Khirad Ne Ye Poochha Ke Kaaba Kidhar Hai Lyrics

Khirad Ne Ye Poochha Ke Kaaba Kidhar Hai Lyrics

 

Khirad Ne Ye Poochha Ke Kaaba Kidhar Hai

Junu Ne Kaha Dekh Taiba Jidhar Hai

ख़िरद ने ये पूछा कि काबा किधर है

जुनूँ ने कहा देख तैबा जिधर है

 

Khamida Jahan Aasma Ka Bhi Sar Hai

Khuda Ki Qasam Ki Wo Muhammad Ka Ghar Hai

ख़मीदा जहां आसमां का भी सर है

ख़ुदा की क़सम वो मुह़म्मद का घर है

 

Musafir Ajab Aur Ajab  Ye Safar Hai

Abhi Farsh Par Aur Abhi Arsh Par Hai

मुसाफ़िर अजब और अजब ये सफ़र है

अभी फर्श पर और अभी अ़र्श पर है

 

Koi Toor Par Hai Koi Arsh Par Hai

Magar Sabse Aage Nabi Ka Safar Hai

कोई तूर पर है कोई अर्श पर है

मगर सबसे आगे नबी का सफ़र है

 

Hai Soya Hua Amina Ka Dulara

Malayak Hai Khadim Khilouna Qamar Hai

है सोया हुआ आमना का दुलारा

मलायक है ख़ादिम खिलौना क़मर है

 

Buton Ne Kaha Muh Ke Bal Gir Ke Logo

Ye Sab Aamad-E-Mustafa Ka Asar Hai

बुतों ने कहा मुंह के बल गिर के लोगों

ये सब आमद-ए-मुस्तफ़ा का असर है

 

Khirad ne ye poochha naat lyrics
Khirad Ne Ye Poochha Ke Kaaba Kidhar Hai

 

Rasool-E-Khuda Ka Hai Gustaakh Job Hi

Use Qatl Kar Do Usool-E-Umar Hai

रसूले ख़ुदा का है गुस्ताख़ जो भी

उसे क़त्ल कर दो उसूल-ए-उमर है

 

Hain Kounain Ki Nematon Ke Wo Qasim

Jo Unka Gada Hai Wo Hi Tajbar Hai

हैं कौनैन की नेमतों के वो क़ासिम

जो उनका गदा है वो ही ताजबर है

 

Arab Aaj Jo Makhzan-E-Siim-O-Zar Hai

Ye Faizan-E-Paaye Nabi Ka Asar Hai

अरब आज जो मख़्ज़न-ए-सीम-ओ-ज़र है

ये फैज़ान-ए-पाए नबी का असर है

 

Tujhe Poochhta Kaun Faizi-E-Kamtar

Magar Naatkhwani Se Tu Motbar Hai

तुझे पूछता कौन फ़ैज़ी-ए-कमतर

मगर नातख़्वानी से तू मोतबर है

 

Naat Khwan: Habibullah Faizi

More From Habibullah Faizi

Our Pages


Naat-E-Paak         

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

Naat Khwan:

         Qawwali         

Manqabat Shahidan e Karbala | Nohay Lyrics|

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *