Ilahi Sar Pe Rahe Dastgeer Ki Chadar Lyrics| Manqabat Peer-e-Peerañ, Meer-e-Meerañ Al-Shah Hazrat Shikh Abdul Qadir Jilani Ra. A
हिंदी में पढ़िए | اردو میں پڑھیے
Ilahi Sar Pe Rahe Dastgeer Ki Chadar
Ilahi Sar Pe Rahe Dastgeer Ki Chaadar
Ke Parda Posh Hai Peeran e Peer Ki Chadar
Nazar Meiñ Hai Shahe Gardooñ Sareer Ki, Chadar
Zahe Naseeb Mili Dastgeer Ki Chadar.
Shareek e Urs e Mubarak Hue Haiñ Ahl-e-Safa,
Samana Dekh le Ghaus e Kabeer Ki Chadar.
Jise Husaain o Hassan Se Nabi Se Nisbat Hai,
Woh Aa Ke Dekhe Janab e Ameer Ki Chdar.
Mataa-e Kaun o Makaañ Taar Taar Me Hai Nihañ
Rida e Faqr o Wilaa Hai Faqeer Ki Chaadar.
Adab Se Log Chhueñ Phir Lagayeñ Aañkhoñ Se,
Ye Hai Rasool e Khuda Ke Wazeer Ki Chadar.
Nigah o Dil Haiñ Haqeeqat Ke Noor Se Raushan,
Ke Hai Ye Murshid e Raushan Zameer Ki Chaadar.
Hameñ Naseeb Ziyarat Hai Aye Khusha Qismat,
Khade Haiñ Sar Pe Liye Apne Peer Ki Chadar.
Khuloos Dil Se Woh laya hai nazar karne ko,
Qubool Kijiye Apne Naseer Ki Chadar.
Shayar: Hazrat Peer Naseeruddin Naseer
Faiz-e-Nisbat