Kahna Salam Mera Ae Hajj Ko Jane Wale Lyrics

Kahna Salam Mera Ae Hajj Ko Jane Wale Lyrics

 

Bhai Shihab Aapki Himmat Ko Hai Salam
Jab Tak Rahe Ye Huniya Rahe Aapka Bhi Naam

Meri Dua Hai Aapka Ye Hajj Qubool Ho
Allah Bakhshe Aapko Uncha Bahot Maqaam.

 

Dil Ki Jaseem Akhtar Kaliyan Khilane Wale
Kahna Salam Mera Ae Hajj Ko Jane Wale

 

Seeno Me Noor Bhar Ke Ye Qafila Chala Hai
Labbaik Allah Humma, Labbaik Ki Sada Hai

Aankon Se Hajiyon Ke Moti Tapak Rahe Hain
Paimane Ulfaton Ke Har Soo Jhalak Rahe Hain

Wallah! Dekh Aana Taiba Nagar Mubarak
Ae Zaireen E Taiba Tum Ko Safar Mubarak

Baab E Saba Bhi Lekar Paigham Aa Rahi Hai
Har Ik Kali Chaman Ki Khushiyan Luta Rahi Hai

Sad Aafri(n) Ke Naghme Koyal Suna Rahi Hai
Bulbul Bhi Shaadmani Ke Geet Ga Rahi Hai

Be-Noor Thin Jo Nazrein Purnoor Ho Gayii Hain
Deedar Ki Talab Me Masroor Ho Gayi Hain

Sab Badhke Le Rahe Hain Peshaniyon Ka Bosa
Rakhte Safar Me Ulfat Ka De Rahe Hain Tosha

Rahmat Ki Barishon me Tum Ho Nahane Wale
Kahna Salam Mera Ae Hajj Ho Jane Wale

Kahna Salam Mera Ae Hajj Ho Jane Wale

 

Arz-e-Arab Pe Jana Rakhna Qadam Sambhal Ke
Kar Na Tawaf-e-Qaba Ishq-e-Nabi Me Dhalke

Sahn-e-Haram Me Karna Fir Shukr Ke Tu Sajde
Fir Ba-Adab Wo Sang-e-Asbad Ke Lena Bose

Chakkar Lagana Jake Marba Safa Pe Jis Dam
Sunnat Hai Hajra Bi Ki Yaad Rakhna Us Dam

Muztalfa Aur Mina Me Ro Kar Duayein Karna
Laghzish Na Hone Paye Is Baat Se Tu Darna

Ja Kar Mina Me Shaitañ Ko Marna Hai Kañkar
Koshish Yehi Tu Karna Raazi Ho Tujhse Dawar

Arfaat Ke Wo Maidan Me Jis Ghadi Ho Jana
Waqt-e-Duaye Rukhsat Ham Ko Na Bhool Jana

Murjha Chuki Hai Wo Jo Dil Ki Kali Khilegi
Zam-Zam Ka Pani Peena Har Tishnagi Bujhegij

Arqan-e-Hajj Hain Jitney Un Sabko Poora Kar Ke
Taiba Ki Simt Jana Aankhon Me Ashk Bhar Ke

Bakhshish Ka Leke Muzda Uqba Sajane Wale
Kahna Salam Mera Ae Hajj Ho Jane Wale

Kahna Salam Mera Ae Hajj Ho Jane Wale

 

Taiba Ki Sar Zamiñ Par Tum Dheere Dheere Chalna
Fir Rouza-e-Nabi Par Dil Se Durood Padhna

Fir Thaam Kar Nabi Ke Rouze Ki Paak Jaali
Ba-Chashm-E-Nam Ye Kahna Ae Bekasoñ Ke Waali

Mushkil Me Ghir Gaya Hun Lillah Ab Sambhalo
Is Daur-e-Pur Fitan Se Aaqa Mujhe Bacha Lo

Majhdhar Me Fasa Huñ Mushkil Me Hai Safina
Fart-e-Alam Se Aaqa Mar Jauñ Main Kahiñ Na

Haathoñ Ko Fir Uthakar Karna Yehi Duaeiñ
Nadaar Bekasoñ Ki Sun Lijiye Sadaeiñ

Ummat Pe Ranj-O-Gham Ke Mandla Rahe Hain Badal
Jis Simt Dekhta Hun Har Su Machi Hai Halchal

Mahshar Me Aasiyoñ Ka Bas Aap Haiñ Sahara
Sarkar Aap Ke Bin Ab Kon Hai Hamara

Ya Rab Ata Ho Hamko Aale Nabi Ka Sadqa
Bu-Bakr Aur Umar Ka Usmañ Ali Ka Sadqa

Hain Aap Hi Hamari Bigdi Bana Ne Wale
Kahna Salam Mera Ae Hajj Ko Jane Wale.

Kahna Salam Mera Ae Hajj Ko Jane Wale

 

Fir Rouza-e-Nabi Par Dil Se Salam Padhna
Siddique Aur Umar Ke Rouze Ki Simt Badhna

Pahlu Me Hai Nabi Ke Inka Mazar-e- Aqdas
Manzar Na Dekha Hoga Aisa Haseen-o-Dilkash

Kar Ke Salam Unko Fir Mañgna Duaeiñ
Karna Dua Khuda Se Sab Muaf Hoñ Khataeiñ

Ye Shart-e-Aashiqui Hai Ik Pal Bhi Hoñ Na Ghafil
Har Ik Maqam Par Tum Karna Ada Nawafil

Jana Bade Adab Se Fir Jannatul Baqi Me
Sarkar Ke Sahaba Madfoon Haiñ Isi Me

Binte Nabi Ki Turbat Pe Jis Ghadi Ho Jana
Neechi Nigah Rakhna Palkoñ Ko Mat Uthana

Usmañ Ghani Yehiñ Par Aaram Kar Rahe Haiñ
Jinke Qaseed-e-Aakar Qudsi Bhi Padh Rahe Haiñ

Ja Kar Hasan Ki Turbat Pe Hale Gham Sunana
Ho Jayega Yaqinan Firdaus Me Thikana

Darbar-e-Mustafa Me Naateiñ Sunane Wale
Kahna Salam Mera Ae Hajj Ko Jane Wale.

Kahna Salam Mera Ae Hajj Ko Jane Wale

 

Ae Zaireen-e-Taiba Waqt-e-Dua-e-Rukhsat
Kahna Mere Nabi Se Sab Haal-e-Zaare Ummat

Kahna Ke Shiddat-e-Gham Se Fat Raha Hai Seena
Mujhko Nahiñ Gawara Ab Chhorna Madina

Ik Bar Jeete Ji Maiñ Kar Lun Tawaf-e-Qaba
Ban Jaye Meri Duniya Ban Jaye Mera Uqba

Ham Sab Ke Haq Me Karna Aaqa Se Iltijaeiñ
Wo Sabz-Sabz Gumbad Hamko Bhi Ab Dikhaeiñ

Kab Tak Alam Ke Sadme Is Dil Pe Ab Uthaeiñ
Hasrat Hai Jake Taiba Fir Laut Kar Na Aayeñ

Nazroñ Ke Samne Ab Sarkar Ki Gali Ho
Mere Naseeb Me Bhi Taiba Ki Haaziri Ho

Is Aarzoo Me Saanseiñ Tooti Agar Machal Ke
Poochhegi Rooh Meri Karbat Badal Badal Ke

Tab Main Jaseem Dil Ke Jazbaat Likh Raha Tha
Ashkoñ Ki Roshnayi Se ik Naat Likh Raha Tha

Sarkar Roz-e-Mahshar Haiñ Bakhshbane Wale
Kahna Salam Mera Ae Hajj Ko Jane Wale.

Kahna Salam Mera Ae Hajj Ko Jane Wale

 

Song: Waqya Kahna Salam Mera Ae Hajj Ko Jane Wale
Album: Shihab Bhai Special Hajj Qawwali 2023
Fankar: Tasneem Arif
Kalam: Jaseem Akhtar Numani


Our Pages


Qawwali         

Naat-E-Paak         

Manqabat Imam Hussain As

Manqabat Ghaus e Azam

Manqabat Ghareeb Nawaaz

       

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *