Jo Yaade Mustafa Se Dil Ko Bahlaya Nahi Karte

Jo Yaade Mustafa Se Dil Ko Bahlaya Nahi Karte
Jo Yaade Mustafa Se Dil Ko Bahlaya Nahi Karte

Jo Yaade Mustafa Se Dil Ko Naat lyrics

Jo Yaade Mustafa Se Dil Ko Naat Lyrics

Shayar: Abdul Hamid Lakhnawi  | Naat e Paak

Naat Khwan: Owais Raza Qadri, Ashfaq Ahmad Raza

 

जो यादे मुस्त़फा से दिल को बहलाया नहीं करते

हक़ीक़त में वोह लुत्फ़े ज़िन्दगी पाया नहीं करते

Jo Yaade Mustafa Se Dil Ko Bahlaya Nahi Karte

Haqikat Me Woh Lutfe Zindagi Paya Nahi Karte

 

 

ज़बां पर शिकवए रंजो अ़लम लाया नहीं करते

नबी के नाम लेवा ग़म से घबराया नहीं करते

Zaba(N) Par Shikwa-E-Ranjo Alam Laya Nahi Karte

Nabi Ke Naam Lewa Gham Se Ghabraya Nahi Karte

 

 

यह दरबारे मुह़म्मद है यहां मिलता है बिन मांगे

अरे नादां यहां दामन को फैलाया नहीं करते

Yeh Darwar-E-Muhammad Hai Yaha Milta Hai Bina Maange

Arey Nada Yaha Daman Ko Failaya Nahi Karte

 

 

सजा ले दिल की दुनिया दाग़हा-ए-इ़श्क़े अह़मद से

यह ऐसे फूल हैं खिल के मुरझाया नहीं करते

Saja Le Dil Ki Duniya Daghaha-E-Ishqe Ahmad Se

Yeh Aise Phool Hein Khil Ke Murjhaya Nahi Karte

 

 

अगर बूजहल बहरे इम्तहां आए तो आने दो

रसूलुल्लाह इन बातों से घबराया नहीं करते

Agar Boojahal Bahre Imtaha Aaye To Aane Do

Rasoolallah In Baato Se Ghabraya Nahi Karte

 

 

जगह पाई है क़िस्मत से जिन्होंने कूए त़यबा में

वह ज़र्रा चांद तारों से भी शरमाया नहीं करते

Jagah Paai Hai Qismat Se Jinhone Kooye Taiba Me

Woh Zarra Chand Taron Se Bhi Sharmaya Nahi Karte

 

 

यह है दरबार आक़ा का यहां अपनों का क्या कहना

यहां से हाथ खाली ग़ैर भी जाया नहीं करते

Yeh Hai Dabar Aaqa Ka Yahan Apno Ka Kya Kahna

Yahan Se Haath Khaali Ghair Bhi Jaya Nahi Karte

 

 

अरे ओ ना समझ कुरबान होजा उनके रौज़े पर

यह लम्हे ज़िन्दगी में बार बार आया नहीं करते

Are O Na Samajh Kurban Hoja Unke Rouze Par

Yeh Lamhe Zindagi Me Bar Bar Aaya Nahi Karte

 

 

हबीबे किब्रिया की शाने रह़मत तो ज़रा देखो

सित़म सहते तो हैं लेकिन सित़म ढाया नहीं करते

Habib E Kibriya Ki Shan E Rahmat To Zara Dekho

Sitam Sahte To Hein Lekin Sitam Dhaya Nahi Karte

 

 

मज़ा मिलता है जिनको सरवरे कौनैन के ग़म में

वह अपनी दास्ताने ग़म को दोहराया नहीं करते

Maza Milta Hai Jinko Sarware Kounain Ke Gham Me

Woh Apni Daastan E Gham Ko Dohraya Nahi Karte

 

 

जो उनके दामने रह़मत से वाबस्ता हैं ऐ हामिद

किसी के सामने वह हाथ फैलाया नहीं करते

Jo Unke Daaman E Rahmat Se Wa-Basta Hein Ae Hamid

Kisi Ke Samney Woh Haath Failaya Nahi Karte

 

 

Hindi And English Naat Lyrics

Hindi And English Naat Lyrics


| Naat-E-Paak |  Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat NaatAkhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan | Khalid Mahmud Khalid |

| Qawwali | Sabri Brothers || Rahat Fateh Ali Khan | 

| Sufi Song  | Khailash Kher |     

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *