Saifi
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar