Is Karam Ka Karun Shukr Kaise Ada Lyrics ( Rare Version )
Qawwal : Nusrat Fateh Ali Khan
Karam Jab Aal-e Nabi Ka Shareeq Hota Hai
Bigad Bigad Ke Har Ek Kaam Theek Hota Hai
Durood-e Aal-e Mohammad ﷺ Ki Ye Fazilat Hai
Ke Laa Shariq Bhi Is Meiñ Shariq Hota Hai
Tazeem Se Leta Hai Khuda Naam-e Muhammad ﷺ
Kya Naam Hai Ai Salle-ala Naam-e Mohammad ﷺ !
Allah Kare Us Pe Haram Aatish-e Dozakh
Jis Shakhs Ke Ho Dil Pe Likha Naam-e Mohammad ﷺ
Jo Bhi Chaukhat Pe Teri Maañgne Wale Hoñge
Haañ Wahi Log Zamane Se Nirale Hoñge
Poochha Dozakh Ne Ke Ya Rab Haiñ Gunehgaar Kahañ
Zaat-e Haq Boli Mohammad ﷺ Ne Sañbhale Honge
Be Bandagi Urooj Kiya Banda Kar Diya
Tara Mere Naseeb Ka Tabinda Kar Diya
Itni Badheeñ Huzoor Ki Banda Nawaziyañ
Mujh Ko Mere Sawal Ne Sharminda Kar Diya
Is Karam Ka Karooñ Shukr Kaise Ada
Is Karam Ka Karooñ Shukr Kaise Ada
Jo Karam Mujh Pe Mere Nabi Kar Diya
Maiñ Sajaata Tha Sarkaar Ki Mahfileñ
Mujhko Har Gham Se Rab Ne Bari Kar Diya
Is Karam Ka Karun Shukr Kaise Ada..
Gham-e Aashiqui Se Pahle Mujhe Kaun Janta Tha
Teri Zaat Ne Bana Di Meri Zindgi Fasaana
Is Karam Ka Karun Shukr Kaise Ada..
Koi Saleeqa Na Aarzu Ka Na Bandagi Meri Bandagi hai
Yah Sab Tumhara Karam Hai Aaqa Ke Baat Ab Tak Bani Hui Hai
Is Karam Ka Karun Shukr Kaise Ada ..
Aataa Kiya Mujhko Dard-e Ulfat Kahañ Thi Ye Pur-khata Ki Qismat
Maiñ Is Karam Ke Kahañ Tha Qaabil Huzoor Ki Banda-Parwari Hai
Is Karam Ka Karooñ Shukr Kaise Ada ..
Hath Aa Gayi Gadayi Dar-e Taajdar Ki
Muflis Tha Maiñ Khuda Ne Tavañgar Bana Diya
Is Karam Ka Karooñ Shukr Kaise Ada..
Khaliq Ne Mujhko Meri Talab Se Siwa Diya Sarmaaya Daar-e Ishq-e Mohammad ﷺ Banaa Diya
Is Karam Ka Karooñ Shukr Kaise Ada..
Aaqa Ne Aake Khwab Meiñ Jalwa Dikha Diya Maiñ So Raha Tha Mera Muqaddar Jaga Diya
Is Karam Ka Karooñ Shukr Kaise Ada..
Gadayi Ki Teri Chaukhat Ki Baadshahi Ki
Banaa Diya Hai faqeeri Ne Taajdar Mujhe, Main
Is Karam Ka Karooñ Shukr Kaise Ada
Unki Jab Shaan-e Kareemi Pe Nazar Jaati Hai
Zindagi Kitne Maraahil Se Guzar Jaati Hai
Betalab Mujhko Diye Jaata Hai Dene Wala
Hath UthTe Nahiñ Neeyat Meri Bhar Jaati Hai
Is Karam Ka Karooñ Shukr Kaise Ada..
Jo Phasi Bhawar Mein Kashti To Huzoor Ko Pukara
Wahiñ Aa Gaya Simat Kar Mere Rubaru Kinara
Is Karam Ka Karooñ Shukr Kaise Ada..
Kiya Muztarib Ne Jab Bhi Kiya Yaad Unheiñ Tadap Kar
To Huzoor Kar Gaye Hain Mere Dard-e Dil Ka Chaara
Is Karam Ka Karooñ Shukr Kaise Ada..
Jab Mohammad ﷺ Ki Inayat Ho Gayi
Jab Mohammad ﷺ Ki Inayat Ho Gayi
Door Hum Se Har Museebat Ho Gayi
Khwaab Mein Bedaar Qismat Ho Gayi
Kamli Wale Ki Ziyarat Ho Gayi
Bheek Paayi Jab Dar-e Sarkar Se
Puri Mañgtoñ Ki Zarurat Ho Gayi
Aap Ki Surat Ka Jab Aaya Khayal
Pure Qur’aañ Ki Tilaawat Ho Gayi
Mustafa Ke Dar Pe Sajda Kar Liya
Marhaba ! Kaisi Ibaadat Ho Gayi
Bandagi Uski Hai Jisko Ya Nabi ﷺ
Aap Ke Dar Se Mohabbat Ho gayi
Kamli Wale Ke Karam Ki Baat Hai
Warna Mujh Mañgte Ki Kya Auqat Hai
Is Karam Ka Karuñ Shukr Kaise Ada
Jo Karam Mujh Pe Mere Nabi Kar Diya
Main Sajata Tha Sarkar ﷺ Ki Mahfileñ
Mujhko Har Gham Se Rab Ne Bari Kar Diya
Zikr-e Sarkar Ki Haiñ Badi Barkateñ
Zikr-e Sarkar Ki Haiñ Badi Barkateñ
Jab Liya Naam-e Nabi Maine Khuda Se Pahle
Ho Gayi Mujh Pe A’taa Meri Khata Se Pahle
Zikr-e Sarkar Ki Haiñ Badi Barkateñ
Zikr-e Sarkar Ki Haiñ Badi Barkateñ
Ism-e Ahmad Ka Wazifa Har Ek Gam Ka ilaaj
Lakh Khatre Hoñ Isi Naam Se Tal Jaate Haiñ
Zikr-e Sarkar Ki Haiñ Badi Barkateñ
Zikr-e Sarkar Ki Haiñ Badi Barkateñ
Mohammad Mustafa ﷺ Ki Yad Se Main Kaam Leta Huñ
Khyaal-e Mustfa Aaye To Daaman Tham Leta Huñ
Meri Rag Rag Mein Wajdaan-e Qalandar Raks Karta Hai
Janab-e Amina Ke Chaañd Ka Jab Naam Leta Huñ
Zikr-e Sarkar Ki Haiñ Badi Barkateñ
Zikr-e Sarkar Ki Haiñ Badi Barkateñ
Zabañ Par Jab Muhammad ﷺ Mustafa Ka Naam Aata Hai
Badi Taskeen Hoti Hai Bada Aaram Aata Hai
Mohammad Mustafa ﷺ Ka Naam Bhi Kya Ism-e Azam Hai
Jahañ Koi Na kam Aaye Wahañ Ye Kaam Aata Hai
Zikr-e Sarkar Ki Haiñ Badi Barkateñ
Zikr-e Sarkar Ki Haiñ Badi Barkateñ
(Sargam)
Zikr-e Sarkar Ki Haiñ Badi Barkateñ
Zikr-e Sarkar Ki Haiñ Badi Barkateñ
Zikr-e Sarkar Ki Haiñ Badi Barkateñ
Mil Gayiñ Rahateñ, Azmateñ, Rif’ateñ
Maiñ Gunahgaar Tha Be-Amal Tha Magar
Mustafa Ne Mujhe Jannati Kar Diya
Lamha Lamha Hai Mujh Par Nabi Ki A’taa
Dostoñ Aur Maanguñga Maula Se Kya
Kya Ye Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mahboob ﷺ Ka Ummati Kar Diya …
Kya Ye Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mahboob ﷺ Ka Ummati Kar Diya …
Fakhram, fakhram ba sasteeñ, ke* (*Edit Suggested)
Kya Ye Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mahboob ﷺ Ka Ummati Kar Diya …
Ghareeb Aazam Ke Hastam Ummati Tou
Kya Ye Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mahboob ﷺ Ka Ummati Kar Diya …
Gunah-gaaram Ba Lekin Khush-Naseebam 🤗
Kya Ye Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mahboob ﷺ Ka Ummati Kar Diya …
Naaz Jis Baat Pe Hai Wo Baat Yahi Hai
Kya Ye Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mahboob ﷺ Ka Ummati Kar Diya …
Bhala Ye Kam Hai Sharaf Mujhse Be-Nava Ke Liye
Kya Ye Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mahboob ﷺ Ka Ummati Kar Diya …
Yah Karam Nahin To Kya Hai
Kya Ye Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mahboob ﷺ Ka Ummati Kar Diya …
Koi Kisi Ka, Koi Kisi Ka, Koi Kisi Ka
Kya Ye Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mahboob ﷺ Ka Ummati Kar Diya …
Lamha Lamha Hai Mujh Par Nabi Ki A’taa
Doston Aur Maanguñga Maula Se Kya
Kya Ye Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mahboob ﷺ Ka Ummati Kar Diya …
Shukr Hai Maula Teri Zaat Ka
Kamli Wale Se Nisbat Ho Gayi
Kya Ye Kam Hai Ke Mere Khuda Ne Mujhe
Apne Mahboob ﷺ Ka Ummati Kar Diya …
Jo Bhi Aaya Hai Mahfil Meiñ Sarkar Ki
Haazri Mil Gayi Jis Ko Darbar Ki
Koi Siddiq o Farook o Usmañ Hua
Aur Kisi Ko Nabi Ne Ali Kar Diya.
Jo Dar-e Mustafa ﷺ Ke Gada Ho Gaye
Dekhte Dekhte Kya Se Kya Ho Gaye
Aisi Chashm-e Karam Ki Hai Sarkar Ne
Dono Aalam Meiñ Unko Ghani Kar Diya
Aisie Chashm-e Karam
Aisie Chashm-e Karam
Aahe Unki Chashm-e Karam
Unki Chashm-e Karam
Unki Chashm-e Karam, Karam
Unki Chashm-e Karam, Karam
Badal Gayi Mere Dil Ki Duniya A’taa Ne Wo Martaba Diya
Karam Ki Aisi Nigaah Daali Gada Ko Sultañ Bana Diya
Unki Chashm-e Karam, Karam
Unki Chashm-e Karam, Karam
Jidhar Jidhar Bhi Gaye Wo Karam Hi Karte Gaye
Kisi Ne Maañga Na Maañga Wo Jholi Bharte Gaye
Unki Chashm-e Karam, Karam
Unki Chashm-e Karam, Karam
Ik Nazar Mein Be-Sahare Ba-Sahare Ho Gaye
Unki Chashm-e Karam..
Unki Chashm-e Karam.
Jis Taraf Chashm-e Mohammad ﷺ Ke Ishaare Ho Gaye
Khaak Ke Zarre Thei Jitne Sab Sitaare Ho Gaye
Unki Chashm-e Karam, Karam
Unki Chashm-e Karam, Karam
Aisi Chashm-e Karam Ki Hai Sarkar Ne
Dono Aalam Mein Unko Ghani Kar Diya
Koi Mayoos Lauta Na Darbar Se
Jo Bhi Maañga Mila Mere Sarkar Se
Sadqe Jaauñ Niyazi Maiñ Lajpaal Ke
Har Gada Ko Sakhi Ne Sakhi Kar diya
Is Karam Ka Karooñ Shukr Kaise Ada
Jo Karam Mujh Pe Mere Nabi Kar Diya
- Comment में राय दीजिए
- Share कीजिए
Our Pages
Shayar
- Khalid Mahmud ‘Khalid’
- Peer Naseeruddin ‘Naseer’
- Allama Saim Chishti
- Bedam Warsi
- Muzaffar Warsi
- Ajmal Sultanpuri Naat
- Ala Hazrat Naat
- Akhtar Raza Khan
- Raaz Ilaahabadi
- Muhammad Ilyas Attari
- Sayyad Nazmi Miyan
- Shakeel Arfi
Naat Khwan:
- Owais Raza Qadri
- Habibullah Faizi
- Ghulam Mustafa Qadri
- Hafiz Tahir Qadri
- Laiba Fatima
- Asad Iqwal
- Sajjad Nizami
- Zulfiqar Ali Hussaini
- Mufti Abdullah Bin Abbas
- Junaid Jamshed Khan
- Muhammad Ali Faizi
- Ghulam Noore Mujassam
- Sabri Brothers
- Nusrat Fateh Ali Khan
- Rahat Fateh Ali Khan
- Iqbal Afzal Sabri
- Aziz Miyañ
- Nazir Ejaz Faridi
- Ghous Muhammad Nasir
- Maulvi Ahmad Hasan Akhtar