Khwaja Se Jo Nisbat Hai Qawwali Lyrics
Qawwal: Iqbal Afzal Sabri
Shayar: Danish Ali Ghani
Hum to, Khwaja Moinuddin ke dar ke faqeer haiñ
Kyuñ ke, Khwaja Moinuddin bade Dastgeer haiñ
Hum agar, chaaheñ to apni jholi se
shaahoñ ko bheek deñ
Kyuñ ke, Hum aise BaadShaah ke dar ke faqeer haiñ.
Kahte Haiñ Ghulam Unke Ye Saare Zamaane Se
Kahte Haiñ Ghulam Unke Ye Saare Zamaane Se
Paaya Hai Khuda Humne, Khwaja Ke Gharane Se..
Ek Kaif Sa Taari Hai Sar Dar Pe Jhukaane Se
Milta Hai Sukooñ Dil ko Ajmer Meiñ Aane Se..
Saayil Koi Is Dar Se Khaali Hi Nahi Jaata
Har Shakhs Ko Milta Hai Khwaja Ke Khazane Se..
Kya Khauf Zamaane Ka Khwaja Se Jo Nisbat
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Duniya salaam karti hai hairat ki baat hai
Maiñ kuchh nahi huñ sab teri Nisbat ki baat hai.
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Meri hasti ke liye haasil e Eemaañ hai yahi
Taaj e Khusro hai yahi, takht e Sulemañ hai yahi.
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Mujhe raas aa gaya hai tere dar ka aab o daana
Mera kya bigaad lega jo khilaf hai Zamana.
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Yahañ chhota hai koi aur na bada hai waaiz
Sar Jhukaaye hua har shakhs khada hai waaiz.
Falsafe mard e qalandar ko batata kyuñ hai
Bid’ati kah ke mere dil ko dukhata kyuñ hai.
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Mera qibla yahi dar hai
Mera Kaaba yahi dar hai,
Banda e Khwaja huñ mujh par
Mujh pe Khwaja ki nazar hai.
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Hum bhi to kabhi Insha Allah
Darbar e Madina dekheñge,
Al-hamd padheñge Deewane
Sarkar e Madina dekheñge.
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Chashm e karam to wo meri jaanib uthaayeñge
Chashm e karam wo mujh pe yaqeenan uthaayeñge
Ajmer aa gaye haiñ to Madine bhi Jaayeñge.
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Nisbat bhi kaisi cheez hai Daamaan e yaar se
Be fikr ji raha huñ har ek aitbaar se
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Muflisaan-e maa muda aamda dar koo-e tou
Shain illa az jamaale roo-e tou
Dast ba Kusha jaanib e zambeeghe ma
Aafreeñ bar dast, bar baazu e tou
(Ek gunaah gaar kahta hai)
Ai mere maula, ai mere Allah..
Maanta huñ ke gunahgar huñ,
Siyaah kaar huñ,Tera khtabaar huñ
Lekin, ai mere Maula, ye maanta huñ,
Na maiñ taqdeer laaya huñ, na main tadbeer laaya huñ
Gale meiñ tauq hai aur paañw meiñ zanjeer laaya hun
Bada bad-bakht hooñ, phooti hui taqdeer laya huñ
Karam se apne ab to mere isiyañ bakhsh de maula
Maiñ apne dil meiñ to Khwaja Piya ki tasveer laya huñ.
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Khwaja Se To Nisbat Hai, Nisbat ..
Kya Khauf Zamaane Ka Khwaja Se Jo Nisbat Hai
Maiñ Mit Nahi Sakta Huñ Duniyañ Ke Mitane Se
(Sargam)
Maiñ Mit Nahi Sakta Huñ Duniyañ Ke Mitane Se
(Tarana)
Maiñ Mit Nahiñ Sakta Huñ Duniyañ Ke Mitane Se..
Ye Faiz Hai Khwaja Ka Khwaja Ke Ghulamoñ Par
Kam Hoti Nahiñ Daulat Din-Raat Lutaane Se..
Kuchh Mazhab O Millat Ki Tafreeq Nahiñ Danish
Har Ek Ko Milta Hai Khwaja Ke Khazaane Se..
Har Ek Ko Milta Hai Khwaja Ke Khazaane Se..
Har Ek Ko Milta Hai Khwaja Ke Khazaane Se…
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan |Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ | Ghous Muhammad Nasir
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan