Khwaja Ki Deewani Qawwali By Sabri Brothers Lyrics
Qawwal: Sabri Brothers
Shayar: Sehrai Sambhri & Maqbool Sabri
हिंदी लिरिक्स के लिए यहां टच कीजिए
Moeenuddin…
Moeen….
Moeenuddin…
Moinuddin, Wali-E-Shah-E-Iraq-O-Hijaaz
Teri Janab Meiñ Mehmood Se Hazarooñ Ayaz
Her ek, Samt Se Bus Aa Rahi Hai Ye Aawaz
(Kya?)
Manam Ghareeb, Dayar O Tuyi Ghareeb Nawaz
Niyaaz-O-Naaz Ka
(Ahaa )
Niyaz-O-Naaz Ka Kitna Haseen manzar Hai
Niyaz-O-Naaz Ka Kitna Haseen Manzar Hai
Idhar Ghareeb Khade Haiñ, idhar Ghareeb
Nawaz
(Wah)
Nayyar-E-Burj-E-Sharaf, Arsh Ke Taare Khuwaja
(Allah)
Haq ke Mehboob, Mohammad Ke Dulhare Khwaja
Dekh Le ek Nazar Khuwaja-E-Usmañ Ke Liye
Hum Ne Barsoñ Teri Choukhat Pe Guzaare Khuwaja
Khuda Gawah Hai Ajmer Khud Nahi Choda
Bichar Ke Aap Ke Dar Se Sukoon E Dil Na Mila
Ya Ghareeb Nawaz
(Allah)
Bichad Ke Aap Ke Dar Se Sukoon E Dil Na Mila
Na Mila, Na Mila, Na Mila….
Na mila, na Mila
Bichad Ke Aap Ke Dar Se Sukoon E Dil Na Mila
Khuda Gawah Hai, Khuda Ka Rasool Ya Khwaja
Sakhi Nagar Nagar, Sakhi Dagar Dagar
Maiñ To Ishq Ki Aag Laga Ke Chali
Mora Khesh Gayo, Mora Desh Gayo
Maiñ To Ishq Ki Aag Meiñ Poori Jali
Kalme Ke Bhabhoot bhi Mukh Se Mali
Tauba ki Poori, Hath Mali…
(Wah)
Ye Roop Swaroop Dikha Ke Chali
Ye Roop Swaroop Dikha Ke Chali
Aur Khwaja Ki Dhun Meiñ ye Gaa Ke Chali
Ke Maiñ Deewani, Khwaja Ki Deewani
Maiñ To Deewani, Khwaaja Ki Deewani
Deewani, Khwaaja Ki Deewani
Khwaaja Ki Deewani, Deewani
Khwaaja Ki Deewani
Khwaaja Ki Deewani, Deewani
Khwaaja Ki Deewani
Maiñ To Deewani, Khwaaja Ki Deewani
Maiñ To Deewani, Khwaaja Ki Deewani
Maiñ To Deewani, Khwaaja Ki Deewani
Maiñ To
Khwaaja Ki Deewani, Maiñ To
Khwaaja Ki Deewani Maiñ To
Khwaaja Ki Deewani Maiñ To
Khwaaja Ki Deewani Maiñ To…
Khwaaja Ki Deewani, Maiñ To
Khwaaja Ki Deewani, Maiñ To
Koi Kisi Ka Hai, Koi Kisi Ka
Maiñ Deewani, Khwaaja Ki Deewani
Maiñ To Deewani Khwaaja Ki Deewani
(Allah)
Nafrat Ka Zehr Baatoñ Meiñ Tum Ghol Ke Dekho
Nafrat Ka Zehr, Baatoñ Meiñ Tum Ghol Ke Dekho
Aa Jaayeñge Khwaaja Mujhe Kuch Bol Ke Dekho
Wah
Nafrat Ka Zehr Baatoñ Meiñ Tum Ghol Ke Dekho
Aa Jaaeñge Khwaaja Mujhe Kuch Bol Ke Dekho
Ye Meezan-E-Aqidat To Zara Tol Ke Dekho
Lillah Farishtoñ Ye Kafan Khol Ke Dekho
Maiñ Hooñ Deewani, Khwaaja Ki Deewani
Maiñ To Deewani, Khwaaja Ki Deewani
O Deewani-Deewani, Deewani-Deewani, Dewaaani
Deewani-Deewani, Deewani-Deewani, Dewaaani
He he, Deewani-Deewani, Deewani-Deewani, Dewaaani
Maiñ Deewani, Maiñ Deewani
Maiñ Deewani, Maiñ Deewani
Deewani-Deewani, Deewani-Deewani, Deewani-Deewani, Diwaani
Dee,waa,ni
Aa! Haaa ha
Khwaaja Ki Deewani
Maiñ To Deewani, Khwaaja Ki Deewani
Aaa, Maiñ To Deewani, Khwaaja Ki Deewani
Yeh Sansaar …
(Samaat Farmayeñ: Maiñ Deenani, Khwaaja Ki Deewani)
Ye sanasar har Ko Pooje,
Sansaar Har Ko Pooje, Gur Ko Jagat Saraahe
Makke Meiñ Koi Dhooñdhe, Kaashi Meiñ Koi Chahe
Guyyañ Maiñ Apne Pee Ke, Payyañ Paruñ Na Kaahe
Har Qoum Millate ra Deen-E wa Qibla Gaahe
Man Qibla Raast Kar Dum, Bar Samt Kaj Kulaahe
(Wah)
Paap Dhul Jaayeñ Sare, Ke Paapan Hooñ Maiñ
Bhaag Mere Jaga Do, Abhagan Hooñ Maiñ
Too Hai Data Mera, Aur Bhikaaran Hooñ Maiñ Wah
Maiñ To Kya Cheez Hooñ Badhsah, Taajwar
Teri Dargaah Ki Jaailyañ Thaam Kar
Kehte Haiñ Khwaaja Kar Do Karam Ki Nazar
To Kya Hua Keh Diya Maiñ Ne Itna Agar!
Ke Main Deewani, Khwaaja Ki Deewani
Maiñ To Deewani
(Allah)
Khwaaja Ki Deewani
Khwaaja Ki Deewani, Deewaani
Khwaaja Ki Deewani
Khwaaja Ki Deewani, Deewaani
Khwaaja Ki Deewani
Maiñ To Deewani Khwaaja Ki Deewani
Deewani Re Maiñ To Khwaaja Ki Deewani Deewani
Maiñ To Deewani Khwaaja Ki Deewani
Dar Pe Khwaaja Ke Bataooñ Mujhe Kya Haath Aaya
Deen-O-Eeman Mile Aur Mile Mehboob-E-Khuda
Dekha Gumbad Ke Tale eik Hai Majma Sa Laga
Eik Jogan Hai, Khulay Baal Hein, Kurta Hai Phata
Mein Ne Pocha Ke Yahañ Majra Kya Hai? Yeh Bata
Cheekh Ker Rone Lagi Us Ne Zabaañ Se Ye Kaha
Ke Kitni Ajeeb Baat Hai
(Kitni Ajeeb Baat Hai Oh Ho)
Kitni Ajeeb Baat Hai, Baat Bhi Kuch Ajeeb Hai
Kitni Ajeeb Baat Hai, Baat Bhi Kuch Ajeeb Hai
Jiss Ne Dia Hai Dard E Dil, Wo Hi Mera Tabeeb Hai!
(Wah)
Dair-O-Haram Meiñ Imtiaz Shewa-E-Ehl-E-Dil Nahi
Wo Bhi Dar-E-Habeeb Hai, Yeh Bhi Dar-E-Habeeb hai
To Na Gharaz,
Na Gharaz Haram Ke Waqar Se
Na Sanam Kade Ki Bahaar Se
Hameiñ Kaam Hai Dar-E-Yaar Se
Dar-E-Yaar Phir Dar-E-Yaar Hai
Haram,
(haañ Sahab, Allama Simab Akbarabadi Sahib Farmate Haiñ)
Haram Aur Dair Ke Katbe, Woh Dekhe Jis Ko Fursat Hai
Yahaañ Hadd-E-Nazar Tak Sirf Unwaan-E-Mohabbat Hai
Parastaar-E-Mohabbat Ki Mohabbat Hi Shariyat Hai
Kisi Ko Yaad Kar Ke Aah Bharlena Ibaadat Hai
Jahaañ Wo Haiñ Wahaañ Dil Hai, Jahaan Dil Hai Wahaañ Sub Kuch
Magar Pehle Maqaame Dil Samajhne Ki Zuroorat Hai
Tou Meri Deewange ee Ho,
Meri…. Meri Deewangi Par,
Aaa ..
Meri Deewangi Par
Yeh Hosh Wale Bahas Farmaiyeñ
(Acha)
Meri Deewangi Par Ye Hosh Wale Bahas Farmaiyeñ
Lekin
Magar Pehle Inheiñ Deewana Banne Ki Zarurat Hai
(Meri Deewangi Par Yeh Hosh Walay Bahas Farmaie
Magar Pehle Inhein Deewana Ban’ne Ki Zaroorat Hai)
Us K Bawajood Bhi Yeh Muslim,
Wah
Ye Muslim,
Muslim Yehi Kehte Haiñ Ke Masjid Mein Aa
Muslim Yehi Kehte Haiñ Ke Masjid Mein Aa
Hindu Yahi Kehte Haiñ Ke Mandir Acha
(Wah)
Sikhoñ Ka Yehi Daawa Hai Ke Gurdwaar Acha
Aur Eesaai Yehi Kehte Haiñ K Girja Meiñ Aa
Bhae, Kaba-Kaleesa, Gurdwaar-O-Ganga
In Sare Bakhedoñ Se Mujhe Matlab Kya!
Maiñ To Deewani
Khwaaja Ki Deewani
Mein To Deewani Aaa, Khwaaja Ki Deewani
Khwaaja Ki Deewani Deewani
Khwaaja Ki Deewani
Deewani Deewani, Khwaaja Ki Deewani
Maiñ To Deewani, Khwaaja Ki Deewani
Maiñ To Deewani, Khwaaja Ki Deewani
Nakeero, Nakeero, Nakeero Chedte Kyooñ
Ho Ye Kalega Cheer Ke Dekho
Maiñ Hoon (Oh Ho) Deewani Khwaaja Ki Deewani
He
Maiñ Hoon Deewani (Aaa) Khwaaja Ki Deewani
Maiñ To Deewani Khwaja Ki Deewani
Mai Deewani Re Deewani Re (Aaha)
Re Deewani Re, Deewani Re, Maiñ Deewani
Hey Re Deewani Re, Maiñ Re Deewani
Re main Deewani
Re Maiñ Deewani, Re Maiñ Deewaani Re
Maiñ Deewani Re, Maiñ Deewaani Re …
Aaa..
Maiñ Deewani, Maiñ Deewani, Re Dewaani, Deewani Re
Main Diwaani, Re Deewani Re Deewani Re … Aaa
Re Deewani … Aaa
Mein Deewani Re… Aaa
Deewaani… Aaa
Dee… Aaa
Deewani
Re Dewaani Re, Dewaani Re, Deewani Re, Deewani Re, Deewaani Re, deewaani
Deewani
Dewaani Re, Deewani Re, Deewani, Deewani, Deewani
Maiñ Hoon Deewani
Ahaha
Khwaaja ki deewaani
Main to Diwaani khwaja ki diwaani
Aa Aa Aa
Aaa Diwaani main
Dekho Diwaani
Aye…
Ga Ma Ni Sa, Ni Sa Re Re Sa Ga, Re Re Sa Ni Sa Sa, Ga Ma Pa Pa Re Re Sa
Deewani Mein To Deewani.. Aaa
Khwaaja Ki Deewani Maiñ To
Khwaaja Ki Deewani Maiñ To
Khwaaja Ki Deewani
Deewani, Deewani, Deewani
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Urdu, Hindi And English lyrics
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Allama Saim Chishti | Bedam Warsi | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan