Jab Se Mujhko Nisbat e Makhdoom e Simnani Hui lyrics

Jab Se Mujhko Nisbat e Makhdoom e Simnani Hui lyrics

Shayar: Fazil Maisoori

Naat Khwan: Usman Ghani Ashrafi

 

Jab Se Mujhko Nisbat e Makhdoom e Simnani Hui
Mushkilen Jitni Bhi Aai, Un Me Aasani Mili
जब से मुझको निसबत-ए-मख़दूम-ए-सिमनानी हुई
मुश्किलें जितनी भी आईं, उन में आसानी मिली

 

Takht e Simnani Ki Ranaai Ko Thokar Mar Kar
Dono Alam Ki Mere Ashraf Ko Sultani Mili
तख़्ते सिमनानी की रानाई को ठोकर मार कर
दोनों आ़लम की मेरे अ़शरफ़ को सुल्तानी मिली

 

Ashrafe Saife Zaban Ki Dekhiye Roohaniyat
Mujhko Har Soorat Yahan Ki Jaani Pahchani Mili
अ़शरफ़-ए-सैफ़े ज़बां की देखिये रुहानियत
मुझको हर सूरत यहां की जानी पहचानी मिली

 

Naam e Ashraf Leke Kashti Me Hua Tha Main Sawar
Sar Nigoo(n) Hokar Mujhe Dariya Ki Tughyani Mili
नामे अ़शरफ़ लेके कश्ती में हुआ था मैं सवार
सर निगूं होकर मुझे दरिया की तुग़यानी मिली

 

Allah Allah Ye Ata-e-Ghous-o-Khwaja Hai, Hame
Bargahe Hazrat-e-Mahboob-Yazdani Mili
अल्लाह अल्लाह, ये अत़ा-ए-ग़ौसो ख़्वाजा है, हमें
बारगाहे हज़रते महबूब-ए-यज़दानी मिली

 

Dhoondhne Walon Ne Dhoondi Ja-Baja Fazil Magar
Aastan-e-Ashrafi Par Meri Peshani Mili
ढूंढने वालों ने ढूंढी जा बजा फ़ाज़िल मगर
आस्ताना-ए-अशरफी मेरी पर मेरी पेशानी मिली

 


Hindi And English lyrics

Naat-E-Paak|

Khalid Mahmud ‘Khalid’ Ajmal Sultanpuri Naat  | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan

 

Qawwali |

Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi |  Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |

1 thought on “Jab Se Mujhko Nisbat e Makhdoom e Simnani Hui lyrics”

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *