Kya Hai Kisi Se Kaam Tujhe Dekhne Ke Baad

Kya Hai Kisi Se Kaam Tujhe Dekhne Ke Baad Qawwali Lyrics


हिंदी में पढ़िए


Mareeze ishq ka Aksar ye haal rahta hai
Tumhare Naam Se Chehra bahaal rahta hai
Maiñ ise kufr kahuñ ya Kamal Ishq kahuñ
Namaz mein bhi Tumhara khayal rahta hai

kya hai kisi se kaam

 

kya hai kisi se kaam tujhe dekhne ke baad
sab ko mera salaam tujhe dekhne ke baad

 

Jisko Teri Nigahon Ne makhmoor Kar Diya
Wo kya piyega jaam Tujhe dekhne ke baad.

 

Sajda Karun To kufr hai aur na Karun to kufr,
Aaya Hai ye maqaam Tujhe dekhne ke baad

 

Jalwa Kisi Ka Ho Ya Tajalli Kisi Ki Ho
Hai dekhna haraam Tujhe dekhne ke baad

 

Meri hayaat ke the jo dushwaar marhale
Hal ho gaye tamaam Tujhe dekhne ke baad.

 

Dil se yahi dua hai Tumhare Ghulam ki
Ho Zindagi ki shaam Tujhe dekhne ke baad.


 

Laakhon haseen samne aayen bhi kya naseer,
Aañkhon ko see liya hai Tumhe dekhne ke baad


 

Sajda tha sang e dar pe tere sar tha arsh par
Aisi padhi namaz Tujhe dekhne ke baad.

 

Mehmood ka Ayaz fakat Ek Hi Raha
Lakhon banay ayaz Tujhe dekhne ke baad

 

Aaye Khuda Ki yaad Tujhe dekhne ke baad
Sabse Hooñ beniyaz Tujhe dekhne ke baad



Shayar: Hina Taimoori

 

Har shakhs kah raha hai tujhe dekhne ke baad
Daawa mera bajaa hai tujhe dekhne ke baad.

 

Hum aa ke tere shahr se wapas na jaayeñ ge,
Ye faisla kiya hai tujhe dekhne ke baad.

 

Sajda karoon ke Naqsh e Qadam choomti rahooñ
Ghar Kaaba ban gaya hai dekhne ke baad.

 

Kahte Hain log Tujhko masiha Magar yeh kya!
Ek shakhs Mar Gaya Hai Tujhe dekhne ke baad.

 

Sajda karoongi tujhko to kafir kahenge log,
Ye kaun sochta hai tujhe dekhne ke baad.

 

Khoyi hui si rahti hai har waqt ab Hina,
Ye haal ho gaya hai tujhe dekhne ke baad.

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *