Khuda Ka Noor Hai Ghalib Hamd Lyrics
Teri Zaat Paak Hai Ae Khuda
Teri Shan Jalla JalaaluHu
Nahi Koi Tujhsa Doosra
Teri Shan Jalla Jalaluhu.
Tere naam par ae mere khuda
Mera dil fida meri jaañ fida,
Meri rooh ki hai yehi ghiza
Tera naam lab pe rahe sada.
Tera daali-daali me wasf hai
Tera patti-patti me noor hai,
Tera ghunche-ghunche me rang o boo
Teri shan jalla jalaaluhu
Tera Jalwa dono jahan me hai
Tera Noor koun o makañ me hai
Yun tu hi tu , tu hi tu
Teri Shan
Teri Shan jalla jalaalu hu
Zamin o Aasmanoñ Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib,
Chamakte Chand Taroñ Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib.
Zamin o Aasmano Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib.
Jo Khilte Hain Mahakte Haiñ
Chaman Me Phooloñ Ko Dekho,
Yahan Ke Lalah-zaaroñ Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib.
Zamin o Aasmano Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Kahiñ Pe Phool Khilte Haiñ
Kahiñ Murjhaane Lagte Haiñ,
Khizaaoñ Me Baharoñ Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib.
Zamin o Aasmanoñ Meiñ
Khuda Ka Noor Hai Ghalib.
Ye zamin jab na thi, aasmañ jab na tha,
Chand suraj na the, ye jahan jab na tha,
Raaz e haq bhi kisi per ayaañ jab na tha,
Jab na tha kuchh yaha, tha magar tu hi tu.
Chand taroñ ki shaan e jamali me tu
Sabz pattoñ me, phooloñ ki laali me tu
Khoshe-khoshe me tu, baali-baali me tu
Tahni-tahni me tu, daali-daali me tu.
Wo Jisne Saare Aalam Ko
Samaya Hai, Sajaya Hai
Pahaadoñ Aab-shaaroñ Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib.
Zamin o Aasmanoñ Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib.
Tasavvur Me Takhaiyul Me
Use Mahsoos Karta Hooñ,
Samandar Regh-zaaroñ Me
Khuda Ka Noor Hai Ghalib.
Zamin o Aasmanoñ Meiñ
Khuda Ka Noor Hai Ghalib
Mubarak Ho Tumhe Ghalib
Sana-khwani Mad’ha-khwani,
Kitabullah Ke Paaroñ Meiñ
Khuda Ka Noor Hai Ghalib.
Zamin o Aasmanoñ Meiñ
Khuda Ka Noor Hai Ghalib.
Maula-Maula Maula
Maula-Maula Maula…
Naat-khwan: Muhammad Hassan Raza Qadri
Our Pages
Naat-E-Paak
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam