Ishq Ki Wardat Kuchh Bhi Na Thi Qawwali Lyrics
Qawwal: Aziz Mian
Kahte Hain Ishq Naam Ke Guzre Thei Ik Buzurg
Ham Log Bhi Mureed Usi Silsile Ke Haiñ
(- Firaq Gorakhpuri)
Maktab e Ishq Ka Dastoor Nirala Dekha
usko chhutti na Mili Jisne Sabaq Yaad Kiya
(- Mirza Ghalib)
Aql kahti hai ke pee sheer o shakar
Ishq kahta hai ke pee Khoon-e Jigar
Aql kahti hai ke maalamaal ho
Ishq kahta hai ke paayemal ho
Aql kahti hai Takht-e Shahana mile
Ishq kahta hai ke Veerana mile
Aql kahti hai ke chal Bazar ko
Ishq le jata hai Koo-e Yaar ko
To, yeh jab ke hain qisse ke jab aadam bhi na the,
Ishq Ki Wardat Kuchh Bhi Na Thi
Ishq Ki Wardat Kuchh Bhi Na Thi
Yeh sab Husn ki kaar-famayiyañ hain
Ishq Ki Wardat Kuchh Bhi Na Thi..
Unhen apne Husn ki mehfil sajane ka khyal aaya tha, varna
Ishq Ki Wardat Kuchh Bhi Na Thi..
Ishq masoom hai Badnaam hua jata hai
Ishq Ki Wardat Kuchh Bhi Na Thi..
(Ishq masoom hai Badnaam hua jata hai
Kyuñ ke,Yeh sab Husn ki kaar-famayiyañ hain)
Main Jaan chuka Husn ki Manzil hai tijarat
Tumse hi shikayat Na raqibo ka Gila Hai
Le dooba faqat Husn hi Yusuf ko wagarna
Mandi mein kahin aake Payambar bhi bika hai!
Ishq Ki Wardat Kuchh Bhi Na Thi..
Ishq Ki Wardat Kuchh Bhi Na Thi
Badh Gayi Baat, Baat Kuch Bhi Na Thi
Badh Gayi Baat, Baat Kuch Bhi Na Thi..
Badh Gayi Baat, Badh Gayi Baat
Badh Gayi Baat, Badh Gayi Baat
Ham seedhe-seedhe jawab deñ to
wo tedhe-tedhe sawal karte hain
Badh Gayi Baat, Baat Kuch Bhi Na Thi..
Main kahta tha inkar karna bura hai
Wo kahte thei iqrar karna bura hai
Badh Gayi Baat, Baat Kuch Bhi Na Thi..
(Ishq Ki Wardat Kuchh Bhi Na Thi
Badh Gayi Baat, Baat Kuch Bhi Na Thi
Doosra sher samaat farmaayeñ)
Kun Se Paida Kiya Zamaane Ko
Warna Ye Kayenaat Kuch Bhi Na Thi
Warna Ye Kayenaat Kuch Bhi Na Thi..
Hui Lafz-e kun se ye Makhlook kul
Gaya Noor-e Ahmad se sab Raaz khul
Muhammad ﷺ Gul Ast o Ali Bargh-e Gul
Buwad Fatima andaraañ Boo-e Gul
Chu itrash Bar aamad Husain o Hasan
Mu’attar shud az wai Zameen o Zaman
Bedam yahi to Paañch hain Maqsood-e kayenat
Khairunnisa, Husain o Hasan, Mustufa, Ali
Varna Ye Kayenaat Kuch Bhi Na Thi..
(Kun Se Paida Kiya Zamaane Ko
Warna Ye Kayenaat Kuch Bhi Na Thi
Ab Huzur, hasile bahis ye sher pesh karta huñ samaat farmayiyega)
Ay Gunahoñ Ke Jaachne Wale
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
Bakhsh Deta, Bakhsh Deta, Bakhsh Deta
Bakhsh Deta, Bakhsh Deta, Bakhsh Deta
Ay Allah sun, tujhko kareem jaan ke maine gunah Kiye
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
Ay Allah, tamam umr ye kahta raha kareem huñ main
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
Ay Allah! qadam qadam pe Bharosa tha Teri Rahmat ka
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
(Ay Allah! Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi kyuñ.)
Ay Allah!
Wo kaun hain jinhen Tauba ki mil gayi fursat
Hameñ gunah bhi karne ko bhi zindagi kam hai
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
Ay Allah!
(Huzoor, is sher Mein daava hai aur daava Bina daleel ke naasikh nahi mansookh hota hai. Lihaza daawa samaat farmayiye phir main iski daleel pesh karta hun )
Ay Allah!
Wo kaun hain jinhen Tauba ki mil gayi fursat
Hameñ gunah bhi karne ko bhi zindagi kam hai
Kyuñ ke,
Ham Paida Hue azaan Hui aur jab marei hui namaz
Itni si der ka tu hisab leta hai
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
Ek Gunah Wo Bhi Naujawani Ka..
(Huzur, Maine yeh Ek jo kaha hai- falsafe Ek ka tasawwur 2 aadho ka majmua hai. Yaani na tamaam sa hai. Lihaza phir sun lijiye)
Ek! Ek Gunah Wo Bhi Naujawani Ka..
Javani Thahri deewani to uska tazkara kya hai
Khata deewanapan ki qabil-e mafi-talafi hai
Ek Gunah!
Khirad ko ye zid Thi na lut’ti Jawani
Isi zid pe maine jawani luta di
Ek Gunah Wo Bhi Naujawani Ka
Kya Bharosa Hai Zindagani Ka
Par, jo tera eitbaar karte hain
Hashr Tak intizar karte hain
Ye rind itne gunah nahin karte
Jitne parhezgar karte hain
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
(Huzur, bahas to aap sunenge lekin, aa gaya mere zahn mein to sunleñ.
Sher to aap sunenge lekin fatwa sunleñ)
Munkiar-e rahamat-e Khuda rahna
Are! Kufr hai itna parsa rahna
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
(Huzoor, insan jab se aalam-e shaoor mein aaya, fee zamana jitne bhi filsau kaynat mein guzre khwah Unka taalluk Kisi bhi mazhab se ho, kisi bhi millat se ho un sab ka ye muttafiq faisla hai ke is kayenat mein jab tak kisi ki zid na ho, kabhi shanaakht nahi hoti. Acche ko bure ki zarurat hai, garm ko sardi ki zarurat hai, Din ko raat ki zarurat hai, safed ko seyah ki zarurat hai, Isi usool per main Sher pesh karta hun samaat farmayiye )
Ke, Humne gunah kiye to numaayañ hua Karam
Ham begunah hote to kahta Karim kaun
(To ab ek baat kah dooñ)
Farishte poochhenge Mahshar Mein paakbaazoñ se
Gunah kyon Na kiye kya Khuda Raheem Na Tha
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
(Huzur! yeh baateñ jo maine arz keeñ Inka taalluq lafzi bahes se tha, mantiq se tha aur falsafe se tha Haqeeqat se nahi. Ye sab lafzi baateñ theeñ, Majaaz tha. HAQEEQAT iske bilkul bar aks hai! Agar Haqeeqat sunna chahte Hain To samaat farma leñ. Maut barhaq hai. “Laaraiba feeh” Ek Din Maut aaegi , Ham qabr Mein jaenge, wahañ Farishte aaenge, ham sab hisab denge, Haqeeqat ye hai ! Maine jo kuchh padha yeh sab majaaz tha, iska taalluq Haqeeqat se Nahiñ tha. Aayiye Haqeeqat ki taraf chalta huñ.
Maine socha ki Jab main qabr Mein jaunga Aur meri qabr Mein Farishte aaenge, to Main Kaise Hisab dunga samaat farmaayeñ )
Jab jaunga main qabar Mein Farishte aaenge puchhenge
Man rabboka, man deenoka
Man rabboka, man deenoka
To kahdooga, ay Allah, main in tere farishton ko hisab to de duñ
Magar Tu Bhi soch le, inhone mujhko Sajda Kiya Tha, Main wohi aadam huñ
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
(Huzur, qabar Mein 72 ghante sawal aur jawab ke liye waqf hain. Is ke baad waqt-e Sahl shuru ho jaata hai. Agar hisab sirf qabr tak mahdood rahta yaqeen jaaniye main bakhsha jaata. Lekin nayi ! Udane In do farishton ke alava- ek daayeñ kaañdhe par ek baayeñ shaane par Farishte bitha rakhe hain. Main acche Amal karta hun ye likhta hai, main bure Amal karta hun ye likhta hai. Yahi donon Farishte kiraman katibin Khuda Ke Samne mera naama-e Aamaal pesh karenge.
Jab Ye Naama-e Aamaal pesh karenge to inko kya jawab doonga samaat farmayiye)
Ay Allah! Yaad aati Hai Mujhe..
(Lekin in ye Manzar Aankhon Ke Samne Rahe ke ye mera Naama-e Aamaal ba huzoor-e Hazrat-e Khudawand pesh kareñ aur maiñ kah raha huñ)
Ay Allah! Yaad aati Hai Mujhe Sub’h-e Azal Ki guftaar
Jab Ke baandhi thi mere sar khilafat ki dastaar
Aur in saare farishto Ne Kaha Tha yak baar
Ham Teri Hamd ko maujud Hain ay parwar digar
Tu Jo is khaak ke putle ko Khilafat dega
yeh Jahan zulm aur jaur se pura kar dega
(Allah kahega haañ maine jab kaha tha: وَإِذْ قَالَ رَبُّكَ لِلْمَلَائِكَةِ إِنِّي جَاعِلٌ فِي الْأَرْضِ خَلِيفَةً ۖ
Wa iz qaala rabbuka lil malaaa’ikati innee jaa’ilun fil ardi khaleefah)
(Mere Maula Jab Main bana na Tha Abhi To Mujhe banaa raha tha, unhone aitraaz Kiya To Aaj aakhri Din Hai Meri Baat Sun Le, ke)
Go naama-e aamaal mera had se siyah hai
Lekin Mere mabood, Farishte ne likha hai !
Tu Daana o Bina, Tujhe Har shai ka pata hai
ye Roz-e Azal Mujhse Khilafat pe khafa Hai
Iski tahreer pe Dozakh ki ijaajat Kaisi !
Are Baksh de! Baksh de! Baksh de!
Varna main kah Dunga Khilafat Kaisi !
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
(Huzoor! yeh baateñ Farishtgaan-e ilahiya ki hain. Meri baten agar sirf farishto tak mehdood rahti to yakin janiye.. Maiñ Bakhsha Jata. Lekin Nahin, bahas Aage badhti hai kyunki Khuda Sami bhi hai aur Baseer bhi. Maine jo feil Jahan Kiya usne Dekha)
Tu Allah, bilkul durust
aur Main Banda, ye bhi durust!
Tu Mabood, durust,
Maiñ Abd, ye bhi durust.
Tu kareem, ye bhi durust
aur Maiñ Gunahgar, ye bhi durust
To, ay Allah! hisab lena hai? Aaja hisab lele.
Main gunah laauñ, tu karam laa.
Mere gunah zyada hoñ, Jahannam dede
Aur tera karam zyada ho Jannat dede
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
(Huzoor Maine socha Khuda Khali Karim, Rahim, Sattar, Ghaffar, Raoof, Razzaq aur Rahman hi nahi, woh Qahhar bhi hai aur Jabbaar bhi hai. agar Qayamat ke din usne farma Diya aaj Main Qahr karunga aaj main Jabra karunga. Ek PalDe Ke andar Tere Gunah aur dusre Palde ke andar Apna qahar o Jabr rakhoonga! To Kaise hisab dunga.. uske bare mein jo maine Allah se arz ki hai wo aap bhi Sun Leñ )
Ay Allah! Tune hisab Lekar Di Jannat to ye Badla hua
(Yeh kaam to main makhlooq bhi kar sakta tha Achcha Karta, Achcha Karta. Bura Karta, Bura karta. Acche ka Badal Achcha deta bure ka Badal Bura deta lekin sun: )
Ay Allah! Tune hisab Lekar Di Jannat to ye Badla hua
Maza to tab hai ke bakhshe hisab Se Pahle
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
(Aur ye baten to baraaye bahas ki hain lekin jahan tak mere Yaqeen ka sawal hai to main arz kar dun)
Ham Aadam ki hain aulaad, sun ay daaware Mahshar
(Is meiñ koi shak nahi)
Ham Aadam ki hain aulaad sun ay daawar-e Mahshar
Jannat To hamen baap ke virse Mein milegi
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
(Aur awwalan to ye Yaqeen hai ke, Jannat To hamen baap ke virse Mein milegi. Lekin Marzi Ke Malik hain. Jisko ji chahe Baksh deñ, Jisko ji Chahe na Baksheñ!
Agar farma diya; yeh maidan-e qayamat hai yahan Virasat Nahin Chala Karti. To fir Kya karunga?
Uske liye jawab Diya Hai woh Sun Leñ)
Mahshar Mein Teri Shan nazar aaegi
Aur Duniya yeh parishan nazar aaegi
Ay Allah sun!
Bakshe ga na gar ham se gunahgaron ko
Jannat Teri veeran nazar aaegi
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
(Sochta hoon ke shayad Jannat ki veerani ke Pesh-e nazar Bakhsh deñ!
Lekin yeh Bhi To ho sakta hai kr wo farma deñ ke,
Jannat aabaad Hoti Hai Tujhe Kya?
Jannat viran Hoti Hai Tujhe Kya?
Maiñ jaanu Meri Jannat. Agar yah Farma Diya aur jahannam ki taraf Mujhe Le Jaya Gaya! Aur ye Haqeeqat hai ki Jab Dozakh ki taraf Le jaenge To Jannat ke darwaze ke aage se Guzaarenge.
Jab Main us darvaaze ko dekhunga to Ustad Zauq ki zaban mein jo Sher padhooñga. Jo kuchh kah kar guzrunga, wo Aap Bhi Sun Leñ)
Ay Allah aisi Jannat Ko Kya Karun Lekar
Jismein lakhon baras ki ho rahe hon
Bakhsh Deta To Baat Kuchh Bhi Na Thi..
Read Hindi and English Lyrics of
| Qawwali |
| Sabri Brothers | Nusrat Fateh Ali Khan | Rahat Fateh Ali Khan | Iqbal Afzal Sabri | Aziz Miyañ |Nazir Ejaz Faridi | Ghous Muhammad Nasir | Maulvi Ahmad Hasan |
| Naat-E-Paak|
| Khalid Mahmud ‘Khalid’ | Ajmal Sultanpuri Naat | Ala Hazrat Naat | Akhtar Raza Khan| Raaz Ilaahabadi | Muhammad Ilyas Attari | Sayyad Nazmi Miyan