Karam Ya Khwaja Muinuddin Lyrics

Karam Ya Khwaja Muinuddin Manqabat Lyrics

Qawwal : Iqbal Afzal Sabri

 

Mushkil Ne Ghera Hai Mujhko Maiñ Huñ Bada Ghamgeen
Ghair Ke Aage Jaa Kar Maañguñ Hogi Meri Tauheen.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Gar Bheek Na Di Mujhko Ek Shor Macha Duñga
Sab Maañgne Waalo Ko Dar Tera Bata Dooñga.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Aas Laga Kar Aayi Huñ Aas Na Meri Toote
Aisi Rang De Meri Chunariya Rang Kabhi Na Chhoote.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Mujh Se Mere Maajhi Ne Muñh Pher Liya Hai Khwaja
Chaaro Taraf Se Toofaanoñ Ne Gher Liya Hai Khwaja.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Khwaja Ye Na Jaaniyo Tum Bichhdat Mohe Chain
Jaise Jal Bin Maachhli Tadpat Huñ Din Rain.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Chhaaya Hai Ghanghor Andhera Gham Ke Baadal Chhaaye
Bairi Ban Gayi Saari Duniya Chhoote Apne Paraye.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Sab Se Bezar Jaise Meri Zaat Hai
Bin Khushi Ke Na Ab Chain Ki Raat Hai
Ab Bana Dijiye Ya Mita Dijiye
Mera Bigda Muqaddar Aapke Haath Hai.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Usko Kaise Satayeñge Duniya Ke Gham
Aap Ki Hogi Jis Par Bhi Chashm-e Karam
Aap Ko Jab Nabi Ka Diya Waasta
Rakh Liya Aapne Aasiyoñ Ka Bharam.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Chhod Kar Aap Ka Dar Agar Jaauñga
Jeete Ji Maiñ Zamane Meiñ Mar Jaauñga
Tum Agar Muskura Kar Mujhe Dekh Lo
Raah-e Mushkil Se Hañs Kar Maiñ Guzar Jaauñga.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Aap Allah Ke Itne Haiñ Pyare Wali
Naaz Karne Lagi Aap Par Bandagi
Us Ko Duniya Ke Gham Phir Satayeñge Kyuñ
Aap Sa Mil Gaya Hoga Jise Bhi Sakhi.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Gham Ka Baadal Mere Sar Se Tal Jaayega
Mera Bigda Muqaddar Badal Jaayega
Aapne Mujh Pe Kar Di Jo Nazre Karam
Mera Beda Bhañwar Se Nikal Jaayega.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Khwaja-e Khwajgañ Khwaja Hindal Wali
Rashq-e Firdaus Hai Aap Ki Har Gali
De Do Sadqa Mujhe Apne Ajdaad Ka
Naara-e Murtuza Ya Ali Ya Ali.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Har Khushi Har Faza Se Bahut Door Hun
Aayine Ki Tarah Toot Kar Choor Huñ
Aisi Mushkil Ghadi Se Bacha Lo Mujhe
Mere Khwaja Main Muflis Huñ Majboor Huñ.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Zindagi Ban Gayi Gham Ki Ek Daastaañ
Bijliyoñ Se Ghira Hai Mera Aashiyañ
Maiñ Charaagh-e Aqeedat Huñ Khawja Mere
Mere Peechhe Padi Haiñ Kayi Aañdhiyañ.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Chhaale Paañw Ke Kahne Lage Phoot Kar
Zindagi Ne Kiya Hai Mujhe Dar Ba Dar
Kya Kahuñ Is Se Zyada Ke Had Ho Gayi
Na Dawa Meiñ Aasar Na Dua Meiñ Asar.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Hashr Ki Bakhshishoñ Ke Hawaalon Meiñ Haiñ
Aap Waliyoñ Ki Aala Misaaloñ Meiñ Haiñ
Kufr Ke Jo Andheroñ Me Uljhe The Wo
Aap Ki Nisbatoñ Se Ujaaloñ Meiñ Haiñ.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Aap To Haq Ta’aala Ke Farmaan Ho
Taajdaar-e Madina Ki Pahchaan Ho
Nisbat-e PanjTan Ka Tumhe Waasta
Meri Mushkil Mere Khwaja Aasaan Ho.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

Be Sahara Huñ Mujhko Sahara Mile
Mauj-e Toofañ Me Mujh Ko Kinara Mile
Aap Ke Aastaane Pe Aaya Huñ Maiñ
Mujhko Bhi PanjTan Ka Utaara Mile.

 

Karam Ya Khwaja Moinuddin ..
Karam Ya Khwaja Moinuddin ..

 

More Manqabat Ghareeb Nawaz

 

  • Comment में राय दीजिए
  • Share कीजिए

Hindi And English lyrics

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ Ghous Muhammad Nasir

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *