Jana Hai Karbala Lyrics by Ali Shanawar
हिन्दी में पढ़िए
Hussain.. Hussain Hussain Hussain
Hussain.. Hussain Hussain Hussain
Kahte Hain Jab Bhi Jisko Bhi Jana Hai Karbala
Zawwar Jisko Banna Ho Mola Hussain Ka
Lazim Hai Iske Waste Abbas Ki Riza
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai.
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Badshah-E-Karbala Ae Shahe Nainwa
Jald Bulana Hamen Jald Bulana.
Jab Aaye Chand Raat Muharram Ki Ya Khuda
Ae Kash Karbala Me Hon Ham Bhi Kisi Jagah
Manzar Wo Ham Bhi Dekh Leñ Parcham-Kushayi Ka
Labbaik Ya Hussain Hamari Bhi Ho Sada
Pana Hai, Ye Sharaf Pana Hai
Shah Ke Zawwaron Me Naam Likhwana Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai.
Mola Tumhare Chahne Waloñ Ki Hai Sada
Karna Hai Karbala Me Hi Aashoor E Karbala
Mola Nazar Ke Samne Rouza Ho Aapka
Maatam Zari Ke Samne Ho Aapka Bapa
Kahna Hai, Bas Yehi Kahna Hai
Hamko Bhi Mola Ke Saye Me Rahna Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Badhshah-E-Karbala Ae Shahe Nainwa
Jald Bulana Hamen Jald Bulana.
Mola Hamen Bhi Aapki Ziyarat Karayiye
Ae Fatima Ke Laal Hamen Bhi Bulayiye
Zawwar Karbala Ka Hamen Bhi Banayiye
Jageer Ba-Wafa Ki Hamen Bhi Dikhayiye
Aana Hai, Roz Wo Aana Hai
Zikr-E-Mola Karne Hamko Bhi Aana Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai.
Dekhen Nazara Ham Bhi Wahan Arba-Een Ka
Paidal Safar Najaf Se Karen Sooye Karbala
Baatein Sabeel Aur Tabarruk Jagah-Jagah
Jaari Rahe Aza-E-Hussaini Ka Silsila
Karna Hai, Ye Safar Karna Hai
Sang Azadaron Ke, Hamko Bhi Jana Hai
Jana Hai, Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Badhshah-E-Karbala Ae Shahe Nainwa
Jald Bulana, Hamen Jald Bulana
Ye Aarzoo Hai Karbobala Jab Bhi Jayenge
Ham Khaime Gaah Mashk-O-Alam Leke Jayenge
Abbas Ka Hussain Ko Nauha Sunayenge
Sa’daat Ke Ujarne Ka Maatam Karayenge
Rona Hai, Han Hamen Rona Hai
Karbala Walon Ka, Sog To Hona Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hameñ Jana Hai
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai.
Kat Kar Gire The Bazu-E-Abbas Jis Jagah
Ba Hasrata… Ba Ghurbata.
Ba Hasrata… Ba Ghurbata.
Kat Kar Gire The Baazu-E-Abbas Jis Jagah
Akbar Jawan Ka Jahan Chhalni Jigar Hua
Asghar Ne Khaya Has Ke Jahan Teer-E-Hurmala
Dooba Jahan Pe Khoon Me Lashakar Hussain Ka
Jana Hai, Har Jagah Jana Hai
Jaake Har Turbat Per Ashk Barsana Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Badhshah-E-Karbala Ae Shahe Nainwa
Jald Bulana, Hamen Jald Bulana
Mola Hussain Aap Ne Kya Kaam Kar Diya
Apne Lahu Se Khaak Ko Khak-E-Shifa Kiya
Mola Yehi Hai Aapke Zawwar Ki Dua
Ham Bhi Parheñ Namaz Sar-E-Arz-E-Karbala
Sunna Hai, Han Hamen Sunna Hai
Haram-E-Mola Ki Wo Azañ Sunna Hai
Jana Hai Karbala Jana Hai
Ba-Khuda Mola Ke Dar Hamen Jana Hai
Abbas Bula Lo Zawwar Bana Do
Ik Bar Hamen Rouza E Shabbir Dikha Do
Mola, Mere Mola, Mere Mola, Mere Mola
Badhshah-E-Karbala Ae Shahe Nainwa
Jald Bulana Hamen Jald Bulana
Jana Hai Karbala Lyrics new noha 2022
Jana Hai Karbala Lyrics best noha
Manqabat Shahidan e Karbala And Noha Lyrics
Our Pages
Naat-E-Paak
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
Qawwali
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar