Kisi ka Naam Lo Benaam afsane bahut se Haiñ Lyrics in Hindi and English
Qawwal: Ghulam Farid Sabri and Maqbool Ahmad Sabri
Written by: Qamar Jalalvi | क़मर जलालवी
Hindi lyrics | English Lyrics
Kisi ka Naam Lo Benaam afsane bahut se haiñ
Kisi Ka Naam Lo Benaam Afsane Bahut Se Haiñ
Na Jaane Kis Ko Tum Kehte Ho, Deewaane Bahut Se haiñ!
Jafaaoñ Ke Gile Tumse Khuda Jaane Bahut Se haiñ
Sar-e-Mehshar Ka Din Hai Apne Begaane Bahut Se haiñ
Tumheñ Kis Ne Bulaya, MaiKashoñ Se Ye Na Kah Saaqi
Tabeeyat Mil Gayi Hai, Warna MaiKhane Bahut Se haiñ
Bus Ab Ghar Jaao, Neeñd Aankhoñ Me Hai, Kal Phir Sunaayeñge
Bus Ab Ghar Jaao, Jaao Na, Are Jaao,
ja main tose naahi boluñ re
Tohse naahi re boluñ,
Jao na.. Jao na.. Jao na… Re
Lat uljhi suljha ja re baalam..
Udhar Baaloñ Meiñ kanghi ho rahi hai kham nikalta hai
Idhar rag rag se khiñch khiñch kar hamaara dum nikalta hai
Jao na.. Jao na.. Jao na… Re
Bus Ab Ghar Jaao, Neeñd Aankhoñ Me Hai, Kal Phir Sunaayeñge
Magar, na jaao ghar abhi to raat hai baadal bhi kaale haiñ
Azaañ samjhe ho jisko Tum, kisi Bekas ke naale Haiñ
Bus Ab Ghar Jaao, Neeñd Aankhoñ Me Hai, Kal Phir Sunaayeñge
Zara Si Rah Gayi Hai Raat, Afsaane Bahut Se Haiñ
Umr to saari Kati Ishq e Butaañ me ‘Momin’
Aakhri waqt mein kya khaak musalmaañ Hoñge
Zara Si Rah Gayi Hai Raat..
Aaj ki Raat Badi der ke baad aayi hai
Ye mulaqat badi der Ke Baad aayi hai
Mauj o Saahil se Maah e Kaamil se Milo
Sabse mil aao to ik baar Mere Dil Se Milo
Dil e Barbaad ne kya toot ke chaaha hai tumhe
Kis Qadar pyaar ke marmar se taraasha hai tumhe
Jab bhi dekha hai usi Shauq se dekha hai tumhe
Sar jhukaaya hai, khuda maana hai, puja hai tumhe
Rango Ishrat se milo, Aish o rahat se milo
Noor o Nik’hat se milo, Sabse fursat se milo
Sabse Mil aao to ik baar mere dil se milo
Mauj o Saahil se Maah e Kaamil se Milo
Sabse mil aao to ik baar Mere Dil Se Milo
Aaj ki Raat Badi der ke baad aayi hai
Ye Mulaqat Badi der ke baad aayi hai
Zara Si Rah Gayi Hai Raat, Afsaane Bahut Se Haiñ
Banaye De Rahi Haiñ Ajnabi Nadaariyañ Mujhko
Teri Mahfil Me Warna, Jaane-pahchaane Bahut Se Haiñ
Qamar Allah Saath Eemaan Ke, Manzil Pe Pahuñcha De
Haram Ki Raah Meñ Sunte Haiñ, ButKhane Bahut Se Haiñ
Kisi Ka Naam …
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Urdu, Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan